Fiverr Par Website Ke Liye Logo Kaise Order Kare

order logo fiverr


Website ke liye jitna jaruri uska content hota hai utna hi jaruri aapki website ka look and design hota hai. Koi bhi user aapki website par jab pahli bar login karta hai to uski nazar sabse pahle aapki site ki design aur look par jaati hai,Khas-kar Logo par.

“first impression is the last impression” ji haan agar site ki design aur look me aapne jara bhi kami kar di to sayad ho sakta hai visitors ko khaas impress na kar paye aap.
Website ke look me uske logo ka bahut aham roll hota hai, isliye professional bloggers hamesha apni site ka logo specially design karwate hain.
Aksar new bloggers website ke logo ko khaas importance nahi dete aur khud hi ulta-seedha logo banakar site me laga dete hain, iska seedha asar aapki site par padta hai aur site professional look me nahi nazar aati.
To jaruri ban jata hai ki aap website banane ke baad apna logo kisi professional designers ke through banwaye. Logo Design ki baat aati hai to Fiverr ka name first aata hai.

Fiverr Kya hai?

Fiverr yah sabse bada marketplace hai jaha world-wide ke professional designers, experts apni service provide karte hain. In services me web design, logo design, video making aur bhi kayi internet related services hain jo aap just $5 me buy kar sakte hai.


Fiverr par aapko jo bhi internet related service chahiye, bus aapko chat ke through service provider se contact karna hai aur apni details dena hai and $5 pay karna hai. Payment karne ke baad kuch days me hi aapki request full-fill ho jayegi.
Don’t worry Fiverr ek trusted place hai, yaha cheating ki koi class nahi hai. Aapko 100% satisfaction service provide ki jati hai.

Logo Order Kaise kare

Logo order karne ke liye aapko just kuch steps follow karna hai. See:-
Step 1: Fiverr par apni website ke liye Logo order karne ke liye sabse pahle fiverr.com par jaye aur signup par click karke apna free account banaye. Apna free account banane ke baad log-in kare.
fiverr logo design
Step 2: Login karne ke baad “Graphic & Design” option me “Logo Design” par click kare.
logo design fiverr


Step 3: Logo Design par click karte hi aapke saamne Logo Designers ki list display hogi, jinme se aapko kis se logo design karwana hai wo select karna hoga.
  • Aap apne budget ke according designer choose kar sakte hain. Hamesha High rated aur Recommended Logo designers se hi Logo order kare.
  • Aap list ke upar High rated aur recommend option select kar sakte hain. Most of Designers Logo Design karne ke liye $5 (Rs.384 approx) hi lete hain jo ki kafi kam hai.
Step 4: Logo Designer choose karne ke baad us par click kare. Click karte hi aapko us designers ki Pricing list aur details show karegi. Aap logo order karne se pahle us Designer ko “Contact Me” par Click karke Contact kar sakte hain.
fiverr logo package
Step 5: Agar aap Designer ki pricing offer se satisfied hain to koi bhi price ka package select kare, aap minimum $5 package select kar sakte hain.
Step 6: package select karne ke baad ab aapko payment karna hai. Payment karne ke liye aap Paypal, Visa, Master card debit card/Credit card use kar sakte hain. Agar aapko Payment karne ke problem ho rahi hai to Kotak Debit card use kare.
Step 7: Successful payment karne ke baad ab aapko aapke Logo ke bare me Designer ko Details deni hongi. Aapko email milega jisme link par click karke aapko neeche di gayi details deni hogi.

1. Name to incorporate – Aapka Logo Name
2. Tagline / slogan to incorporate (optional)
3. Website (optional)
4. Business orientation
5. Company description (optional)
6. Preferred logo style (optional)
7. Color preference (optional)
8. Notes / requirements (optional)
9. Own idea / suggestion you might have (optional)
10. Sample logos you like (optional)
Note: Aap chahe to word/notepad me aapke Logo ki details file banakar Attachment bhi send kar sakte hain,jiska option waha available hai. Optional ko aap blank chor sakte hain.
Details submit karne ke baad within 10 days aapka Logo Design hokar aapko mil jaayega. Aap Logo se related sari information apne account me dekh sakte hain.
Agar aap Logo se satisfied nahi hain to designer se contact kar revision request kar sakte hain.
Conclusion
Dosto agar aapne abi tak apni site ke logo design nahi karaya hai to upar ki post padhkar aap abhi Logo order kar sakte hain, iske liye aapko jyada money spend bhi nahi karna hai just Rs.380 me aap professional logo banwa sakte hain.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.