Youtube se Online Earning kaise kari jati hai And Basic Details
Youtube se Online Earning kaise kari jati hai And Basic Details
UPDATED POST : Hello everyone Iss Post me Yeh Bataya Gaya hai Youtube se Online Earning kaise Kari Jati hai Sath hi Aap yeh bhi jaan Sakte hai Youtube se payment kaise li Jati hai etc Basic Details . India ke Andar Bahot se Aise Peoples hai jo Youtube se Bahot hi Achhi earning kar rahe hai . Yeh ek Real Online Bussness hai Bas Aapke Pass ek Better Strategy or Planning honi Chahiye Iss Field me Work karne ke liye .
Youtube se Earning kaise hoti hai ?
Yeh Question Starting me Har Beginner ke Maan me Hota hai , to Mai Aapko Sabhi Sawal ke Jawab dene ki Koshish karta hoon . Youtube Ek Aisa Platform hai Jaha Aap Aapni Banayi Gayi Videos Upload karte hai Or Agar Video Copyright nahi hai to Aap Us video par Monetization Enable kar ke Earning kari Jati hai jo ki bahot hi easy hai .
Ab Aap Yeh Janna Chahate hoge Monetization kya hoti hai ? Video par Monetization On karne se Videos par Advertise Show hote hai jo User Aapki Videos ko Dekhta hai to Wo Advertisement Unhe bhi Show hote hai Agar Wo User Uss Ads par Click karta hai to Aapki Earning hoti hai But Aisa nahi hai ki Aapki ke Earning Click karne par hi hoti hai Videos ko Dekhne par bhi hoti hai Agar video par Monetization Enable kara hai to .
Youtube par Monitization karne ke liye Sabse pahele Aapko Google Adsense par Apply karna hota hai Google Adsense Apply karne ke liye Aapke youtube Channel par Minimum 2 se 3 Videos hona Improtant hota hai .
Youtube se Aap Google Adsense ke liye Direct Apply kar Sakte hai , jaise hi Aapki Application Approval hoti hai Aapki Email Id par Mail Aata hai ki Aapka Adsense Approval ho gaya hai Uske Baad Videos par Ads Dekhna Start ho jate hai phir jitni bhi videos upload karte hai har video par Monetize on karna hota hai or Sath ki Sath Ads Dikhna Start ho jate hai .
NOTE : Yeh Saare Procces kaise kari jati hai Aapko next post me Bataya jayega jiska link Aapko iss post me mil jayega .
Aap Jinti Earning karte hai Usme se Youtube Aapni Commission Cut karta hai , Agar Sahi Sabdo me Bola Jaye to Youtube Aapke Ki Help se Earning karta hai Or Aap Google Adsense ki Wajah se Earning karte hai .
Youtube par Better Earning karne ke liye Subscribe Increase karne hote hai jaise jaise Aapke Subscrible Badte hai Waise Waise paise bhi Badte jate hai Or ek din Aisa Aata hai jab Aap Video Publish karte hai kuch Hours me hajaro Views ho jate hai Aapki Videos par . Aisa Isliye hota hai ki Aapke Channel ke Subscrible jayda hote hai . Starting me Aapko paise earn karne ke Baare me nahi Sochna Chahiye Bas Aapko yeh Sochna Chahiye ki Aap Subscribe kaise Increase kar Sakte hai .
Youtube se payment kaise Receive karte hai ?
First me Aapko Bata do ki youtube se hone wali Earning ki payment Google Adsense Pay karta hai jo ki Google ki Office website hai . India ke Ander Minimum $100 pay kare jate hai . payment lene ke liye Aapko Apne Adsense Account par Apne bank ki Details Add karni hoti hai phir Aapke $100 hote hi Aapne Bank Account me automatically Transfer ho jate hai Isse Wire Transfer Bola jata hai .
NOTE : jaise hi Aapke $10 hote hai Aapka Adsense Account par pin verify ki Notification Show hone Lagti hai Ab Aapko Aapne Account par login karne pin send karna hota hai or phir pin code Aapne Address par Aata hai By Courier , uske Ander pin code hota hai Usse Aapko Apne Adsense ke Dashboard par jakar pin ko Add karna hota hai Jabhi Aapka account Verify hota hai uske Baad hi Aap Apne Bank ki Details Google Adsense account me add kar Sakte hai .
Jo Letter By Courier Aapke Address par Aata hai Aap uss ka Screen shot niche image me dekh Sakte hai .
Pin verify ko liye 3 Baar hi Aap send kar sakte hai Agar kisi wajah se Aapko letter nahi milta to Aapko Apni Id ki Scan Copy Add karke Adsense pin Verify karna hota hai . Without Pin Verify Aap Adsense se Payment Receive nahi kar Sakte hai .
I Hope Ab Aapko Youtube se Paise kaise Kamaye Jate hai full Details Pata Chal Gayi hogi Agar Aapko Hamara yeh Article Useful Laga hai to Isse Share Karke Hamara Sahyog kare . Thank You For Visit !!!
No comments: