PayTM Mobile App Se Money Send/Receive Kaise Kare?
PayTM ke bare me mujhe batane ki jarurat nahi hai. Mobile & DTH
recharge, Bill payments ke liye best online service hai. PayTM Android,
iOS and windowsphone app me bhi available hai aur sath hi app website
par bhi aap access kar sakte hain.
Aapko pata hai ab aap PayTM se online money send and receive bhi kar
sakte hain, ji ha ab aap kisi bhi bank account me money send/receive kar
sakte hain.
PayTM wallet me aap Internet banking or Debit card ke jariye money
add kar sakte hain aur wo money aap kisi ke bhi account, payTM wallet me
send kar sakte hain.
Aaj main aapko bataunga ki kaise aap PayTM Application ke jariye Money send and receive kar sakte hain.
PayTM Se Online Money Send & Receive Kaise kare
Pahle PayTM ka use mobile recharge ke liye jyada kiya jata tha. Abhi
kuch samay pahle hi PayTM ne wallet service launch ki hai jiski help se
koi bhi PayTM user apne wallet me money add kar sakte hai aur wo money
kisi bhi paytm user ko ya fir kisi bhi bank account me transfer kar
sakta hai.
To chaliye dekhte hain PayTM App se kaise Money add kare aur send kare.
PayTM Wallet Me Money Add kare
Sabse pahle PayTM App apne smartphone me install kar le. Android, iOS and windows phone sabhi ke liye app available hai.
PayTM App ko install karne ke baad apne Mobile number se Signup kar account create kare aur login kare.
PayTM wallet me money add karne ke liye sabse pahle Add Money par tap kare.
Next screen me amount add kare jo aap add karna chahte hain. Yaha aap
maximum 10,000 rupees add kar sakte hain. Agar aapko aur jyada money
add karna hai to Usage limit ko upgrade kar sakte hain, iske liye aapko
sirf apna KYC document PayTM ko submit karna hai wo main aapko last me
bataunga.
Amount add karne ke baad Add money button par tap kare.
Next screen me aap Debit card, Net banking se money add kar sakte
hain. Debit card se add karne ke liye card no., CVV, month and year add
kar Pay Now par tap kare. ya fir Net banking par tap kar apni bank
select kare aur Net banking me login kar pay kare.
To is tarah se aap apne PayTM wallet me money add kar sakte hain.
Aap Passbook par tap kar apna total balance aur sabhi transaction details dekh sakte hain.
Ab aap is Wallet money ka use Recharge, shopping me kar sakte hain.
Money Kisi bhi bank account ya fir apne friend ke payTM account me send
kar sakte hain.
Money Kisi Bhi Bank account me Send kare
Wallet me money add karne ke baad ab aap wo money kisi bhi bank account me transfer kar sakte hain.
Kisi bhi bank account me money send karne ke liye aapke paas sirf ye details hona chahiye:
- Bank Account Number
- Account holder Name
- IFSC code
To chaliye money send karte hain.
PayTM app par money send karne ke liye sabse pahle Pay or Send Money par tap kare.
Next screen me Money send and pay karne ke liye kayi options available hain, yaha aapko Send To Bank par tap karna hai.
- Account holder ka name add kare
- Bank account number add kare
- IFSC code add kare (IFSC code aap google karke bhi search kar sakte hain)
- Jo amount send karna chahte hain wo add kare
Now Send par tap kare.
Aapke mobile number par OTP receive hoga wo enter kare.
Done! aapne successfully bank account me money send kar diya hai.
Aapne jo paisa jis bank account me send kiya hai wo kuch minutes me hi us bank account me credit ho jata hai. (IMPS hai)
Kisi bhi PayTM user ko Money send kare
Aaj kal yah feature bahut popular ho rahi hai. Aap saamne wale person
ko jo ki payTM use karta hai usko direct money send kar sakte hain.
Kisi shop par agar PayTM se payment kiya jata hai to aap PayTM app par uska Mobile number add kar money pay kar sakte hain.
Aap apne friend ke Paytm wallet me bhi money send kar sakte hain.
Kisi ke bhi payTM wallet me money send karne ke liye aapke paas sirf uska PayTM se registered Mobile Number chahiye.
Sabse pahle Pay or Send par tap kare.
Ab next screen me options me se Mobile No. select kare.
Mobile Number add kare aur jo amount send karna hai wo add kare, amount add karne ke baad Send par tap kare.
Done! Aapne successfully apne friend ke payTM wallet me money send
kar diya hai. Aapne jo money send kiya hai wo kuch seconds me hi aapke
friend ke wallet me add ho jata hai.
PayTM wallet usage Limit ko upgrade kare
Jaisa ki maine kaha default aap PayTM par maximum Rs.10000 tak monthly wallet usage kar sakte hain jo ki kafi nahi hai.
Aap apne wallet usage limit ko upgrade kar sakte hain. Upgrade karne
ke baad aap 1,00,000 rupees per month transaction kar sakte hain.
PayTM wallet usage upgrade karne ke liye aapko kuch bhi special nahi karna hai.
PayTM app me Add Money par tap kare.
Yaha aap upgrade usage limit ka button dekh sakte hain us par tap kare.
Next screen me upgrade karne ke liye aap 3 options dekh sakte hain.
- Request a Visit from our agent: yah option aapke liye best hai. PayTM agent aapke ghar aayega aur KYC document collect karke le jayega.
- Courier documents to us directly: Aap KYC documents courier kar sakte hain.
- Visit nearest PayTM KYC center: Agar aapki city me paytm kyc center available hai to waha KYC document submit kar sakte hain.
KYC documents me kya chahiye?
#Proof of Identity (any one):
- PAN card with photograph
- Aadhar card
- Passport
- Driving License
- Voter ID
#Proof of Address (any one):
- Aadhar card
- Passport
- Driving License
- Voter ID
- Utility bills (electricity, telephone, postpaid mobile phone, piped gas, water bill) not more than 2 months old
- Property or municipal tax receipt
- Bank account/Post office saving account statement
KYC Documents successfully submit karne ke baad 10-12 days me aapka account upgrade ho jata hai.
No comments: