Facebook Page Par Shop Section Kaise ADD Kare
Facebook ne apne page section me bahut se changes kiye hain pichle kuch years me, kayi aisi new features
add ki hain jiski wajah se facebook page ek aisa place ban gaya hai
jaha koi bhi apni products ki marketing and selling kar sakta hai.
Last post me aapne dekha ki kaise aap ECWID online plugin se facebook page par apni eCommerce store create kar sakte hain, even payment bhi receive kar sakte hain.
Facebook page par aapne ek feature notice ki hogi, Add shop section ki. Agar aapne nahi dekhi to apna page open kare aur just Timeline ke side me options me dekh sakte hain.
Aaj main apko batane ja raha hu ki kaise aap apne FB page par Shop section add kar sakte hain aur apni products ko promote kar sakte hain.
Is feature ka sabse bada fayda un logo ko hoga jo apni products ki
selling ke liye online platform ki talash me hain, so let’s see how it
works.
ADD Shop Section on Facebook Page
Agar aapne abhi tak facebook page nahi create kiya hai to aap hamari is Post
ko read karke apna brand page create kar sakte hain. Agar aapki website
hai to promotion ke liye aap apne page ka use kar sakte hain.
- Shop section add karne ke liye apne Page ki timeline ke upar + Add Shop Section ka option show kar raha hai us par click kare. (see below image)
- Click karte hi pop-up window me Add shop section par click kare.
- Now next pop-up window me aapko apni currency select karna hai and Save par click karna hai.
- Currency set karne ke baad aap dekhenge ki aapke Page par Shop tab create ho gayi hai.
- Ab yaha aapko sabse pahle apni Shop Description set karna hai ki aap kya sell karne wale hain, apni shop ki full details add kare.
- Next aapko Add Products par click karna hai jaha hum apni products add karenge.
Ab new small window me aapko apni product add karna hai, see below
- Add photos me apne products ki images upload kare. Aap kayi images add kar sakte hain apne products ki.
- Name me apni item ka name add kare
- Price me apne products ki price add kare.
- Description me apne item ki details add kare.
- Now click Save.
Bus kuch is tarah se apni sabhi Items add kare.
Meri Shop to create ho gayi, See below:
Now What!
Share Shop with Friends and Likers
Ab apni shop ko apne friends and likers ke sath share kare. Aapko Share Shop ka option show karega waha click kare and share.
Sharing karne se aapke shop ke view increase honge and badi community aapse connect hogi. Jo aapki selling ko improve karegi.
Promote your Products (optional)
Aapko apni added products me Boost option show karega. Boost option
se aap kuch money spend karke facebook par apni shop ki items promote
kar sakte hain.
Agar aapko apni selling improve karna hai to Boost option ka use kare. Aap poore world ko apni item ke bare me bata sakte hain.
Visitors Kaise Products ko Buy Karenge
Facebook ki new shop section feature abhi-abhi launch ki gayi hai.
Coming months me aap isme aur bhi new improvements dekhenge. (I will
update you)
Aapki listed items ko buy karne ke liye visitors aapki listed item
par click karega and message tab par click karke aapko message se
contact karega.
After that aap buyers se discussion karke apni item sell kar sakte
hain. Payments section abi available nahi hai but jaisa ki maine kaha
bahut si new features add hone wali hain so wait.
Delete Shop
Apni shop ko delete karne ke liye aapko shop me Settings icon par click karna hai, yaha aapko Delete shop ka option show karega. Just click on it.
I hope aapko yah post kafi pasand aayi hogi specially developers and
online sellers ko. Ek baar test karke jarur dekhe, kafi interesting hai.
No comments: