SBI ATM/Debit Card Online Apply Kaise Kare?



Ab aap Ghar baithe SBI ATM/Debit card online Apply kar sakte hai aur use Activate bhi kara sakte hain, aapko iske liye State Bank branch me jaane ki jarurat nahi hai.
Aap Online Apply karke SBI ka koi bhi Debit card Global VISA, Paywave, Platinum, Gold International Debit card apne Ghar manga sakte hain.

Aaj main aapko iske bare me batane ja raha hu.
Dusre Banks ki tarah State Bank of India apni jyada se jyada facility ko online pahuchane ki kosis kar raha hai. Lagbhag tamaam SBI ki Products aap online use kar sakte hain. ATM/Debit se related saare kaam aap online kar sakte hain.
1 Month pahle jab Online ATM/Debit card apply karne ki suvidha nahi thi tab maine Global Debit card ke liye Branch me Apply kiya tha, aap yakeen nahin karenge mujhe 2 baar bank ke chakkar lagane pade aur 4 hours waste karne pade, Token ki Problem ke karan.
Magar ab aapko aisi Problem nahi face karni padegi, aap Online sab kuch kar sakte hain.

SBI ATM/Debit card Online Apply kaise kare?

Dosto online ATM/Debit Card Apply karne ke liye aapki netbanking enable honi chahiye. Agar aapki Netbanking enable nahi hai to koi problem nahi hai, sirf 10-minutes me wo bhi internet par ATM card se activate kar sakte hain.

1
Online SBI ATM/Debit Card Apply karne ke liye aapko sabse pahle onlinesbi.com par jaakar apne Account me log-in karna hai.
2
online sbi account me Login karne ke baad:
  • e-Services option par click karna hai
  • Ab aapko left-side ATM Card Services par click karna hai.
  • ATM Card Services ke andar Request ATM/Debit Card par Click Kare.
sbi atm debit card apply online
Next screen me Account Validate karne ke liye “OTP” ya “Profile Password” ke jariye Account validate kare. OTP se validate karna hai to OTP aapke Mobile number par aayega.
3
Ab agli Screen me aapko apna (see below)
  • Account Number Select karna hai
  • Name on Card me apna Name Enter kare, yahi Name aapke ATM/Debit card par Print hoga.
  • Select Card of Type me apna card Select kare, jisme aap kayi tarah ke Cards Choose kar sakte hain.
  • Ab I Accept terms par tick karke Submit par click kare.
sbi debit card apply
4
Next screen me aapko bus saari Details Check karke “Submit” par Click karna hai. Congratulations aapne ATM/Debit card ke liye Successfully Apply kar diya hai.
Apply karne ke baad 15-20 din ke andar aapka card aapke ghar par mil jaayega. Ab use aapko Activate karna hai. Activate karne ke liye aapko Branch jaane ki jarurat nahi hai. Yah kaam bhi Onlinesbi par hi aap kar sakte hain.
Main aapko recommend karunga ki Branch me jakar card activate kare, agar aapko activation me problem ho rahi hai.

ATM/Debit Card Online Activate Kaise Kare?

Apne Card ko online Activate karna bahut easy hai.
  • Apne Onlinesbi Account par Log-in kare. Aur e-Services par Click kare.
  • e-services me Left side me ATM Card Services par click kare.
  • Ab New Card Activation par Click kare.
debit card active online sbi
Ab Next aapko Account Number select karke “ATM card Number” Enter kar Activate par Click kare.
Bus aapka card Activate ho chuka hai.


ATM/Debit Card ka PIN Number aap Branch se Receive kar sakte hain

SBI ATM/Debit Card ka PIN online Change kare

Apne ATM/Debit card ka PIN aap kabhi bhi online change kar sakte hain, pahle aapko iske liye branch me jana padta tha lekin ab nahi.
Pin ATM generate online
 
1
PIN Change karne ke liye onlinesbi me login kare aur e-Services tab par click kare.
2
e-services me apne left side options me ATM Card Services par click kare.
3
Ab ATM PIN Generation par click kare.

4
Account validate karne ke liye OTP ya Profile password enter kare.
5
Ab apna Account number select kare, Next Apna ATM/Debit card select kare.
6
Ab aapko apne New PIN ke first two digit enter karne honge, apni pasand ke two digit enter karke submit kare.
7
Aapne apne PIN ke first two digit enter kiye ab aapke Mobile number par last two digit receive honge, ab next screen me aapko apne first two digit aur aapke mobile par received last two digit enter karke submit karna hai. That’s it aapka New PIN generate ho gaya hai.
Conclusion
To  dosto is tarah se aap online atm debit card apply kar sakte hain SBI par aur online atm pin generate kar sakte hain. I hope aapko yah post pasand aayi hogi.
SBI se related ye article miss na kare

FAQ: Questions And Answers

Q.1: Kitna Samay lagta hai Card deliver hone me?
Answer: Yah aapki Location par depend hai. Generally 15-20 days me Card Delivered ho jata hai.
Q.2: Mere paas Already Card hai, kya second Apply kar sakta hu?
Answer: Ji Nahi, aap per account single Card hi use kar sakte hain. Yah sabhi Banks ka rule hai.
Q.3: Mere Account me kitna Balance jaruri hai?
Answer: Jyada nahi just Rs.1000. NIL balance hai to bhi Card aapka Active rahega. Bus aapko dhyaan rakhna hai Card ki Yearly fee Rs.200 hoti hai.
Q.4: Kaun-kaun se Debit Card available hai?
Answer: Aap online SBI ke sabhi Debit card ke liye apply kar sakte hain jisme Silver, Classic, Gold ,Platinum, Yuva etc included hain.
Q.5: Mere paas Card hai, par mujhe doosra lena hai?
Answer: No Problem, apne current card ko Block kar de, And new card ke liye apply kar de.
Q.6: Net-banking hona jaruri hai?
Answer: Ji Bilkul, aap Net-banking kit apni Branch me just 15-minutes me form fill-up karke receive kar sakte hain.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.