SBI Credit Card Online Order Kare, Follow Kare Simple Steps
Hamare ek user hume comment me poocha ki SBI Credit card
kaise apply kare onlinesbi se. Bata du ki SBI Credit card online apply
karne ke liye state bank of India ki seperate website hai sbicard.com –
jaha online apply kar ghar par receive kar sakte hain.
Aaj main aapko step-by-step batane ja raha hu kaise aap Credit card
ke liye application send kar sakte hain online, aur apna Card ghar par
receive kar sakte hain.
State bank of India kayi categories ke Credit card offer karta hai jisme Personal and Corporate options available hain.
Personal me aapko kayi category me cards offer kiye jate hain like
shopping, travel, lifestyle. Aap sabhi personal card ki details yaha Read kar sakte hain.
Apply SBI Credit Card online
Before Apply sabse pahle aap Charges and fees ke bare me jaan le. Read here Aur sath hi eligibility bhi jaan le. Read here
Sabse pahle aapko SBI CARD website par visit karna hai aur yaha par Apply par click karna hai.
Apply par click karne ke baad aapke screen pat alag-alag categories
ke card ki list show karegi, aap Lifestyle, shopping jaise option choose
kar sakte hain.
Category select karne ke baad aapko us category me available Credit
card ke Apply Now button par click karna hai. (see below image)
Next screen me aapko Form fillup karna hai. Form Fillup karte samay dhyaan rahe ki sabhi details carefully fill kare.
- Apna Name, birth date, city, qualification, annual income details add kare
- Apna PAN Card number enter kare ( Yah bahut jaruri hai)
- Apna Mobile Number enter karke “Verify Mobile number” par click kare, aapke number par OTP receive hoga wo “Enter OTP” me add kare
- Terms condition accept karke Next step par click kare
Ab next screen me aapko apni personal details, professional details, Address etc information fillup karna hai.
Sabhi details fill karke Application Submit kar de. Aapko Application number provide kiya jayega.
Application Submit karne ke Baad ki process
Successfully Application Submit karne ke baad agar aapki application
verification me successful pass ho gayi to aapko SBI bank ki taraf se
call aayega.
Necessary documents collect karne ke liye aap executive ke sath time
fix kar sakte hain. Aap chahe to branch me bhi apne documents submit kar
sakte hain.
Aapke Documents submit karne ke baad successful verification hone ke
baad 20-25 days me aapka card issue ho jayega aur aapke home address par
deliver kar diya jayega.
Apni Application Track kare
Aap apni Online Application track kar sakte hain aur jaan sakte hain kab aapka Credit card receive hoga.
Application track karne ke liye Track form par visit kare aur apna Application number enter kare.
To is tarah aap online Credit card ke liye application submit kar sakte hain aur apna card ghar par receive kar sakte hain.
Meri baat kare to main International online transaction ke liye ICICI and Kotak mahindra ka debit card use karta hoon.
No comments: