Flippa kya hai or Isse Online Earning Kaise kare

Flippa kya hai or Isse Online Earning Kaise kare


Iss Article me Flippa se Online Business Earning karne ke Baare me Jankari Share kari Gayi hai . Flippa World ki Popluar Site hai Jaha Website , Apps or Domain Sell kare jate hai . yaha se lakho Peoples Online Earning kar Rahe hai But Yeh Ek Investment Online Business hai yaha Earn karne ke liye pahele investment karna hota hai Jiske Baare me Niche Vistar se Jankari Share Karuga .

Flippa kya hai or Isse Online Earning Kaise kare

Jaise ki Maine Upar Bataya ki Yaha Website , App or Domain Name Buy And Sell kare Jate hai . But me Aapko Domain Selling ke Baare me Batauga . 

Flippa.com se Online Earning kaise kare ?

Yeh ek investment Business hai jaha Aapko First Invest karna hota hai . Yaha Business karne ke liye Aapke Pass Domain Hone Chahiye . Agar Aapke Pass quality Domain hai to Aap yaha se Unlimited Earn kar Sakte hai . Agar nahi hai to Aap Expire Domain Registered kara Sakte hai . 

Flippa Free or paid Domain Listing Provide karta hai 

(1) Auction - $9
An auction will get you the highest price and the most bids. Includes free escrow + 1 free relisting. 
Use this if you want more buyers and a quick, successful sale. Learn more.

(2) Classified Listings and Multiple Domains (Portfolio) - Free New
Add domains to your Domain Portfolio and wait for interested buyers to make private offers. 
Use this if you are happy to take longer to make a sale or settle for a lower price. Learn more.

Auction Paid Listing me Aapka Domain home page par show hota hai Jiski Wajah se Aapka Domain Thousand Peoples ko per day show hota hai or Sell hone ke Jayda Chance hote hai . Iske liye Aapko $9 Pay karne hote hai . or Domain successfully Sell hone par Flippa 10% Charge Cut karta hai . Jis Price par Aapne sell kara hai . 


Free Service me Aap Domain sell par Laga Sakte hai But Visibility Low hoti hai I Mean Domain Site par Search karne par hi Show hota hai or Domain successfully Sell hone par Flippa 10% Charge Cut karta hai .

Flippa par Abhi Auction Doamain Dekhne ke liye Click Here

Payment lene ke liye Aap Escrow , Flippa Escrow or Paypal ka Use Kar Sakte hai .

Flippa par Agar Aap koi successfully sell karte hai to Aapke Profile me Transactions totalling Bhi Show hota hai Jisse Pata Chalta hai ki Iss Seller ne kitne Transactions  Complete kare hai yeh Har seller ki profile par show hota hai  Maine Niche kuch Image Add kari hai Aap dekh Sakte hai .

Flippa seller profile pics

Yaha Domain Sell karne ke liye Aapko First Account Create karna hota hai jo ki Free hai . or Usse Verify karna hota hai . Agar Aap kisi domain par Biding (ą¤¬ोą¤²ी) karte hai to Aap $200 se Upar Bid karne ke liye Credit card Verify karwana hota hai . 

Yeh Real investment Online Business hai Zero investment me Aap Yaha kuch nahi kar Sakte hai . Agar Aap Starting kar Rahe hai to Pahele investment nahi kare Daily Iss Tarah ki Site par Visit kare or Samjhe Kis Tarah Peoples Sell or Buy ka Online Business karne hai .  

Future me Domain Field se Related or bhi Jankari Share kari Jayegi Iss Blog par ...

I hope Aapko Bahot kuch Samjh Aa Gaya hoga ki Flippa se Online earning kaise kare Agar Aapko Hamara Yeh Article Accha Laga to Isse Share karke Hamara Sahyog kare . Thank You Visit !

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.