Adsense Approval kyu nahi hota real mistake or Secret Tip's.
Adsense Approval kyu nahi hota real mistake or Secret Tip's.
Adsense Approval kyu nahi hota real mistake . Aaj me wo Batana ja raha ho Jo Aap nahi jante . or sabse badi Mistake kuch people's jante hai Par Follow nahi karte . because wo yeah sochate hai jo hoga dekha jayega . or jab wo Adsense ke liye Apply karte hai to disapprove ho jata hai or phir wo Apni galti Par pachhtate hai .
Mai Aaj kal mostly Aaise web Owner dekh raha ho jinhone Apne web Par dil laga kar hard work kiya hai . jo really Tarif ke layek hai Par unka Google Adsense Approval ka koi reply nahi hai . mujhe bada Aphasos hai ki Aaise Owner ka Adsense Approval nahi hota . jinhone raat din ek kar diya hard work karne me .
Or kuch Aaise bhi hai Jinka fast Approval ho gaya hai . yeah unka luck kahe sakte hai ya phir yeah bol sakte hai ki unhone anjane me hi Par Apni Website Adsense ke layak Bana rakhi thi.
my story
Mai ek din yeah socha mai dubaara Apply kanta ho kya pata First Time luck ne sath de diya ho . Aap believe nahi karege ki iss tahar Maine Totally 3 Adsense account Approval Kara liye . alag alag Blog Par or alag I'd se . phir mujhe pata chala ki people's kaha mistake karte hai .
Mai Aapko kuch Secret Batata ho Agar Aap inhe Follow karte hai to koi bhi Aapka Adsense Approval hone se nahi rok sakta hai .
Note :- read karna or follow karna dono me farak hota hai . agar Aap Follow karege to 201% Approval hoga . or read karege to mai kuch nahi kahe sakta . ab depend Aap Par karta hai . mai only guide kar sakta ho .
follow rules
To sabse phele Aapko yeah pata hona chahiye ki Google Adsense Team kya like karti hai . to mai Aap ko batana chahata ho Client ko behetar service dena pasnad karti hai . for example - jaise koi Client Adsense se Apni product , site , campany etc ke Advertising karta hai . Client moslty yeah sochata hai ki Advertising Par click hone se jayda. Advertising people's Blog web , Apps Game Par dikhe . or Team bhi yeah chahati hai ki people's click kare ya Na Kare bas User ko ad's show hona chahiye .
Or Aap Adsense ke liye Apply karte hai or Aapki web ki loading Speed fast nahi hai . to Aap hi soche ki koi visitor Aapke Blog Par aata hai . or Apni Blog load hone me hi Time leta hai to moslty visitor Aapki site se Remove ho jate hai. phir Adsense kaha show hoga . I mean page ke sath ad's minimum 5 se 6 second me ad's show hone chahiye . or agar Aap ki loading speed hi kam hai to 5 to 6 seconds to Aap page Open hone me lelega . iss problem ko notice karke Adsense Team Approval nahi hai hai . to sabse phele Apni loading Speed check kare or better karne ki koshish kare .
Extra Widget
2 :- mostly web Owner Apne Blog ko full design or Better look dene ke chakar me widget pe widget add kar dele hai . jo ki Adsense ko pasnad nahi hai . Aap simple or clean Blog Create kare phir Approval ke liye Apply kare . ya ek tarika or hai ki jab Aap Apply karte hai to kuch din ke liye extra Widget Remove kar dijiye .
Sitemap & Crawl error
3 :- Apne Blog ka Sitemap sabhi search Par submit Kare or Aapne kar rakha hai to jo Crawl ERROR hai unhe fix kare .
Copy image & Post
4 :- copy post or copy image ka Use nahi kare or Apne post ki sabhi image ko SEO kare .
Page demand
5 :- Apne Blog Par contact us & privacy page jarur Add kare . or Aapka Blog Mobile friendly hona chahiye .
Broken links
6 :- Apne Blog Par broken links check kare .
Minimum post
7 :- kam se kam Aap Apni web Par 25 se 30 post Publish kare good quality content ke sath or wo sabhi post Webmaster ke Tool ki help data highlight se Publish kare .
Note :- iss ke baare me mai ek post write karuga jise Aap ko pata chal jayega data highlight Webmaster tool me kaise Use karte hai.
Spam I'd
7 :- sabse most important baat Agar ho sake ho New Gmail I'd Create kare real details ke sath phir Apply kare . yeah ek Secret hai jo ki bahot kam logo ko pata hai . moslty yeah hota hai ki jab hum YouTube account or AdSense account Banate hai personal I'd use kar lete hai . or hume yeah nahi pata hota ki humari email id kis kis ne spam me kar rakhi hai . or hum apply kar dele hai jaise hi humara Message Team ka jata hai waha lage software humari Gmail I'd Par spam kitne hai Count kar deti hai jis se agar jayda Spam hone Par hume Disapprove kar diya jata hai . Kai User ko iss wajah se reply kar nahi milte Team ki Taraf se .
Note :- Gmail I'd Spam me koi bhi kar sakta hai for example jaise Maine kisi web Par Comments Kara or wo comments web admin ko Better nahi laga to wo meri I'd Spam par dal sakta hai . or mujhe pata tak nahi chalega . or bhi karan hai online chatting room join karna , porn site Par login karna or bhi Kai karan yeah jisse Gmail I'd Spam ho jati hai . issliye new real I'd Banaye or Apply kare .
Agar Aap yeah sabhi Step Follow karte hai Phir kis ki himat jo Aapka Adsense Approval hone se rok de . 201% Guarantee hai. Jaise ki Maine upar Bataya hai ki Maine 3 Adsense account approved karaye the jo ki Adsense Guidelines ke khilaph hai . but jab Mai iss baare me Bariki se samjh paya ho . sab Mai yehi bolna chahata ho ki Aap ka hard work kaam aaye . because mehenat karne ke baad phal nahi milta to bada dhukh hota hai .
No comments: