Apna CCC Certificate Online Download Kaise Kare?
CCC (course on computer concept) ki exam ka form aap online fill
kar sakte hain aur exam ke liye apply kar sakte hain. Iske bare me main
aapko bata chuka hu.
Aaj main aapko batane ja raha hu – apna CCC certificate online
download kaise kare, ji ha exam dene ke baad aap apna certificate online
download kar sakte hain. Bata du agar CCC ke liye aapne online apply
kiya hai to aapko apna certificate online download karna padta hai.
CCC ki exam complete karne ke baad 1 month baad aapka result announce
kiya jata hai, iske bare me aapko email par message kiya jata hai.
To chaliye apna CCC certificate online download karte hain.
Download CCC Certificate online
important: Is se pahle main
aapko process batau, aapko batana chahunga ki Online CCC certificate
download karne ke liye aapko 3 chance diye jaate hain, isliye sabhi
details correct enter karke apna certificate download kare.
1
Apna CCC certificate Download karne ke liye sabse pahle e-certificate
portal par visit kare, yah NIELIT ki e-certificate download portal hai.
2
e-certificate portal par visit karne ke baad aapko apna course ccc
select karna hai, exam year and month select kare, DOB enter kar submit
par click kare.
- Submit par click karne ke baad Verify code via email OR SMS me aapko verification karna hai. Yaha Mobile select kare, wohi mobile number enter kare jo aapne application ke samay submit kiya tha.
- Number enter karne ke baad Send SMS par click kare.
- Ab aapke Mobile number par OTP receive hoga jo aapko verification code (OTP) me enter karna hai. Bus ab submit par click kare.
3
Next screen me aapko Download certificate par click karna hai. Click
karte hi aapka certificate PDF format me download ho jayega. Jaisa ki
maine kaha aap sirf 3 times online apna certificate download kar sakte
hain, wo cheej dhyaan me rakhe.
Next Kya kare?
Ab Download kiya gaya PDF certificate aapko Adobe Acrobat Reader me
open karna hai. Adobe acrobat reader me open karne ke baad aapke
Certificate ka digital signature automatic verify ho jayega aur Question
mark ki jagah green color me sign mark show karega.
No comments: