Google 2-Step Verification Se Gmail Secure Kare


Google 2-step verification ke bare me to aapne suna hoga, aur aap me se kuch iska use bhi kar rahe honge apne Gmail Account ki safety ke liye? – Aaj main aapko batane ja raha hu kaise 2-step verification Google account me enable kare.
Magar sabse pahle jaan lete hain kya Hai 2-step verification:-

2 step verification kya hota hai?

Aap kahi bhi apna account create karte hain to aapko password set karna padta hai, Right?
Aap jo password set karte hain usko hum 1 step versification kahte hain, aap hum ek aur security layer apne account me add karte hain to isko hum 2-step verification kahte hain.
2-step aapke account ko advance security provide karta hai. Suppose aapka password leak ho jaye to bhi koi aapke account ko hijack nahi kar sakta.

Google 2-step Verification

Google 2-step verification yah hamare Gmail Account security ke liye google ki feature hai jo OTP (one time Pin) par depend hai.
Jab hum apne google account me 2-step verification active kar dete hain tab hum jab bhi kisi new device se apne account me login karenge to hum se OTP pin enter karne ko kaha jayega, yah OTP aapke mobile number par aayega.

To chaliye hamare new internet users ko iske baare me bata diya jaaye taki wo bhi apni email id aur google ke sabhi account secure kar sake,
2-step verification google

Google 2-step verification Enable Karne ki Process

Step 1: Sabse pahle Google 2-step portal par jaye aur Get Started par click kare. Aur apne Account par login karke Start Setup par click kare.
Get started
Step 2: Get Started par click karne ke baad Aapko Phone number setup me apna Mobile number enter karna hai. Aapke is mobile number OTP send kiya jayega login karne ke liye isliye wo hi number enter kare jo aapke paas 24/7 available ho.
How do you want to get codes me aapko mobile number par code (OTP) kaise receive karna hai wo select karna hai, aap yaha Text Message and Voice Call option select kar sakte hain.
Select karke TRY IT par click kare, ab aapke Mobile number par ek code receive hoga.

2-step verification Google
Step 3: Aapke mobile number par jo code receive hua hai wo enter karke apna number verify kare. Agar aapko receive nahi hua hai code to resend par click kar sakte hain.
Code enter karke Next par click kare.
2-step verification Google
Step 4: Agli screen me TUR ON par click kare. That’s it aapne successful 2-step verification apne Google account me activate kar liya hai.
Ab jab bhi aap apne Google account me login karenge, aap se Code manga jayega jo aapke mobile number par receive hoga.

2-step verification Google
Aap chahe to single click me Turn OFF par click karke 2-step me disable kar sakte hain.
2-step verification Google
2-step ka sabse bada benefit yah hota hai ki agar kisi ko hamare account ke password ke bare me pata hai to bhi wo hamare account me login nahi kar sakta, kyunki waha usko security code enter karna padega jo aapke mobile number par receive hoga.
Mean aapka Google account completely secure hai.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.