Blogger ko Wordpress Par Set-up kaise kare puri Jankari

Blogger ko Wordpress Par Set-up kaise kare puri Jankari


Blogger ko Wordpress Par Set-up kaise kare puri Jankari Jaane . Iss Article me yeh jankari Share karuga Blog ko Wordpress par Migrate kaise kare . First  Agar Aapne Hostgator se Hosting Buy kari hai to Aap Easily Blog ko Wordpress par Migrate kar sakege Because Mai jo Screen Shot share karuga wo Hostgator ke hoge . Otherwise Aapne Agar or kahi se hosting buy kari hai to Aapko Options find karne hoge .

Blogger ko Wordpress Par Set-up kaise kare puri Jankari


First Aap Cpanal par Login kare Login karne ki liye Hostgator se jo Mail Aata hai Ussme Cpanel ka Link Add hota hai Waha Click kare or Login kare .
NOTE - Jo hosting lene ke Baad mail Aata hai uss hosting  server name , password , full details etc hoti hai Issliye iss mail ko Aap Hamesh kahi Save Rakhe .


Hostgator Cpanel login


Jaise hi Aap Cpanel me login karte hai Waha ki Theme Change kar Dijiye jisse Aap Mere Screen shot Easily Samjh Sake . Iss ke Aap Aapne Cpanel ki retro theme Apply karni hoti . Aap niche image follow kare or dekh Sakte hai kaise kare .


hostgator Cpanel change style


Ab Waha Software ke ki list Search kare or Softtaculous Apps Installer ko Open kare . niche Image follow kare .


hostgator Apps installer


Ab Aap Wordpress ke App ko Install par click kare .


Wordpress Dashboard install


Aap Aapko yaha software set-up karna hai jiske baare me niche Batata hoon kaha kya kya fill-up karna hai .



Wordpress Software Setup


1 . Choose Protocol - yaha Aap yeh Choose karna hai ki http www , ya http Choose karna chahate hai . Ab Aap Choose kare . Mai Suggest karuga ki Aap http://www Choose kare .
2 . Choose Domain - yaha Aap Aapka Domain Choose kare .
3 . in Directory - Yaha se Aap wp ko Remove kar Dejiye .
4 . Site Name - Idhar Site ka Title Add kare .
5 . Site Descrition - Descrition Add kare .
6 . Admin User - Aapna User Name Add kare .
7 . Admin Password - Idhar pahele se Password hota hai Aap Aapne hisab se Password Add kar Sakte hai .
8 . Admin Email - Aap Aapni Correct email id add kare .
9 . Select Langauge - Choose kare .
10 . Auto Upgrade - yaha Tik mark kare .
11 . Automatied Backups - idhar Once a day Choose kare .
12 . Email Installation details to - email id add kare .
13 . ab last step install par Click kar dijiye .



NOTE - Jitne Options Bataye Gaye hai Bas Unhi ko fill-up kare or Baaki ko kuch bhi nahi kare .



IMPORTANT - Ab Aapke Pass Email Aayega Uss Aapke Wordpress Account ki Saari Details hogi . jaise password ,user name , wordpress Dashboard link etc  Usse bhi Save kar lijiye .



Ab Last Work Rahe Gaya hai Wo hai Domain name ka Server name Change karna . Usske liye Aapko Aapne Domain name Account Par Login karni hogi or Server name Change karna hoga example ke liye Godaddy ki ek Screen shot Dikhaya hai .


change domain server name


Jab Aap hosting lete hai to Aapko ek mail aata hai Ussme Server name Account Details hoti hai Aap ussme se Server Name Copy kare or Add kare .



NOTE -  jab Bhi Aap Aapna Server Name Change kare Old Server Name note pad par Save kar Lijiye kabhi kaam Aa Sakta hai .



NOTE - jab Aap yeh Sab Kuchh kar lete hai to Server ko Perpair hone me 6 se 12 Hours Tak lag Sakte hai . Ho Sakta hai ki Aap bhi wordpress ka Dashboard Open nahi kar paye Iss liye 6 se 12 Hours kai wait kare Jabhi Aap Blogger ka Backup Wordpress par upload kar payege. Aap yeh nahi Soche ki Aapne kahi Mistake kari hai . kai Baar yahi Soch kar Owner Baar-baar Wordpress install karte hai .



Ab Aapko Blogger ko Import karna hai WordPress par . issliye liye Aapko Blogger ka Back up Wordpress par Install karna hota . or jab tak Aapka Server Perpair nahi hota problem hogi Issliye kuch time wait kare Server perpair hone dijiye .



Aapne Next post me Aapko yeh jankari Share karuga ki Blogger ka Back-up Wordpress par kaise Import karte hai .

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.