SBI Freedom App Se Smartphone par Banking Kaise kare?
SBI Freedom Mobile App state Bank of India ki Mobile banking
application hai jiske jariye aap apne smartphone par banking ke sabhi
kaam kar sakte hain. Yah Application Android, iOS, Windows Phone jaise
platform par available hai jo aap apne smartphone me install kar use kar
sakte hain.
Aaj main SBI customers ko bataunga ki kaise aap SBI freedom app ka
use karke banking ke sabhi kaam apne smartphone par kar sakte hain.
Halaki kuch kaam aise hote hain jiske liye aapko bank ki branch me jana
padta hai lekin most of work aap SBI freedom par kar sakte hain.
SBI Freedom Features
SBI freedom ek standalone app hai. Aap apne bank me registered mobile
number se login ID and MPIN generate kar application me login kar sakte
hain aur apna bank account manage kar sakte hain.
SBI Freedom Application se aap kya-kya kar sakte hain aaiye wo dekhte hain:-
- Funds transfer:- Aap kisi bhi bank account me fund transfer kar sakte hain.
- IMPS Fund Transfer:- Immediate payment service (IMPS) 24/7 fast money transfer kar sakte hain.
- Enquiry Services (Account Information, Mini statement, Balance Enquiry)
- Fixed / Recurring Deposits:- Fix Deposit and recurring deposit open kar sakte hain
- Cheque Book request:- new Cheque book aap request kar sakte hain
- Mobile Top up/DTH recharge:- Sabhi telecom mobile recharges and DTH recharges aap kar sakte hain.
- Postpaid Bill Payments:- Postpaid Bill pay kar sakte hain.
- Registered Mobile Number change:- Apna Bank me registred number change kar sakte hain.
- Add Payee:- Fund Transfer karne ke liye aapko pahle beneficiary add karna padta hai wo bhi aap yaha add kar sakte hain.
- Aadhar Card Link:- Aap apna aadhar card number apne bank account se link kar sakte hain.
To chaliye one by one SBI freedom application ka use kaise karte hain uske bare me jaante hain.
SBI Freedom App par Register kaise kare
SBI Freedom app par registration karne ke liye aapko apna Bank se registered mobile number chahiye.
SBI freedom app par register kaise karte hain iske bare me main article likh chuka hu wo aap read kar sakte hain.
SBI Freedom App kaise use kare
SBI Freedom app par register karne ke baad apne Login ID and MPIN se login kare.
Ab hum Freedom app par available sabhi features ke bare me learn karenge aur dekhenge yah app aapke liye kya-kya kar sakti hai.
1. Account Balance Inquiry/Mini statement dekhe
Apne Account me total available balance kitna hai, last transaction details and mini statement aap dekh sakte hain.
Account balance and statement dekhne ke liye My Accounts par tap kare. My Account me aap Balance inquiry and mini statement par tap kar details dekh sakte hain.
2. Fund Transfer
SBI Freedom par aap Fund transfer bahut easily kar sakte hain. NEFT
aur IMPS dono method se aap kisi bhi bank account me money send kar
sakte hain.
Agar aap NEFT se money transfer karna chahte hain to sabse pahle
aapko payee add karna hoga jo ki aap Add payee option par kar sakte
hain.
Agar aapko IMPS se fund transfer karna hai to wo aap MMID ya fir
account number and IFSC code se kar sakte hain, IMPS me aapko payee add
nahi karna padta.
Fund Transfer karne ke liye SBI Freedom app par Fund Transfer par tap kare.
Fund Transfer par aap below options dekh sakte hain:
Third Party Account (within bank)
Agar aapko SBI to SBI NEFT se fund transfer karna hai to is option
par tap kare. Kisi doosre sbi account me money transfer karne se pahle
aapko wo account add payee me add karna hoga.
Add payee me account add karne ke baad aap us account holder ko paisa send kar sakte hain.
- Third Party account (within bank) par tap kare.
- Next screen me payee ko select kare aur amount enter kar submit kare.
Next screen me aapko OTP enter karna hai jo aapke Mobile number par
receive hoga. OTP enter kar submit karne ke baad aapka money
successfully payee account me transfer ho jayega.
IMPS-Mobile No & MMID
Agar aapke paas saamne wale person ka MMID and Mobile number hai to
aap yah option select kare. MMID (Mobile money identification number)
hota hai jiska use IMPS fund transfer me hota hai. MMID sabhi bank
account holder ke paas hota hai, wo aap bank se pooch sakte hain.
- MMID and Mobile number se fund transfer karne ke liye IMPS-Mobile NO & MMID par tap kare.
- Next screen me aapko jis person ke account me paisa send karna hai uska MMID and mobile number enter kare, amount enter kare aur submit kare.
Submit karne ke baad aapke registered mobile number par OTP receive hoga jo aapko next screen me enter karna hai.
Done! aapne successfully fund transfer kar diya hai.
IMPS-Account No & IFSC
Agar aapke paas saamne wale person ka MMID and mobile number nahi
hai, to bhi aap uske account me IMPS se money transfer kar sakte hain.
Uske liye aapke paas saamne wale person ka account number and IFSC code
chahiye.
- Account no & IFSC se IMPS fund transfer karne ke liye IMPS-Account No & IFSC option par tap kare.
- Next screen me aapko jis person ko paisa send karna hai uski Bank select karna hai, Account number enter karna hai aur agar IFSC code poocha gaya hai to wo enter karna hai. Amount enter kare aur submit kare.
Submit par tap karne ke baad aapke mobile number par OTP receive hoga jo aapko next screen me enter kar submit karna hai.
Done! aapne successfully IMPS se fund transfer kar diya hai.
Other Bank Account -IMPS/NEFT
Agar aapko SBI ke alawa other Bank like ICICI, KOTAK, HDFC, BOB etc
me NEFT or IMPS se fund transfer karna hai to yah option par tap kare.
IMPS transfer to aap bina payee add kiye MMID and bank account number
se kar sakte hain, lekin NEFT fund transfer karne ke liye aapko wo bank
account add payee me add karna hoga.
Agar aapne payee add kiya hai to aap NEFT ke through is option se other bank me fund transfer kar sakte hain.
- Other Bank Account-NEFT/IMPS par tap kare.
- Next screen me other bank select kare, uska account number enter kare, IFSC code enter kare, amount enter kare aur submit kare.
Submit karne ke baad mobile par OTP receive hoga wo next screen me enter kar confirm kare.
Add Payee
Jis tarah se SBI net banking me aap beneficiary add karte hain
bus waise hi aap SBI freedom app par payee add kar sakte hain.
Beneficiary/payee add karne ke baad aap fund transfer kar sakte hain.
NEFT se fund transfer karne ke liye aapko payee add karna padta hai, jaisa ki maine above aapko bataya hai.
SBI Freedom me aap payee add karke, payee ke account me money send
kar sakte hain. Jin bank account me aap regular money transfer karte
hain wo account aap as a payee add kar sakte hain taki aapko baar-baar
banking details add na karna pade.
- Payee add karne ke liye Add Payee par tap kare.
- Next screen me aapko payee category me SBI account or other bank account choose karna hai, Bank ka IFSC code enter karna hai, payee Account number add karna hai, Nickname enter kare, transfer limit enter kare aur Register par tap kare.
Next screen me confirm kare. Done! Aapne successfully payee add kar
liya hai. After 4 hours aapka add kiya gaya payee activate ho jayega aur
aap usko NEFT se money send kar sakte hain.
Manage payee
Manage Payee option par aap add kiye gate payees dekh sakte hain. Aap payees ko delete karna chahte hain to yaha kar sakte hain.
3. Requests
Request option par aap below work kar sakte hain.
Cheque book Request
Agar aapki cheque book complete ho gayi hai to new cheque book ke liye bank me jane ki jarurat nahi hai.
Aap SBI freedom par cheque book request kar sakte hain, after request within 10 days cheque book aapke ghar par mil jayegi.
Request option me Cheque Book Request par tap kare aur apna account select kar kitne pages ki book order karna hai wo select kar Request par tap kare.
Generate MMID
SBI freedom par register karne ke baad aapka MMID automatic generate ho jata hai.
Agar aapko apna MMID manually generate karna hai ya MMID cancel karne
ke baad fir se generate karna hai to aap Generate MMID par tap kar
generate kar sakte hain.
Request tab par Generate MMID par tap kare.
cancel MMID
Agar aapko apna MMID number cancel karna hai to wo aap is option se kar sakte hain.
Aadhar Seeding (link)
Apne Aadhar card ko apne SBI bank account se aap is option se link kar sakte hain.
- Aadhar Seeding par tap kare.
- Next screen me aapko apna Aadhar card number enter karna hai aur Link par tap karna hai.
4. Top-up and Recharge
Mobile and DTH TV recharge bhi aap SBI freedom app par kar sakte hain.
Mobile Recharge
Mobile Recharge karne ke liye apna Top-up and Recharge par tap kare aur uske baad Mobile Recharge par tap kare.
Next screen me apna Mobile operator select kare aur apna Mobile number enter kar recharge amount enter kar submit kare.
DTH TV recharge karne ke liye DTH Recharge par tap kare.
Next screen me apna DTH service provider select kare aur recharge amount enter kar submit kare.
5. Profile Settings
Profile settings me kuch important options hain jisme aap mobile
number, MPIN change kar sakte hain aur sath me mobile banking ko disable
kar sakte hain.
Change MPIN
Apni SBI Freedom app ka aap MPIN is option par tap kar change kar sakte hain.
Change Mobile Number
Agar aapko apna Registered Mobile number change karna hai to wo aap SBI freedom app par kar sakte hain.
Number change karne ke liye Change Mobile Number par tap kare.
Next screen me apna New Mobile Number enter kar submit kare. Ab aapke
old number par confirmation message receive hoga jisme aapko old number
deregister karna hai. Bus aapka number change ho jayega.
Deregister Mobile banking service
SBI freedom mobile banking ko deactivate karne ke liye aap Deregister Mobile banking service option ka use kar sakte hain.
Final Words
Overall, SBI Freedom aapko apne smartphone par Full Banking karne ki
freedom deti hai. sabse achhi feature fast money transfer karne ki hai.
IMPS and NEFt dono tarah ke fund transfer aap easily freedom app par kar
sakte hain.
No comments: