SBI Buddy App Ka Use Kaise Kare?
Chahe wo Anywhere app ho jiske jariye aap netbanking kar sakte hain,
SBI freedom app jiske jariye aap bina kisi limitation ke banking kar
sakte hain, SBI Quick transfer jiske jariye aap Rs.5000 bina beneficiary add kiye send kar sakte hain.
Aisi kayi new features state bank me launch ki hain, isme ek App aur shamil hai wo hai – SBI Buddy App
Aaj main aapko bataunga ki kaise SBI Buddy ka use kare, kaise SBI buddy me money add kare aur kisi ko bhi send kare?
SBI Buddy App Features
- Aap apne Buddy wallet me money add kar sakte hain
- Kisi bhi mobile number jo buddy app supported hai usko money send kar sakte hain
- Kisi bhi bank account me IMPS se money send kar sakte hain
- Apne Buddy wallet me Full KYC enable kar Rs.50000 rakh sakte hain
- Rs.50000/ day aap send kar sakte hain
- Rs.1,00,000 monthly aap send kar sakte hain money
- And other features like recharge, train ticket booking, movie booking
1. SBI Buddy App Install Kare
SBI Buddy se start karne ke liye sabse apne Android and Apple
smartphone par App download kare, store me search kare and Install kare.
Application install karne ke baad aapko App open karna hai aur apna
Mobile number, Email address and date of birth enter karke Signup
(register) karna hai.
- Signup par tap karte hi aapke number par OTP receive hoga jo enter karke aapko mobile Number confirm karna hai.
- Ab next aapko apna MPIN enter karna hai jo buddy app me login ke liye use kiya jayega.
- PIN generate karne ke baad apna number and PIN enter kar App me login kare.
2. Buddy App me Money Add Kare
Aap apne Buddy wallet me Full KYC approve karke Rs.50,000 tak add kar
sakte hain, Full KYC ka matlab hota hai apne Netbanking account se
Buddy App (connect) link karna. Full KYC kaise enable kare yah main aage
bata raha hu.
Agar aapne Full KYC nahi kiya hai to aap keval Rs.5000-10000 add kar sakte hain apne wallet me.
Apne wallet me money add karne ke liye Add Money par click kare.
Add money option me Amount enter kare aur Netbanking ya fir Debit Card select kar money add kare.
- Aap kisi bhi Bank account se money add kar sakte hain. Aap kisi bhi Debit card se bhi paisa apne wallet me add kar sakte hain.
3. Kisi bhi Bank Account me Paisa Transfer Kare
Aap apne wallet ki money kisi bhi bank account me transfer kar sakte
hain. Agar KYC approve ho to aap per account Rs.5000 single day me send
kar sakte hain and monthly Rs.25,000 tak transfer kar sakte hain.
Agar aapka KYC approve nahi hai to aap sirf Rs.2000 per account send kar sakte hain.
Paisa send karne ke liye Buddy App ke options ko open kare, aur usme Transfer To Account par Tap kare.
Transfer to account par tap karne ke baad aapko Amount enter karna hai jo aap transfer karna chahte hain.
Yaha aapko IMPS-MMID and IMPS-IFSC – 2 option milenge.
- Agar aapke paas Jisko paisa bhej rahe hain uski MMID hai to IMPS-MMID option select kare.
- Agar aapke pass saamne wale person ki MMID nahi hai to aap MMID-IFSC option choose kar sakte hain, isme aapko paisa receive karne wale ka account number and IFSC code enter karna hota hai.
Details enter karne ke baad paisa send kare. Kuch seconds me hi paisa receiver ke account me credit ho jayega.
4. Paisa kisi Ke Mobile number par Send Kare
Agar aapke friend/relative ke paas Smartphone hai aur SBI Buddy app
installed hai to aap uske Mobile number par paisa bhej sakte hain.
mobile number par paisa bhejne ke liye Buddy App me Send Money par tap kare.
Tap karne ke baad apne relative/friend ka mobile number enter kare and continue par tap kar send kare.
5. SBI Buddy ke liye FULL KYC Enable Kare?
Apni Buddy App me Full KYC enable karne ke liye aapko yah dhyaan dena
jaruri hai ki jo aapka buddy me registered number hai wo hi netbanking
me register ho.
Isliye jab bhi aap Buddy app me signup kare to same mobile number ka
use kare jo aapke SBI me registered hai. Tabhi aapka KYC approve hoga.
KYC approve karne ke liye apne Net banking account ko open kare, aur e-services par click kare.
e-services me left side options me Update Buddy wallet KYC par click kare (see below)
Ab next Buddy ID me apna Mobile number enter kare and next screen me Confirm karke submit kare. That’s it.
KYC approve karne ke baad aap Buddy app ka full use kar sakte hain jaisa ki maine aapko bataya.
Aap KYC ko apne Debit card se bhi approve kar sakte hain, wo option aapki app me available hai just apna debit card number enter kare aur OTP ke jariye approve kare.
To is tarah se aap State bank ki Buddy app ka use kar sakte hain. Yah
app small transactions ke liye best hai, khaas kar tab jab kisi ko
urgent 5000-10000 ki jarurat ho. Other wise big transactions ke liye aap
Net Banking NEFT and IMPS ka use kar sakte hain.
No comments: