Twitter Official Follow Button Kaise Add kare Website Me



Twitter – world ki sabse popular micro blogging community site hai and facebook ki tarah hi most popular and millions registered users ke sath sabse badi Internet social networking community hai.
Twitter par agar aapne apni website ko promote nahi kiya to kuch nahi kiya.

Website par traffic generate karne ke liye aapko social networking sites  especially facebook, twitter, Google+ and Pinterest par apni website promote jaroor karna chahiye.
 
 
Twitter par apni website ki profile create karke apni Post/Articles share kar sakte hain and kafi traffic site par generate kar sakte hain.
Twitter par agar aapko success hona hai to sabse jaroori hai apne Followers ko increase karna.
Waise twitter par followers increase karne ke liye kayi methods aap read kar chuke hain jisme followers buy karna, kayi sites aapko followers offer karti hain. Magar yah sab useless hai.
Twitter par followers aapko wo hi useful hain jo aapki site me interested hai aur natural way se aapko follow karte hain.

Ab sochne wali baat yah hai ki apne twitter profile par natural followers kaise paye jo aapke traffic ko improve kar sake.
Iska sabse easy and effective idea hai – apni website par visitors ko batana ki aap twitter par bhi available hain aur aisa aap kar sakte hain Twitter Follow Button se.
Aaj main aapko small sa tutorial batane ja raha hu jisme aap learn karenge – Twitter Official Follow Button apni website me kaise add kare?

ADD Twitter Official Follow Button On Site

Twitter Follow button website me add karne se aap apne visitors ko apne twitter account se connect kar sakte hain.
Twitter ka official follow button generate karne ke liye sabse pahle below link par visit kare.
Above address par visit karne ke baad apna Twitter Profile URL enter kare and click arrow button or press enter.

Twitter create Follow Button

Next aapko Twitter Button par click karna hai.


Twitter create Follow Button


Next popup box me Follow Button par click kare.


Twitter create Follow Button

Bus ab next aapko generated code diya gaya hai wo copy karke apni website me kisi bhi jagah add karna hai.

Twitter create Follow Button
Button Customization Options
Agar aapko Follow button ki size and other customization karna hai to click kare “Set customization options
Customization me aap Button ki size ko increase kar sakte hain, Follow button ki language ko change kar sakte hain, username hide kar sakte hain.
Twitter create Follow Button


Customize karke Update button par click kare aur generated code ko copy karke website me add kare.

Website me Twitter Follow button kaha add kare?

Follow Button generate karne ke baad aap website me kisi bhi jagah code add kar Follow button show kar sakte hain.
Aap chahe to Footer widget me About me section me Follow button add kar sakte hain.
Sidebar me aap Follow button show kar sakte hain.
Aapko site me jaha bhi add karna hai bus wo code paste kare, that’s it
WordPress par hain to just click Appearance » Customize » Widgets » Select Sidebar/Footer layout » Click Add a widget and widget me text select kar Code paste kare.
Blogger par hain to Layout par click kare. Layout me Sidebar or Footer widget me Add Gadget par click kare, Gadget list me HTML/javascript par click kare aur Code paste kare.

To is tarah se aap Twitter ka official Follow button apni website me add kar sakte hain. Bahut simple method hai.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.