SBI Contactless Debit Card Online Order Kaise Kare


Kya aapne Contactless Debit card ke bare me suna hai? Agar nahi suna hai to aaj main aapko batane ja raha hu ki kya hota hai contactless Debit card aur kaise aap SBI Contactless Debit card online NetBanking se order kar sakte hain.

Kya Hai Contactless Debit card?

Jaisa ki name se hi pata chalta hai contactless – matlab ki payment karne ke liye aapko POS machine par swipe karne ki jarurat nahi.

Contactless Debit cards me NFC (Near Field communication) antenna set kiya gaya hota hai, jab aap kisi shop par merchant ko pay karte hain to aapko card swipe karna padta hai lekin contactless Debit card me aisa nahi hai, aap bina card ko machine me swipe kiye direct merchant ko pay kar sakte hain wo bhi bina PIN enter kiye.
For example, aapko merchant ko pay karna hai aur uski POS machine contactless Debit card support karti hai to aap card ko bina swipe kiye payment kar sakte hain. Aapko PIN enter karne ki bhi jarurat nahi hai.
visa paywave card
Payment karne ke liye aapko sirf apna Card POS machine ke paas lana hai aur bus payment ho gayi.
Yahi nahi Contactless Debit card normal card ki tarah bhi aap Swipe kar use kar sakte hain.

Note: Contactless Debit card se aap bina card swipe kiye Rs.2000 ki payment kar sakte hain, agar aapko Rs.2000 se jyada pay karna hai to aapko card swipe karna hoga aur PIN bhi enter karna hoga.
Contactless Debit card benefit
  • Rs.2000 ki payment aap bina card swipe aur PIN enter ke kar sakte hain
  • Time saving fast transactions
  • Contactless Debit card kafi secure hai
  • normally PIN ko remember rakhne ki jarurat nahi
  • Aap normal card ki tarah bhi use kar sakte hain at online/offline payment, ATM and POS machine

SBI Contactless Debit Card Online Order kare

Contactless Debit card VISA and Mastercard dono offer karte hain aur SBI ke sath-sath kayi private banks par bhi yah card available hai.
SBI par agar aapka Net banking active hai to yah card aap online order kar sakte hain aur apne home address par card ko post ke through receive kar sakte hain.
SBI contactless Debit card jisko SBI intouch tap & Go Debit card bhi kahte hain, uski full details aap is link par sakte hain.
To aaiye dekhte hain SBI Net banking se kaise Contactless Debit card order karte hain?
1
Sabse pahle apne SBI Net banking account me login kare. https://onlinesbi.com par visit kare aur apna User ID & password enter kar login kare.

2
Login karne ke baad aapko e-Services tab par click karna hai.
onlinesbi e services ATM card service
  • Services Tab par left side options me aapko ATM CARD Services par click karna hai.
  • ATM CARD Services me aapko Request ATM/Debit card par click karna hai.
3
Next screen me aapko validation ke liye OTP ya fir profile password – koi ek option select karna hai. OTP select kiya hai to aapke register mobile number par OTP receive hoga wo enter karna hai aur profile password select kiya hai to apna profile password enter kare.

onlinesbi atm card apply process
4
Next screen me aapko apna Account select karna hai.

onlinesbi new atm debit card order
  • Name on Card me aapko apna Full name enter karna hai. Yahi name aapke Debit Card par print hoga.
  • Select type of the card me SBI – VISA Paywave select kare. Master card ka bhi available hai par VISA ka best rahega.
Now click Submit.
5
Next screen me aapko bus Details and address confirm karna hai aur submit karna hai.
onlinesbi atm card services
Done! Aapne apna contactless SBI Debit card (VISA paywave) online order kar diya hai jo ki 20 days ke andar aapke home address par receive hoga.
Card issue charge NIL (No charge) hai bus aapko card ka annual charge Rs.150/year pay karna hota hai jo ki sabhi ATM and Debit card ka hota hai.

Normal Debit Card ki tarah bhi use kare

SBI VISApay International debit card ko aap normally bhi use kar sakte hain. Contactless NFC ki feature se aap Rs.2000 ki amount kisi bhi POS par pay kar sakte hain.

Agar aapko Rs.2000 se jyada amount pay karna hai to aap swipe kar pay kar sakte hain.
VISAPay debit card se aap online payment bhi kar sakte hain aur sath me ATM machine par bhi aap use kar sakte hain.
I mean yah card normal Debit card hi hai bus isme advanced NFC chip ka use kiya gaya hai jisme aap contactless pay kar sakte hain.
Card ko online order karne se pahle iske bare me more details aap is LINK par dekh sakte hain.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.