Google Adsense Apply kaise kare With full Details.

Google Adsense Apply kaise kare With full Details. 


Google Adsense Apply kaise kare With full Details . Iss Post me Only Apply karne ke Baare me Jankari Share kari Gayi hai .  Kuch Peoples ki Adsense ko Lekar Confusion me Raheta hai Ki Kaise Apply kare Etc . But Aap Iss Article ki Help se Easily Google Adsense Par Apply kar Sakte hai .

Google Adsense Apply kaise kare With full Details

Google Adsense Ek Advertising Program Website hai Jo ki Google ki ek Services hai . Or Isse Online Earning ke liye Sabse Best Mana Jata hai . Issi Tarah Google ki ek Services hai Adword Name se Jisse Promoting  ke Liye Best Mana Jata hai Peoples Aapne Business ko Adword ki Help se Promote Karate hai Jo ki Ek Paid Services hai . Wahi Google Adsense Aapne Client ke Advertsing Aapne Publisher ko Provide karta hai . Publisher Wo hote hai jo Adsense ki Ads Unit Aapni Website , Apps , Videos Etc par  Joint karte hai For Example Mai .

Sabse Pahele Aapko Yeh Batata hoon Blog ke liye  Apply Kis-Kis Way se kar Sakte hai .
[1] Manually Apply kar sakte hai jo ki Mai Iss post me vistar se Bataouga .

[2] Hosted Account ke Help se kar Sakte hai Iss ke Baare me Aapko shot Word me Batana Chahata hoon Youtube Par Account Create karke Video Add karne hoti hai phir Usse Monetization karna hota hai Jisse Aapka Adsense ka Hosted Account Ban jata hai , jiski Help ke Aap Web Blog ke liye Adsense Apply kar Sakte hai or yeh Sabse Best Way hai .

[3] Blogger par Earning name se ek Option hota hai Jisse Aap Direct Apply kar Sakte hai . 
Ab Aapko Teeno Tarike Pata Chal Gaye hai But Mai First Way ke Baare me Jankari Share karuga .

First Step - Yaha Click kare or Adsense ke Offical Website par Jaye Or Waha Jakar Aapko Sign Up par Click karna hai . Niche Image Follow kar Sakte hai . 

Adesens sign up kaise kare

2 - Ab Aapki Screen par niche wahi Image Show hogi Yaha Aapko Three Step by Step Follow karne hote hai .

Mention your Id in Adsense

Step No1 . Wo Aapse Puchhte hai ki Aap Iss Id se Sign Up karna Chahate hai Aap Yes Par Click Kar Dijiye . 

Step No2 . Yaha Aapko Aapni Website ka Domain Name  Add karna hota hai Iss liye Site par Domain Name hona Jaruri hai Or Agar Aap Serously Blogging karna Chahate hai to Domain Name Jarur Registration karaye Because Without Domain Site ki Koi Value Nahi hai . Or Phir Aapko Aapni Site ki Language Choose Karni Hoti hai ki Aap Koansi Bhasha me Content Write karte hai . Agar Hindi me Karte hai To Hindi Choose kar . Ya Higlish me me karte hai to English Choose kare Or Proper English me karte hai To English Choose Kare . Niche Image Follow kar Sakte hai .


Mention website and language in Adsense
Add caption

Step No3 . Yaha Aapko Saari Details Sahi Fill up Karni hai Niche Image follow kare Phir Aapko Pata Chal Jayega kaha kya fill up karna hai .

Adsense Accout fill-up Details

  1. Yaha Country Choose kare
  2. Yaha Time Zone Choose kare Agar Aap India se To Kolkata Choose kare .
  3. Yaha Individual Select kare .
  4. Idhar Usska Name Add kare Jiske Bank Account Par Payment Transfer hogi Chahiye 
  5. Address Line-1 - Yaha Aapna House Address Mention kare .
  6. City - Idhar City mention kare .
  7. Postal Code - Yaha Pin Code Add kare .
  8. State - Aapna State mention kare .
  9. Primary Contact - Yeh Automatically Add hoga . 
  10. Phone No - Yaha Mobile Number Add kare . 
  11. Yaha Automatically Email id Add hogi Jisse Aapne login kari hai .
  12. How did you... - Idhar yeh Choose kare Aap kis ke liye Adsense ads lagana Chahate hai Like Blog .
  13. Adsense Email Perferences - Yaha Sab par Yes kar Dijiye yeh Sab Notification ke Options hai
  14. Or Last me Submit My Application par Click kar Dijiye .
Jaise hi Aap Submit par Click karte hai to Kai Baar Dekha Gaya hai ki Mobile Number Verify karana hota hai Jiske liye Aapko Mobile par Text Msg send  karna hota hai Phir Aapki no par 6 disit ka code Aata hai Usse Adsense par Type karke Verify karana hota hai . jaise hi Aapki Adsense Application Full submit ho jayegi to Aapko Iss Tarah ki Image Show hogi .

Adsense Application Submit message

Yeh Baat Fix Nahi hai ki Aapki Application Kitne Time me Approval ho Jayegi But Moslty 48 Hours me Adsense Teams Email Par Reply kar Deti hai . Phir Aap Sign in Par Click Karke Ads Unit Create kar Sakte hai .

NOTE - Agar Aapka Adsense Account Approval ho Jata hai To Aap Future me Details Change  Kar Sakte hai .

I Hope Aap Easily Adsense ke Liye Apply kar Sakte hai . Iss Tutorial me Aapko Sabhi Step by Stey Bataye Gaye hai Phir Bhi Aapko Problem Aati hai To Bata Sakte hai . Agar Aapko Humara yeh Article Achha Laga to Iss Share karke Yogdan kare . 

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.