Facebook Post ko Automatic Translate Kaise Kare?
New launch! Ji haan ab aap apni Facebook post
alag-alag languages me translate kar sakte hain. Facebook ne yah new
feature just abhi launch ki hai.
Facebook page ke liye last kuch years me kafi features launch ki gayi hain jo aap meri facebook page features post me read kar sakte hain.
Facebook page ek separate aisa platform ban gaya hai jaha aap apne
business ko promote kar sakte hain, apni website ko promote kar sakte
hain, apne products ko Promote kar sakte hain. Yahi nahi online store bhi create kar sakte hain.
Facebook Translate Feature ke Benefit
Facebook ki translate features se ab aapki post ko wo log bhi read
kar sakenge jo aapki language ko nahi samjhte. Ab wo apni language me
aapki post ko translate kar read kar sakenge.
Aap multiple language me apni Post ko Publish karke poore world ki communoty ke sath jud sakte hain.
Translate feature se aapki Post ko poore world ke log apni language
me dekh sakte hain mean aapki Post ke views, likes and share increase
honge.
Sabse bada benefit Hindi and other regional pages ko milega jo apni
post ko other language me translate kar publish kar sakte hain.
Facebook Translate post Kaise work karti hai?
Aap apne page par koi post karte hain tab aapke Timeline me aapko translate post ka option show karta hai.
Is translate post option par click karke aap alag-alag language ko
select kar apni post ko automatic translate kar sakte hain. Apni
selected language me post ko translate karne ke baad aap post ko publish
kar sakte hain.
Suppose maine Hindi me post translate kar publish ki hai, Ab koi
visitors facebook ko Hindi language me use kar raha hai to aapki post
usko Hindi language me show karegi.
Bus kuch aise hi aap other language me post ko automatic translate
kar publish kar sakte hain aur agar koi user aapki translate ki gayi
language me facebook use kar raha hai to usko usi langage me aapki post
show karegi.
Facebook Post Translate kaise Kare?
Ok, to main aapko screenshot ke jariye show karta hu ki facebook auto translate feature kaise work karti hai? See how:-
1. Enable Post in Multiple Language
Sabse pahle apna Facebook page open kare aur uski Settings me General tab par Post in Multiple Language feature ko enable kare.
Post in Multiple language option par EDIT par click kare aur “Allow people who manage this page to… par check mark kare aur save changes par click kar setting save kare.
2. Post ko Automatic Translate Kare
Ab aap apni kisi bhi post ko Publish karne se pahle automatic
translation kar sakte hain. Facebook ki auto translate feature aapki
post ko selected language me translate kar degi. Translate karne ke baad
aap post ko Publish kar sakte hain. See how:-
Apni Timeline me Post likhte samay aap timeline me “Write post in another language” ka option dekh sakte hain. (see below image), Post likhne ke baad us option par click kare.
Option par click karne ke baad aapko apni post ki Default language ko select karna hai, jaise ki aapki post English me hai to default language me English select kare.
Ab aapko jis language me apni post ko translate karna hai wo Language: Select par click karke select kare. (see below Image)
Select: Language me apni language ko choose kare jisme apni post ko automatic translate karna hai (see below) Main Hindi select kar raha hu.
Apni Language ko select karte hi aapki post us language me auto
translate ho jayegi, See below image, yaha meri post Hindi me translate
ho gayi hai. Now Publish par click karke post publish kar de.
Aap Multiple language me Post ko Translate karke Publish kar sakte hain, Lagbhag 44 language available hai. See Below
Ab Jo bhi facebook user apne account ko Hindi language me access kar
raha hai wo askmehindi page visit karega to yah post usko hindi me show
karegi, kyunki maine hindi me translated post ki hai.
Note: Aapne jis language me post ko translate karke publish kiya hai usi language me post ko visitors read kar payenge.
Facebook page Admins ake liye yah feature bahut kaam ki hai, ek bar try karke jaroor dekhe.
No comments: