Aadhaar Card SBI Account Se Link Kaise Kare [5 Methods]
Kya aapka Aadhaar card aapke Bank Account se link hai, I mean bank me aapne apna aadhaar card number register kiya hai?
Agar nahi hai to bata du ki aadhaar number ko apne bank account se
link karne ke kayi benefits hain. Kyun ki ab aapka aadhaar card aapka
debit card ka kaam karega. Ji ha abhi-abhi aadhaar card based payment
facility launch hui hai.
Yahi nahi BHIM app ke jariye agar aapko aadhaar number se money
receive karna hai to uske liye sabse pahle aapko apna aadhaar number
apne bank account se link karna hoga.
Sabse important LPG gas subsidy receive karne ke liye aapko apne bank account se aadhaar number link karna jaroori hai.
Aaj main apne state bank of India ke customers ko bataunga ki kis
tarah se aap apne bank account me Aadhaar card link kar sakte hain wo
bhi bina branch visit kiye.
Aadhaar Card SBI Account me Link kare
Yaha main aapko 5 different methods bata raha hoon aur aap kisi bhi method ka use kar sakte hain, sab easy hai.
1) Onlinesbi Net banking se Link Kare
Aap apne Net banking account par login karke account se Aadhaar Card link kar sakte hain.
Agar aapke paas Net banking nahi hai to aap sirf 5-minutes me apne ATM card se online activate kar sakte hain.
To sabse pahle onlinesbi.com par jakar apne net banking account par login kare
- Account me login karne ke baad My Account tab par click kare.
- My Account me Link Your Aadhaar Card Number link par click kare
- Ab apna bank account number select kare aur uske baad Aadhaar card number enter kar Submit kar de.
2) SBI Anywhere (personal) App ke through Link Kare
Aap State bank ki mobile App SBI Anywhere (personal) se bhi Aadhaar
card apne bank account se link kar sakte hain. Mobile app Android, iOS
and windowsphone ke liye available hai.
1
Sabse pahle SBI Anywhere app par login kare.
2
App me login karne ke baad Requests Tab par tap kare
3
Requests me aapko Aadhar option milega, uske upar tap kare.
4
Aadhaar par tap karne ke baad next aapko Aadhaar Seeding par tap karna hai.
5
Ab agli screen me aapko apna account number select kar, apna 12-digit aadhaar number enter karna hai aur submit karna hai.
That’s it.
3) SBI Freedom App se Link kare
SBI Freedom Application par bhi aap Aadhaar Card apne Bank account se link kar sakte hain.
Agar aapka SBI Freedom mobile banking activate nahi hai to aap SMS ke through activate kar sakte hain.
1
Sbi Freedom app par account me Login kare
2
Yaha aapko Request option par tap karna hai, aur next Aadhar Seeding option par tap karna hai.
3
Ab next screen me apna account select kare aur aadhar card number enter kar Link par tap kare.
4) SMS Karke Link Kare
Aap Registered mobile number se SMS send karke bhi apna Aadhaar card number apne sbi bank account se link kar sakte hain.
Message box open kar new message par tap kare aur see below:
Type kare UID <aadhaar number> <account number> and Send to 567676
Example: UID 572747275752 20117678838 and send 567676
SMS send karne ke baad aapko confirmation message receive hoga.
5) ATM Ke through Link kare
Aap apne near by State bank ATM par jakar bhi apna Aadhhar card account se link kar sakte hain.
- ATM card swipe kar PIN entre kare aur login kare
- Services tab par tap kare
- Services me Registrations par tap kare
- Registration me Aadhar Registration par tap kare aur apna account select kar aadhar numer enter kar link kare.
Final Words
To above 5 methods se aap apne aadhaar card ko SBI account se link
kar sakte hain. Aaj nahi to kal sabhi banks me aadhaar card number link
karna mandatory kar sakti hain isliye iske bare me aapko jaankari hona
jaroori hai.
No comments: