Facebook Page Kaise Banaye Website Ke Liye?
WordPress ho ya blogger jaha bhi aap website banate hain to sabse
pahle social sites par pages and profiles banana bahut jaruri hai.
Social sites ki baat aati hai to sabse pahle facebook ka naam aata hai.
World ki sabse badi community facebook par apni website promote karna
bahut jaruri hai. Lagbhag sabhi small or big business companies ke
official facebook page aap khud bhi follow karte honge.
Website ko promote karne ka sabse easy way hai fb page. Aap facebook
par apni website ka branded page banakar website ko promote kar sakte
hain and millions facebook users se connect ho sakte hain.
- Website Ke Liye Google+ Brand Page Kaise Banaye
Yaha main aapko batane ja raha hu ki kaise aap website ke liye Facebook Page create kare.
Create Facebook Brand Page For Website
Facebook page create karne ke liye sabse pahle create page ki link par visit kare.
1
Yaha aapko alag-alag categrory boxes show karenge, jisme hume Brand or Product par click karna hai
2
Brand or product par click karne ke baad aapko categories list me Website select karna hai.
- Aur Brand or product Name me apne Page ka Name type karna hai.
- Uske baadGet Started par click kare.
3
Ab agli screen me aapko About section me apne page ke bare me description type karna hai, kuch words apne page ke bare me likhe.
- Aur sath me apni website ka address type karna hai.
- Ab Save info par click kare.
4
Next screen me aapko page ke liye Profile picture upload karna hai. Page ki profile picture hamesha professional aur good looking honi chahiye.
- Upload from computer par click kar apni profile picture upload kare aur next par click kare.
5
Next screen me Add to favouritr me page ko favourite section me add kar sakte hain, jis se aap easily page ko access kar sakte hain.
- Add to favourite par click karke Next kare.
6
Next Preferred page Audiencee me aapko apni audience select karna hai.
- Preferred audience me aap include option select karke wo country add kar sakte hain jaha aap apna page show karna chahte hain
- exclude option select karke aap wo country ko block kar sakte hain jaha aap apna page nahi dikhana chahte.
- Audience select karne ke baad Save par click kare
Done! Aapka Fb page bankar ready hai.
Ab aapko page me kuch important settings karna hai jo bahut jaroori hai.
Facebook Page Settings
1) Add Cover photo
Apne fb page ka cover photo attractive and professional rakhe. Visitors ki sabse pahle nazar cover photo par jati hai.
Aap Canva par apna attractive cover photo design kar sakte hain.
2) About
Page ka About section bahut important hota hai, yaha hum page ki information and description add karte hain.
Page ke SEO ke liye yah bahut jaroori hai.
- About par click karke sabhi jaroori information ko fill up kare.
That’s it. Ab apne fb page par posting karna start kar de. Apni audience boost kare. friends circles me page ko share kare.
Page to aapne create kar liya ab aapko facebook page ki kuch interesting features ke bare me bhi pata hona jaruri hai.
Page ki likes ko increase karne ke liye aap page ko promote kar sakte
hain, iske liye just $1 spend karna hai jisme aap 100 likes receive kar
sakte hain.
Facebook ad premium feature hai jaha page ko promute kar likes receive kar sakte hain.
No comments: