Apply PAN CARD through Aadhaar Card Online



Mere last article me maine aapko bataya ki kaise aap online apne PC par Pan Card ke liye apply kar sakte hain aur ghar par apna Pan card receive kar sakte hain.
Ek Good news yah hai ki ab aap apne Aadhar card se pan card ke liye apply kar sakte hain aur ab aapko documents income tax office submit karne ke jarurat nahi hai, aapko sirf apna Aadhaar card online PDF file me submit karna hai aur authenticate karna hai.

Matlab ki ab sara kaam aap online kar sakte hain.
To chaliye step by step aapko batata hu ki  Aadhaar card se Pan card ke liye online apply kaise kare?

Apply PAN CARD online through Aadhaar Card

Aadhaar Card se apply karne ke liye aapke paas Aadhaar card, aadhaar card se linked mobile number hona jaroori hai. Linked mobile number wo hi hai jo aapne aadhar card form me add kiya tha.
Aapke Aadhaar Card me jo photo hai wo hi aapke PAN CARD par print hoga.
Sabse pahle income tax ki official website par visit kare aur Apply Online me Details add kare.

apply pan card online
  • Application Type — New PAN-indian citizen (form 49A)
  • Category — Individual
  • Applicant Information me apna Name, Email address, Date of Birth aur Mobile number enter kare. Mobile number aapka wo hi hona jaroori hai jo Aadhaar card me register kiya tha.
Details enter karne ke baad Submit kare.
Next screen me Token Number generate hoga wo aapko Note karke rakhna hai, token number se aap form ko baad me login karke bhi fill kar sakte hain, isliye token number notepad me note kar le.
apply pan card online
Now click Continue with PAN Application Form.
Next screen me aapko “How do you want to submit your PAN application documents” me “Submit Digitally through e-KYC & e-sign (paperless)” select kare.
apply pan card online


Full Name of Applicant 
apply pan card online
  • Aadhar Number me apna Aadhar Card number enter kare.
  • Apna Name enter kare
  • Name that you would like to printed on PAN CARD me apna full name enter kare, yah name aapke PAN card me print hoga
  • Date of Birth enter kare
  • Gender select kare
Have you ever been known by other name me “NO” select kare
Details of Parents me aap Father or Mother kisi ka bhi name enter kar sakte hain.
apply pancard online
Now click Next.

Source of Income
Source of income me apna income source select kare.
Address for communication
Address for communication me apna Residence select kare.
apply pan card online
Residence Address

Residence Address me apna Home address enter kare, office address aapko enter nahi karna hai.
apply pan card online
Telephone number & Email ID details
Apna mobile number aur email address enter kare, Mobile number me apna Aadhar card me register kiya gaya mobile number enter kare.
Representative Assessee me “No” select kare.
apply pan card online
Now click Next.
Ab agli screen me aapko Area code, AO type, Range code and AO No. enter karna hai.
apply pan card online
Yah sari details add karne ke liye neeche “For help on AO code, select from the following” me “Indian Citizens” select kare.
Ab apna State and city select kare aur Choose AO code list me se apna Area ko select kare, bus aapki sari details add ho jayegi.
click Next.
Next screen me Proof of identity, Proof of address and proof of DOB me aapka Aadhar card already selected hoga.
Aapko Yaha Declaration fill kar submit karna hai.
apply pan card online
Submit karne ke baad next screen me aapko ek bar fir se sabhi details ko check kar confirm karna hai aur Proceed par click karna hai.
Ab aapko Payment karna hai.
Mode of Payment me Online Payment select kare. Aap total fee screen par dekh sakte hain jo aapko pay karna hai.
pan card apply online
Online payment successful pay karne ke baad Payment receipt aap screen par dekh sakte hain, yaha aapko continue par click karna hai.
online pan card apply
Ab agli screen me aapko apna Aadhar Card Authenticate karna hai. Dhyaan rahe Aadhar card aapka tabhi Authenticate hoga jab sari details aapne same Aadhar card jaisi fill ki hogi, specially Name, address and mobile number.
pan card online apply
Authenticate par click kare.
Successfully Aadhar card Authenticate hone ke baad aapki PAN CARD application successfully submit ho jati hai.
Aap next screen me apna Acknowledgment slip dekh sakte hain.

Agar Aadhar card Authenticate Nahi hota hai

Agar aapka aadhar card authentication failed ho jata hai to aapko Application form ki print nikalkar physically income tax address par send karna hoga.
Waise agar aapne same Aadhar card ki details fill ki hai to aisi problem nahi hogi.

Frequently Asked Questions

1: Mere paas Aadhar card nahi hai, main kaise apply karu?
Answer: Agar aapke paas aadhar card nahi hai to bhi aap Online Pan card apply kar sakte hain. Follow this Guide.
2: Aadhar card me Kaun sa Mobile register hai kaise pata kare?
Answer: Agar aapko yah nahi pata ki Aadhar card me aapne kaun sa mobile number register kiya tha to Aadhar Mobile email verification link par jaye aur apna Number enter kare.
3: Kya Aadhar card se Apply karne ke liye koi document upload karna padta hai?
Answer: nahi, aapko koi document or photo upload karne ki jarurat nahi hai, sirf aapko Aadhar card authenticate karna hai aur payment karna hai.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.