Change/Update SBI Internet Banking Login and Profile Password


Agar aap Net banking ka use karte hain to yah aapke liye bahut jaroori hai ki aap apna Net banking password regular change/update kare. Security ke liye yah bahut jaroori hai. Main 6 month me apna Net banking password change kar deta hu.
Agar aap SBI Net Banking customers hain to aaj main aapko apna SBI Net Banking Login Password and Profile password kaise change/update kare iske bare me batane ja raha hu.
Kya hai Login password & Profile Password
Jab aap Net Banking me login karte hain to us samay aapko Login password enter karna padta hai. Aur Profile password aap jab net banking account me kuch settings, change ya koi validation activity karte hain to usme enter karna padta hai.
Overall, Login password ka use SBI NetBanking me login karne ke liye aur profile password validation ke liye use kiya jata hai. Dono password aapko yaad rakhna jaroori hai.
Login password agar aap forget (bhool) kar jaate hain hain to aap Profile password ka use kar reset kar sakte hain, lekin agar aap profile password forgot (bhool) jaate hain to wo reset karne ke liye aapko branch me contact karna padta hai.

Safety ke liye aapko apna Login password and profile password dono change/update karte rahna chahiye, to aaiye dekhte hain SBI Net banking me Login and profile password kaise update/change kare.

Change/update SBI NetBanking Login Password

Apna SBI NetBanking login password change karne ke liye sabse pahle netbanking me login karna hai, user ID and password enter kar login kare.
Net banking me login karne ke baad aapko Profile tab par click karna hai.
onlinesbi change password
  • Profile me aapko Change Passwords ka option show karega, bus yaha aap apna login & profile password change kar sakte hain.
Change Passwords par click kare.
Next screen me validation ke liye apna current Profile password enter kare.
onlinesbi change password 



Sabse pahle hum Login password change karenge, Login password tab par apna old login password type kare aur uske baad apna New login password set kar submit kare.
onlinesbi change password
Done! aapka login password successfully change ho gaya hai.
onlinesbi change password

Change/update Profile password

Profile password ko update/change karne ke liye bhi same process hai.
Profile tab me change passwords option open kare.
Change Passwords me aapko Profile password tab par click karna hai.
onlinesbi change profile password
  • Ab next aapko apna Old profile passwd and New profile passwd set kar submit karna hai.
To is tarah se aap SBI Net Banking me apne Passwords ko change/update kar sakte hain, safe banking ke liye yah bahut jaroori hai isliye ignore na kare.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.