Opera Browser Par Use Kare Free VPN [Secret Browsing]
Free VPN (Virtual Private Network) ka use karna chahte hain wo bhi SIngle click enable/Disable option se?
Try Opera PC Browser.
Ji ha Opera ne apne PC browser me Free VPN service add ki hai jiske jariye aap Securely and secret internet browsing kar sakte hain.
Hamare kayi readers abhi bhi VPN ke bare me nahi jaante, chaliye unhe VPN kya hota hai iske bare me bata deta hain?
VPN Kya hai?
VPN (virtual private network) jaisa ki naam se pata chalta hai
Private network jaha aap Internet se connect hote hain lekin bahut
securely and hidden mode me.
Normally, aap jab internet access karte hain aur koi website open
karte hain to aapki locations, IP address sab kuch open hota hai.
Website owner aapki location and IP address dekh sakta hai.
Lekin VPN me aisa nahi hai.
VPN me end to end data encryption hota hai, na to koi aapka IP address dekh sakta hai aur na hi location.
Aap VPN par ek secret user ki tarah kisi bhi website ko surf kar
sakte hain, even kisi ne aapki location or ip address block hai, to bhi
aap wo website access kar sakte hain.
VPN me IP address hota hai par wo aapka nahi hota, Jo VPN service
provide karte hain unke server ka hota hai aur wo IP address virtual
hota hai matlab regular change hota rahta hai.
To aapko pata chal gaya na kya hai VPN?
Ab chaliye Opera Browser me VPN ko single click me enable kaise karte hain wo dekhte hain.
Opera Browser me Free VPN Single Click me Enable Kare
Free VPN ki latest feature Opera ke latest version 40 me available hai. sabse pahle Opera version 40 download and install kare.
- Install karne ke baad menu par click kare aur Settings open kare.
- Settings me privacy & Security option par click kare.
- Privacy & Security me VPN option par Enable VPN par check mark kar enable kare.
That’s it.
Ab aap apne Search bar me VPN ka icon dekh sakte hain.
VPN icon par click kare aur VPN ko ON kare, ab apni Virtual location
ko select kare, aap koi bhi server location choose kar sakte hain.
Now You are connected with VPN.
Ab aap secure, hidden and private internet access kar sakte hain,
jaha aapko koi bhi track nahi kar sakta. Na hi koi aapki location dekh
sakta hai aur na hi IP address.
Search bar me aap VPN ko single click me enable/Disable kar sakte hain.
Opera Free VPN kaise Work Karta hai?
Opera VPN free available hai sabhi users ke liye. Jab aap VPN enable
karenge to aapko Opera VPN server location choose karna hota hai.
Server location choose karne ke baad aap VPN se connect ho jate hain aur hidden mode me internet access kar sakte hain.
Aur jyada secure access karne ke liye aap incognito browsing ke sath
VPN use kar sakte hain, fir koi bhi aapko track nahi kar payega.
Aap logo me se kayi Opera ki is new feature ko jaroor pasand karenge, try and enjoy free VPN.
No comments: