IP Address Kya Hota Hai Aur Hum Apna IP Address Kaise Pata Kare ?


Hello dosto aaj hum log janege ki IP Address Kya Hota Hai Aur Hum Apna IP Address Kaise Pata Kare. Aaj ke date me internet ek yesi duniya ban gayi hai. Jaha hum log bina safar kiye lakho km door baidhe kisi bhi insan se sampark kar shakte hai.Un se hum bate bhi kar shakte hai. Aur to aur viedo call ki madad se hum unhe dekh bhi shakte hai. Ye sab internet ki wajah se hi possible ho paya hai. Internet par Data ka aadan pradan karne ke liye bahut sare Internet Tool jimedar hai. Un me se hi ek hai IP Address. Jis ke bare me hum log yaha baat karege. To chaliye sabse pahle ye jante hai ki IP Address Kya Hota Hai.

IP Address ke address word se hi aap ko kuch samajh me aa raha hoga ki. Ye mamla kisi pate se jura huwa hai. But kis pate se jura hai ye mai aap ko bata deta hu. Darasal aap jab bhi apne mobile ya computer ko internet se connect kate hai. To aap ke device ko internet par pahchanne ke liye ek code diya jata hai. Jis se aap ki location aur network ka pata chal shake. Ish code ko hi hum IP Address kahte hai. Chaliye IP Address ko hum aur acche se samajhne ki kosis karte hai.

IP Address Kya Hota Hai – IP एड्रेस क्या होता है?

IP address ek unique address hota hai. Us her ek computer, Laptop, mobile ya phir koe dusre Upkarno ka, Jo TCP/IP network se connect ho. IP Address ka pura naam hai Internet Protocol Address.
IP Address 4 part me divided hote hai. Jiase 192.168.1.10 aur Charo part ko dot matlab dasmalaw (.) ke sign dwara aalag kiya jata hai. IP Address ke charo part me 0 – 255 number hote hai. Yah IP Address ka 4th version hai. Ish liye ishe IP version 4 (IPv4) ya Internet Protocol version 4 kahte hai. IP version 4 (IPv4) 32 bit ka hota hai.
But badhte huwe internet program ke karan IP version 4 (IPv4) ki jagah IP version 6 (IPv6) ka vikash kiya gaya hai. Ishe PNG matlab ( IP New Generation ) bhi kahtehai. Internet Protocol version 6 (IPv6) 128 bit ka hota hai.
Bit Kya Hota Hai. Bit computer ki memory ka sab se choti unit (इकाई) hoti hai. Jab 4 bit ko mila diya jata hai. To use Nibble kahte hai Matlab 1 Nibble = 4 Bits aur 8 bits ko mila dene se 1 Byte banta hai.
  • Bit  Value of either a 1 or 0 (On or Off)
  • Nibble – 1 Nibble = 4 Bits
  • Byte – 1 Byte = 8 Bits
  • Kilobyte (KB) – 1 KB = 1,024 Bytes
  • Megabyte (MB) – 1 MB = 1,048,576 bytes or 1,024 Kilobytes
  • Gigabyte (GB) – 1 GB = 1,073,741,824 bytes or 1,024 Megabytes, or 1,048,576 Kilobytes.
  • Terabyte (TB) – 1 TB = 1,099,511,627,776 bytes, or 1,024 Gigabytes, or 1,048,576 Megabytes.
  • Petabyte (PB) – 1 PB = 1,125,899,906,842,624 bytes, or 1,024 Terabytes, or 1,048,576 Gigabytes, or 1,073,741,824 Megabytes.
  • Exabyte (EB) – 1 EB = 1,152,921,504,606,846,976 bytes, or 1,024 Petabytes, or 1,048,576 Terabytes, or 1,073,741,824 Gigabytes, or 1,099,511,627,776 Megabytes.
  • Zettabyte (ZB) – 1 ZB = 1,180,591,620,717,411,303,424 bytes, or 1,024 Exabytes, or 1,048,576 Petabytes, or 1,073,741,824 Terabytes, or 1,099,511,627,776 Gigabytes, or 1,125,899,910,000,000 Megabytes.
  • Yottabyte (YB) – 1YB = 1,208,925,819,614,629,174,706,176 bytes, or 1,024 Zettabytes, or 1,048,576 Exabytes, or 1,073,741,824 Petabytes, or 1,099,511,627,776 Terabytes, or 1,125,899,910,000,000 Gigabytes, or 1,152,921,500,000,000,000 Megabytes.

Types of IP Address In Hindi 

IP Address do tarah ka hota hai.
1. Static IP Address : Static IP Address permanent Internet address hota hai. Matlab is ka IP Address kabhi bhi change nahi hota hai.
2. Dynamic IP Address : Dynamic IP Address temporary Internet address hota hai. Kyu ki is ka IP Address her samay change hota rahta hai.

Hum Apna IP Address Kaise Pata Kare In Hindi 

Step 1: Sabse pahle aap apne keyboard se window+R press kar ke Run Dialog Box open kare.
Run Dialog Box
1. Run Dialog Box open hone ke baad aap us me type kare cmd.
2. Run Dialog Box me cmd type karne ke baad ok kare.
Step 2:
Cmd window open hone ke baad aap us me ipconfig type kare aur phir enter press kare.
Step 3:
Enter press karte hi aap apna IP Address dekh payege. Jaisa ki aap upper ke image me dekh pa rahe hai.
To dosto aaj aap ne ye jaan liya ki “IP Address Kya Hota Hai Aur Hum Apna IP Address Kaise Pata Kare”. Agar aap internet ya blogger se sambandith koe bhi sawaal hai. To app hume comment kar ke apna sawaal puch sakte hai.
Asha karta hu dosto ki ye post aap ko pasand aayi hogi.Agar post pasand aayi hai to ishe jarur share kare. Aur ho shake to apne dosto se bhi share karne ke liye kahe.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.