Google Alerts Kya Aur Kaise Setup Kare?


Daily Internet par thousands content publish hote hain, yah to aap jaante hi honge. Chahe wo Blog post ho ya different media companies ke content, Internet par daily per second koi na koi content publish ho jata hai.
Agar aap ek Blogger, freelancer ya kisi topic ke expert, ya daily koi particular topic google search karte hain to aapke liye yah bahut jaroori hota hai ki apne niche (topic) se related content par aap poori tarah se update rahe. Ek bhi content aap miss nahi karna chahenge. Lekin Jaisa ki maine kaha Internet par kafi numbers ke daily post hoti hain to fir apne niche se related topic par updated kaise rahe? Kaise sare content par nazar rakhe?

Kya Internet par aisa koi tool hai jo aapke selected niche se related published content ke bare me automatic alert aapko send kare, taki aap Internet par apne favorite content ko kabhi bhi miss na kare?
Ji ha Internet par aisa tool available hai aur wo hai – Google Alerts

Google Alerts Kyu Jaroori hai Aapke Liye

Google alert aapke niche se related sabhi published content ke bare me aapko alert karta hai, Google alerts aapke liye kaise useful hai jaaniye:
Monitor Favorite Topic: Mujhe wordpress se related articles read karna bahut pasand hai, ab Google search par daily WordPress se related articles publish hote hain lekin sabke bare me mujhe kaise pata chalega. Main yah to nahi jaan sakta ki Google me kya Index ho raha hai.
Aisi situation me main Google Alert ki help lunga. Ek baar main WordPress topic ke liye Google alert setup kar dunga to uske baad mujhe meri email ID par jo bhi new content wordpress ke bare me Google me index hoga, uska alert mujhe receive hoga.

Matlab ki wordpress se related sabi articles par meri nazar rahegi, ek bhi content main miss nahi karunga.
Mere brother ko goverment job ke sare new alerts apne email address par receive karna hai to usne Government job search terms ko Google alert set kar rakha hai.
Monitor competitor: Main ek website owner hu to mere liye yah jaroori hai ki main apne competitor ke bare me poori jaankari rakhu, specially wo kya publish kar raha hai.
Aisi situation me Google alert aapki help kar sakta hai. Aapko apne competitor ki website ke liye Google alert set karna hai, uske baad jab bhi competitor website koi new content publish karegi aur Google me wo content index hoga to uska alert aapko apne email address par receive hoga.
To dosto yah to ab aap jaan gaye ki Google Alert kya kaam karta hai. Simple word me kahu to “Google alert aapko aapke favorite topic (search term) ke bare me updated rakhta hai

Google Alert Setup Kaise Kare?

Google Alerts – Google ki ek service hai, start karne ke liye sabse pahle Google Alerts par visit kare.
Google Alerts homepage par sabse pahle wo search term ya topic enter kare jiska alert aapko email address par receive karna hai.


google alert setup



jaise ki main yaha “wordpress” topic enter karta hu, jaisa ki aap below image me dekh sakte hain.
Ab Show Options par click karenge.



google alert setup



Show options me aap kuch below options dekh sakte hain:


google alert setup
  • How often – Aapke email address me favorite topic ke bare me Alert kab receive ho iski settings aap yaha kar sakte hain. Aap chahe to “As it-happens” select kar sakte hain, “At most once a day” choose kar sakte hain ya fir weekly alert receive karne ke liye “At most once a week” choose kar sakte hain.
  • Sources – Sources option me aap apne topic se related Blog, News, Videos, discussion, finance, Web and books jaisi categories choose kar sakte hain. Agar aapka Topic aisi categories se related nahi hai to aap “Automatic” select kar sakte hain.
  • Language – Language option me aap apni language choose kar sakte hain.
  • Region – Agar aapko sirf India region ke content alert receive karna hai to Region me India select kare. Worldwide sabhi content alert receive karna hai to “English” select kare.
  • How many – Yaha aap “Best results” and “All results” select kar sakte hain.
  • Deliver to – Google Alert jis email address par receive karna hai wo select kare.
Ek bar sabhi settings karne ke baad Create Alert par click kare
Bus kuch is tarah se aap apne Favorite topic, searches ke new results apni email address par receive kar sakte hain, Google alerts set karne ke baad jaise hi new content aapke set kiye gaye topic par Index hoga, uska alert aapko email inbox me receive hoga.
Apne sabhi Alerts ki list aap My Alerts par dekh sakte hain. MyAlerts me aap apne search alert terms ko edit and remove bhi kar sakte hain.
google alert setup

Final Words

Dosto, Google Alert lagbhag sabhi logo ke liye bahut kaam ki service hai. Aap Google me daily apna favorite topic search karte hi honge aur kya new hai aur popular hai topic ke bare me wo dekhte honge.
Google Alerts setup karne ke baad aapko direct email address par new content ke bare me alert milta hai mean aapko apne search terms (topic) se related koi bhi post, article miss nahi kar payenge aur hamesha updated rahenge.

Ek baar Google Alerts ka use jaroor kare, Google ki yah service aapko jaroor pasand aayegi.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.