Image Photo ka Size Kam Kaise kare Online [Free Tool]


Image kya hai ye to aapko pata hi hoga or ye kitni powerful hoti hai ye bhi batane ki jarurat nahi hai, khane ka matlab hai Aap 1000 Sabd bolo ya lokho kuch samjane ke liye usse jada aasar karti hai ek Image.
Agar aapki Koi site hai to aap usme image to jarur add karte hoge, kaise Image ka SEO kare uske bare me phele bhi bata chuka hu.
Image size kam kare compress karke 60 percertage hmh pe
Source: piDog
Image agar kisi ko send karni hai ya fir apni site me use karni hai to uska jo size hota hai wo bhut maine rakhta hai, uski quality ke sath. Agar Image ka Size jada hai to site par load hone me bhi time lagta hai. jisse site ka loging time bad jata hai. Apni site ka loging time 2-3 second se jada nahi hona chaiye.

Image Size Kaise Kam karte hai Bina uski Quality ko kam kare

Image ki size ko kam karne ki bhut si online site bhi hai or kuch software bhi hai, Jinki madad se ham Image Size kam kar sakte hai.. Meri jo sabse madpasand site hai, jisko me har post ki image ko compress karne ke liye use karta hu wo hai kraken.io.

kraken.io Par Image ka Size kaise kam kare

1: Simple Sabse phele kraken.io site ko Open kare
2: Ab Site Khulegi, Hame Free Interface par click karna hai.
kraken.io Image size kam karne ke liye free interface select kare
3: Ab Alga Page khulega
Image ko compress kare or uski memory dekhe
Option me 1st or 3rd ke liye hame paise dene hogi, uski jarurat nahi hai. 2nd me hai Lossy/Lossless. 
  • Agar Image ki Thodi bhut Quality Kam bhi Chalegi to Lossy select kare.
  • Agar bikul Same Quality chaiye Image ki to Lossless select kare.. Is option me uski jada memory kam nahi hogi.
Jo mene image me erow banaya hai.. Uspar Click karke apne computer me Image ko select karke upload kare.. ya fir aap Image ko Pakad kar bhi usme dal sakte hai.
Jese hi aap Image ko upload karege Niche aapko Image Upload hoti Dikh jayegi..
Bha aap dekh sakte hai – Image ka Kya size tha, Kitna Kam huaa, Kitne size ki image ban gai, Kitne % size kam huaa.. or last me Download ki Button.
Image ko Download karne ke liye, Download ki Button par Right Click kare fir Save link as par click kare.. or computer me Save karle.
Compress karke Image ko Download kare
Ek se jada Image ko ek sath compress karne ke liye aap ek sath jitni chahe image upload kare, or jab wo compress ho jaye to niche ek zip file ka option hai. uspar click karke sari image ek baar me download karle.
Image ko Ek sath bhi download kar sakte hai bhut si image ko compress karke
  1. EK-Ek karke image download karna hai to Download this file par click kare
  2. Puri Image ek sath download karne ke liye Download All Kraked in a ZIP archive par click kare.

Image ko Compress karke Size kam karne ka Faide

  1. Sabse Main to Image ka Size kam ho jayega.. to usko rakhne me aasani hogi.. Ek Image se to koi fark nahi padta par 1000 image se padta hai.
  2. Agar Site me Image use karte hai to Jada badi image se site ka loading time bad jata hai, jo hamari visitor ke liye badiya nahi hai.
Me Aapko Bata du, Jab bhi me koi post likhta hu, to uski sari Image ko me compress karke hi upload karta hu post me.. Lagbhag total meri ek post ki image ka size 1 mb ho jata hai or compress karne ke baad 200 kb.. yani mere visitor ke 800kb ki bachat ho jati hai, mere compress karne par ðŸ™‚
Last me aapse ye jaanna chata hu, ki kya aap bhi aesa karte hai, agar haa to kis trha image ka size kam karte hai, comment karte apna exprience share kare.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.