Blog Broken Link :- Blog / website Par Broken Link check kaise karte hai or jankari

Blog Broken Link :- Blog / website Par Broken Link check kaise karte hai or jankari


fastmoneyxyz.com

Hello everyone, iss Article me Broken link Par jankari digayi hai, Blog / website Par Broken Link kya hote hai, Broken Link se Blog / website Par kya Nukshan (Loss) hota hai . 

Broken Link

Blog Article me 2 tarah ke link ADD hote hai- Internal Link or External Link
1 :-  Internal Link wo hote hai jo hum Apne Post ke dusare Post Par ADD karte hai.

2 :-  External Link jo hum dusari site ke link ADD karte hai 

Mostly yeh hota hai ki hum post delete karte raheta hai or hume yeh nahi pata hota jo post hum delete kar rahe hai us post ke link humane kis-kis Post Par ADD Kare hai. Or wo link Broken Link hote hai. Iss tahar Broken Link ka janam hota hai .

To Ab Aap ko pta chal gaya hai Broken Link Dead hote hai .

Broken Link ke Nukshan

Ab jante hai Broken Link ke loss
Agar Aap ki site Par jayda Broken Link hai to Aap apna Traffic bhi kho sakte ho kyoki visitors Aapke Article ke diye gaye Link Par click krege or wo Article open nahi hota or agar aapke user ko Aaise 3 Se 4 Dead link mil jate hai wo user ka website se viswash hat jata hai or wo User dubara apki site Par visit nahi karta hai.

Agar Aap Google AdSense Approved karne ki soch rahe ho or aapki website Par Dead link hai to Google AdSense Aap ki request Approval nahi karta hai. Kyoki Google AdSense Aapki website ko Scan karta hai or Google ko Broken Link dekhte hai to Google AdSense Approval nahi hota hai.

website Broken Link checker


Blog /website Par Broken link check karne ka free tool .
Iss tool ki help se Aap anpi Blog / website Scan karke sabhi Dead Link Delete kar sakte hai .

Sabse Phele Link Par click kar dijiye or iss site Par jaye.  Broken Link tool

Ab apne samne iss tahar ki image show hogi , niche image me dekhe sakta hai.

fastmoneyxyz.com

1 :-  yaha apni website / blog ka URL dal dijiye.
2 :-   yaha apna security code dal dijiye.
3 :-   Ab find broken par click kar dijiye.
Ab kuch second me aap ke samne aapke website / blog ke broken Links (dead link) show hoge .
Ab apki  website / Blog ke Dead link ,broken link show hoge. Niche image Par dekh sakte hai.

fastmoneyxyz.com

Ab yeh janne ke liye ki kis post Par Broken Link hai URL kar click kar dijiye .
Ab apke samne apke Blog ka Post open hota usme dekh sakte hai ki kaha Dead Link ADD Kara hai apne. or baad me use delete kar sakte hai.
Note agar apki website par koi Broken  Link nahi hai to show nahi hoge.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.