SBI NetBanking Me First Time Login and Setup kaise kare?



Ok, to aapko SBI Netbanking user ID aur password bank ki taraf se mil gaya hai. Ab aapka next step kya hoga aur kaise Netbanking me login kare aaj main aapko iske bare me guide karunga.
Aapki jaankari ke liye bata du aap online apne Debit card ke jariye netbanking online activate kar sakte hain iske liye branch me jaane ki jarurat nahi hai. Agar aapke paas Debit card nahi hai to aap bank me jakar netbanking ke liye apply kar sakte hain. Branch me aapko User ID provide ki jayegi aur password aapko courior ke jariye send kiya jayega.
Netbanking user ID aur password receive karne ke baad ab hume next 3 steps follow karna hai, wo 3 steps hain:-
  • Apna New Username set karna
  • New Login password set karna
  • Apna Profile password set karna
Bank ki taraf se jo User ID & password aapko provide kiya jata hai wo temporary hota hai, jab aap wo netbanking me enter kar login karenge to sabse pahle aapko apna New username, login password aur profile password set karna hoga.
To chaliye practically aapko bata deta hu ki Bank se User ID & password receive hone ke baad kya kare?

SBI NetBanking kaise Set kare?

1
Sabse pahle aapko https://www.onlinesbi.com par visit karna hai. Yah SBI netbanking ka address hai.
Login screen me aapko User name aur password me bank ki taraf jo username and password diya gaya hai wo enter karna hai aur login par click karna hai.
SBI netbanking login
2
Next screen me sabse pahle aapko apna username set karna hai. Username thoda difficult rakhe. Mera matlab usme Alphabet aur numbers use kare. Agar username available hai to submit par click kare.
sbi netbanking set username
Remember: Username aap kabhi change nahi kar sakte, isliye pahle se hi better username set kar le.
3
Username set karne ke baad ab next aapko login password set karna hai. Login password strong rakhe. Usme special character $%@!&, numbers, capital and small letter use kare. Login password set karne ke baad confirm kare.
sbi netbanking set login password
Login password aap anytime change kar sakte hain, aap bhool bhi gaye to online reset kar sakte hain. Isme koi tension ki baat nahi.
4
Ab agli screen me aapko profile password, Hint Question set karna hai aur sath me birthdate and bank se register kiya gaya mobile number enter karna hai.
sbi netbanking first time setup
  • Profile password ka use tab kiya jata hai jab aap Netbanking me profile section me change karna chahte hain. Jaise ki password change, mobile number change karna. Profile password set kare.
  • Hint Question & Answer bahut important hota hai. Agar aap profile password bhool jate hain to Hint Question se reset kar sakte hain.
  • Apni DOB and bank me register kiya gaya mobile number enter kare aur submit kare.
Done! kaam ho gaya. Ab aap apne set kiye gaye username aur login password se Netbanking me login kar sakte hain.
Netbanking kafi safe hai aur bank ke bahut se kaam aap ghar par apne PC OR mobile par kar sakte hain. Mobile par aap SBI Anywhere App install kar use kar sakte hain.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.