Forget SBI NetBanking Username? Get Online
Kya aap apna SBI NetBanking Username bhool (forget) gaye? Don’t
worry aap username apne registered mobile number par receive kar sakte
hain wo bhi kuch seconds me, aapko bank me visit karne ki jarurat nahi
hai.
SBI Netbanking me username aap change nahi kar sakte, ek baar jo username aapne set kar diya bus wo hi permanent ho jata hai.
Agar aap apni internet banking ka login password bhool jate hain to
usko bhi reset karne ke liye aapke paas kayi options hain. Read: SBI Internet banking login password reset kaise kare?
Kayi baar hum netbanking username bhool jate hain, agar kafi samay se
use na kiya ho to aksar aisa ho jata hai. To fir aisi situation me kya
kare, kaise apna username retrieve kare?
Bahut easy hai, follow below steps:
Forget SBI Internet Banking Username? Receive on Mobile
1
Sabse pahle state bank of India ki internet banking login page par visit kare.
Login page par Forget Username par click kare.
2
Ab new window open hogi jisme aapko apna CIF number enter karna hai,
CIF number aapke passbook me hoga. Apni country select kare, apna
registered mobile number enter kare. Details add karne ke baad submit
kare.
3
Details submit karne ke baad next screen me aapko OTP enter karna hai jo ki aapke registered mobile number par receive hoga. OTP enter kar submit kare.
Done! next screen me aap apna username dekh sakte hain. Aapke mobile number par bhi username send kar diya jayega.
To is tarah se aap apna state bank of india internet banking ka login userID retrieve kar sakte hain easily.
Agar ab bhi aap Internet banking ka use nahi karte hain to bata du ki aap apne SBI Debit card se online PC par internet banking activate kar sakte hain.
Netbanking ke jariye aap kayi kaam online apne PC or Smartphone par kar sakte hain. Smartphone par aap State bank Anywhere App download kar apna bank account access kar sakte hain. Aise kayi kaam hain jo aap bina bank visit kiye kar sakte hain.
No comments: