WikiPedia Articles ki eBook kaise Banaye
Wikipedia – Internet par available free encyclopedia (vishwakosh) hai. Knowledge ka ek bada source hai jaha aap kisi bhi cheej se related articles details me read kar sakte hain.
Wikipedia world ki sabse top 10 most visited website me se ek hai.
Yaha 200+ languages me 7 lac se jyada articles publish kiye ja chuke
hain. Hindi language me bhi yah available hai.
Personally, main daily kuch-na-kuch wikipedia par read karta hi rahta
hu. Aap bhi iska use karte honge apni knowledge ko improve karne me?
Kayi baar aapko wikipedia ka koi article bahut pasand aa jata hai,
aur aap aisa chahte hain ki iski PDF copy aapke computer/smartphone me
save rahe taki offline bhi aap us article ko padh sake.
Create PDF Book
Sabse pahle aap us article ko open kare jiski book aap create karna
chahte hain, yaha main wordpress article ki ebook bana raha hu.
Ab next apne Left-side me aapko kayi options show karenge. options panel me Print/export par aapko Create a Book par click karna hai.
Next screen me aapko Book creator enable karna hai. Start book creator par click kare.
Book Creator enable karne ke baad ab aapka article page refresh kare,
aapko sabse top par “Book creator” ka panel show karega below image ki
tarah. Is panel window me aapko Add this page to your book par click karna hai.
- Click karne ke baad is creator panel me Show book option me aapka page add ho jayega, aapko uske upar click karna hai.
Now last step me aapko apni book ka setup karke Download karna hai.
- Title me apni Book ka title enter kare.
- Paper size me A4, letter koi bhi choose kare. And other options aap leave kar sakte hain.
- Download option me Format me e-Book (PDF) select kare and Download kare.
To is tarah aap kisi bhi wikipedia note ki book bana sakte hain.
Agar aap wiki par apna free account create karke yah kaam kart hain
to aapki sari created book aapke account me store ho jati hain jaha se
aap kabhi bhi Download kar sakte hain.
Direct PDF File Download Kare
Aap kisi bhi wikipedia content ki Direct PDF file bhi download kar sakte hain.
- Direct PDF file download karne ke liye left side option panel me Print/export option me Download as PDF par click kare.
- Next screen me aapki file ready to download milegi just click on it.
No comments: