ICICI Bank Me Online Saving Account Kaise Open Kare?
ICICI Bank country ki sabse badi banks me se ek hai yah sab aap
jaante hain. Mere paas bhi ICICI bank ka regular saving account hai jo
ki last year maine online open karaya tha.
Aaj main aapko batane ja raha hu ICICI Bank me online saving account
ke liye kaise apply kare. Online apply karne ke baad aapko branch me
jaane ki jarurat nahi hai. Aap ghar par hi apna ICICI saving account
open kar sakte hain online.
Is se pahle main ICICI me online saving account kaise apply kare iske
bare me batau, us se pahle main aapko ICICI bank kis tarah ke saving
accounts offer karti hai wo bata deta hu.
ICICI banks Saving Accounts Details
ICICI Bank aapko kayi type ke saving accounts offer karti hai. Aap
apni jaroorat and eligibility ke according koi bhi choose kar sakte
hain.
Bata du ki ICICI bank aapko Zero balance saving account bhi offer
karti hai aur sath-sath regular & advanced saving accounts bhi offer
karti hai.
Yaha main aapko regular & advanced saving account ke liye online kaise apply karte hain uske bare me batane ja raha hu.
ICICI Bank aapko below saving account offer karti hai.
- Regular Saving Account
- Silver saving Account
- Advantage Women saving Account
- Senior citizen saving account
- Gold privilege Account
- Titanium privilege account
- Zero balance saving account
Above sabhi saving accounts me hamare liye regular saving account
sabse best choice hai. Other saving accounts me aapko kafi deposits
maintain karna padta hai.
ICICI Regular saving Account Eligibility & Features
- Koi bhi indian citizen regular saving account ke liye apply kar sakta hai
- Aapko monthly average balance Rs.10,000 rakhna padta hai.
- Regular saving account me apako Internet banking, Debits cards, Mobile banking and other sabhi benefit provide kiye jaate hain.
To chaliye ICICI Bank me hum apna Regular saving Account ke liye
online apply karte hain aur ghar par bina branch visit kiye apna account
open karte hain.
Apply ICICI Saving Account Online
Sabse pahle ICICI Bank ke Online saving Account Application portal par visit kare. Click
Ab yaha aapko New Customer tab par click karna hai.
1
New Customer tab par click karne ke baad next screen me aapko apna state & city select karna hai.
- State and city select karne ke baad agar aapke paas Aadhaar card hai to apna Aadhaar number enter kare aur verify par click kare.
- Agar Aadhar card nahi hai aapke paas to apna mobile number, email address, full name enter kar Next par click kare.
2
Agli screen me aapko Personal Details, Address details and documents details add karna hai.
- Personal Details me apna name, father nam and mother name enter kare. Apna gender & marital status select kare. Apna PAN CARD number enter kare.
Type of Account me Single Account select kare.
Communication Details me apna Full Address enter kare.
Documents Details me aapko ID proof and address proof ke liye
documents select karna hai. Agar aapke paas Aadhaar card hai to aap ID
and address proof me Aadhar card select kar sakte hain, other wise other
option select kare.
Aapke Mobile number par OTP receive hoga jo aapko OTP enter option me enter karna hai. Ab next par click kare.
3
Next screen me aapko kuch basic information provide karna hai jaise
ki aapka work kya hai, aapki annual salary kya hai, home price kya hai –
wo sari details provide karne ke baad next par click kare.
4
Next screen me aapko apna Saving Account select karna hai, hum
Regular saving Account ke liye apply kar rahe hain wo select karenge and
next par click karenge.
5
Next aapko apni Branch select karna hai, aapne jo address provide
kiya hai uske according aapko near ICICI branch provide ki jayegi wo
select kare and click next.
6
Next screen me agar aapko apne account me abhi Deposit karna hai to
wo aap Netbanking or Debit card se kar sakte hain. Deposit karne ke liye
Transfer Now par click kare, agar Deposit nahi karna hai to Transfer later option par click kare.
Done! Aapne successfully ICICI Bank Regular saving Account ke liye
apply kar diya hai. For future reference apna Application ID number note
kar le.
Ab Next Kya hoga?
Online Application Submit karne ke baad 2-3 working days me ICICI
Bank representative aapko Call karega aur documents collect karne ke
liye aapke ghar par kab visit karna hai wo date and time ke bare me
jaankari lega. Aapko representative ke sath date and time fix karna hai.
Aapke bataye gaye date and time par ICICI person aapke ghar par visit karega aur aapke document collect karega.
Jab ICICI bank person aapke ghar par visit kare us samay aapko below items ready rakhna hai.
- Deposit amount ka cheque (Agar aapne online deposit nahi ki hai to aapko Deposit cheque dena hoga)
- ID proof and Address Proof ki xerox and original
- One passport size photo
Documents and deposit collect karne ke baad 1 week ke andar aapka
account open ho jayega. Aapko passbook, cheque book bhi provide ki
jayegi aur sath me Debit card and Net banking kit bhi provide ki jayegi.
To is tarah se aap ICICI bank me ghar par baith kar apna Saving account open kar sakte hain bina branch visit kiye.
Agar aapko ICICI bank me Zero balance account open karna hai to wo
bhi aap kar sakte hain, lekin uski process alag hai wo main new post me
guide karunga.
Waise ICICI hi nahi other banks bhi aapko online saving account open karne ki facility provide karti hain.
No comments: