National Consumer Helpline Me Online Complaint Kare
Aap aur hum jaise consumer kahi na kahi, kisi na kisi jagah cheating ka shikar ho jate hain.
Choti-moti jagah nuksaan ho to customer neglect kar deta hai, par jab
as a customer aapke sath koi badi cheating hoti hai to kya kare?
Kis jagah jaye help ke liye, kaha complaint kare?
Don’t worry! ab aap Consumer forum me online complaint kar sakte hain.
Yes, Digital India me aise bahut se kaam hain jo ab aap online kar sakte hain.
Aaiye dekhte hain kaise aap aisi cheating karne wali companies ke khilaf online complaint kar sakte hain.
Consumer Forum me Online Complaint kaise kare?
National Consumer Helpline (NCH) ek online portal hai jaha aap kisi bhi company ke khilaf apni complaint register kar sakte hain.
Yah website union ministry of consumer affairs ki initiative hai jaha grahak ki problems ko solve kiya jata hai.
Hmm! to aapne flipkart se refrigerator order kiya hai, aur order
receive hone ke baad aapne paya ki wo defective hai aur flipkart ko call
karne par wo aapki baat ko nahi sun rahe hain.
Na to wo refund karne ko ready hai aur na hi refrigerator ko replace karne ke liye ready hain.
To ab complaint karna hi behtar hai, aaiye complaint karte hain.
1
Sabse pahle National Complaint Helpline par visit kare aur Register karke apna account banaye.
2
Account create karne ke baad apne account profile me login kare.
- Login karne ke baad Complaint Registration par click kare.
- Next register Your Complaint par click kare (see below image)
3
Ab aapke saamne complaint registration form open hoga, jisme aapko sector, category, company aur apni complaint add karni hai.
- Sector me aapki product kis se related hai banking, automobile, telecom wo select kare
- Category me product se related alag-alag category select kare.
- Company me apni listed company ko select kare
- State and city select kare
- Problem me apni problem ko select kare
- Complaint box me aap Maximum 2000 words me full details me apni complaint ko write kar sakte hain.
Bus ab form ko fill karne ke baad submit kare.
Complaint karne ke baad kya hoga?
Online complaint karne ke baad ab Consumer helpline related company se contact karegi aur aapki complaint ko forward karegi.
Ab yah company ki responsibility hai ki on priority aapki problem ko solve kiya jaye.
95% cases me aapki problem solve ho jaati hai agar aap apni jagah sahi hain aur 100% company ki mistake hai to.
Complaint Status Dekhe
Aap apni complaint ka status apne account me login karke dekh sakte hain ki abhi kya process ho rahi hai.
- Complaint status dekhne ke liye Complaint registration par click kare
- Now View Your Complaint Status par click kare
- Next apna Complaint docket number and username add kare.
- Ab aap next screen me apna status dekh sakte hain.
Agar category me Company Listed na Ho to Kya kare
National Consumer helpline portal par waise to sabhi popular
companies listed hain par agar aapko jis company ki complaint karna hai
aur wo listed nahi hai to bhi aap help line ka use kar sakte hain,
1800-11-4000 – toll free number hai jo dial karke aap consumer help le sakte hain.
I hope as a customer aapko yah article pasand aaya hoga. Internet ne
aapke kayi kaam aasan kar diye hain, bus aapko uski knowledge hona
jaroori hai.
No comments: