Bing / Yahoo search engine me sitemap kaise submit karte hai or sitemap Bing / yahoo par sitemap submit karne ki puri jankari ( बिंग और याहू सर्च इंजन में साइडमेप कैसे सबमिट करे)
Bing / Yahoo search engine me sitemap kaise submit karte hai or sitemap Bing / yahoo par sitemap submit karne ki puri jankari ( बिंग और याहू सर्च इंजन में साइडमेप कैसे सबमिट करे)
Hello everyone, agar aap apne Blog / website ka sitemap Bing or Yahoo search engine par submit karna chahte hai to aap iss article ko zarur read kre.
Bing or Yahoo par sitemap kaise submit karte hai or Bing or Yahoo par sitemap submit karne se Kya hota hai
Agar aap Blog / website create karte hai or apni website par article bhi publish karte hai agar koi visitor Humre article related kuch search karta hai Bing or Yahoo search engine par to iisliye hum apni website ka sitemap Google ,Bing / Yahoo par submit karte hai or agar dusare sabhdo me bolo to hum iisliye bhi sitemap submit karte hai, humri website / Blog me Kya hai hum Bing or Yahoo search engine to btate hai phir Bing or Yahoo search engine people's tak pahuchata hai agar wo humre article se related search karte hai to. Or iss tahar humari website par Traffic increase (badta) hota hai
Kya Blog / website ka sitemap baar baar submit karna hota hai
Kai new Blog / website admin iss baat ko lekar confused (chintit) rahete hai ki Blog / website ka sitemap baar submit karna hota hai aap ek hi baar Bing / Yahoo or Google par submit kar sakte hai but aapko apne Blog / website par Meta tags code Template me add karna hota hai jis se Bing / Yahoo search engine ko pata chal jata hai ki aap ne kya article publish karte hai or wo search me aane lagte hai .
Meta tag code kaha se milta hai
Jab aap sitemap submit Karne ke liye Bing / Yahoo search engine par account create karte hai to Bing search engine aap ko apna meta tags code deta hai.
Or Google search engine apna meta tag code provide karta hai
Note - but ek baat ka dhayan rakhana hota hai wo yeh hai ki meta tags code Template me add karne ke baad verify karna padta hai. Or jab bhi aap apni Blog / website par template change karte hai phir dubara meta tags code add karna padta hai.
Ab jante hai Bing / Yahoo par sitemap kaise submit Kate hai
sabse phele aap niche diye gaye link se Bing webmaster tool par jaye.
Ab aap sing - up kijiye, niche image me dekh sakte hai.
Ab aapko Microsoft account create karna hoga agar aap ke pass Microsoft account hai phir aap us account se login kre, niche image me dekh sakte hai
Jab aap Microsoft account se login kar lege phir apni blog / website par Meta Tag code add karna hota hai.
1 - verify ownership ke options par click kar dijiye.
2 - iss tahar ka aap ka meta Tag code hoga copy kar lijiye or apni Blog ki template me <head> ke niche paste kar dijiye .
3 - ab verify par click kar dijiye, saari progress aap niche image me dekh sakte hai.
Note- <head> template me 4 ya 5 number ki line par hoga
1 - Ab sitemap ke options par click kardiye.
2 - yaha par aap sitemap add kar dijiye sitemap add karne ke liye apni website ke URL ke /sitemap.xml likh dijiye. Example ke liye jaise meri site ka name https://yekaisehotahai.blogspot.in hai to mai sitemap add karne ke liye iss tahar likhoga niche dekh sakte hai.
3 - yaha par submit par click kar dijiye .
Note - sitemap submit Karne se phele aap aap sitemap generator kar lijiye
Ab aap ka sitemap 24 se 48 hours me indexed hona start ho jayega.
No comments: