Google Ki Allo Messenger App Launched
Google ne facebook owned WhatsApp messenger ko reply dene ke liye
same features loaded messenger Application launch kar di hai, App ka
name hai – Google Allo
Allo ab Android and iOS platform ke liye available hai. Google ne aaj officially yah app launch kar di hai.
Abhi-Abhi Google ne Fast Video Call App Duo launch ki thi, jo ki slow internet par bhi work karti hai.
Allo App me same whatsApp jaise features hain like aap Chatting, Send media, Group chat incognito mode chatting and much more.
Allo me ek special feature hai, ji ha is app ke andar Google
Assistant add kiya gaya hai jo aapke har question ki reply dega google
search karke.
Main yaha aapko Allo App ke bare me batane wala hu.
Google Allo Features
- Register With Mobile Number
- Chatting, incognito mode chat, group chat
- Free Stickers available
- Smileys, expression available
- text message ko Swipe karke Big and small kare (interesting feature)
- Photos send karne se pahle editing kare
- Block anyone with single tap
- photo, video, location, camera receding share kare
- inbuilt Google Assistant (Ask anything and see google results)
This App is really amazing.
Register With Mobile Number
Bus bulkul whatsApp ki tarah aapko apna mobile number enter karna, and you are ready to use.
Register karne ke baad aap apna Profile photo add kar sakte hain.
Chat in Incognito Mode, group chat
Allo me aap incognito mode me chat kar sakte hain, incognito mode me
ki gayi chat ka expire time aap set kar sakte hain, set kiye gaye time
par chat delete ho jayegi.
Incognito mode chat karne ke liye chat button par tap kare and select Incognito chat, now select contact and start chat.
Free Stickers available
Allo me free stickers available hain jo aapko bahut pasand aayenge. Alag-alag sayings me ye stickers available hain.
Aap free stickers pack download kar use kar sakte hain.
Text Ko Big and Small karke Send kare
Yah bahut mast feature hai, aap apna message test Big and Small size ka karke send kar sakte hain.
Message text ki size Big and small karne ke liye apna text type kare, ab send button par tap kar up and Down Swipe kare.
Photos, video, location sharing
WhatsApp ki tarah Allo par bhi aap Photos, Video, Live camera recording, Voice message, Locations share kar sakte hain.
Just Hit Plus icon and select options.
Photo Send karne se pahle Edit kare
Allo ki yah best feature hai. Aap kisi bhi photo ko send karne se pahle usme INK text add kar sakte hain.
INK text add karne ke liye Images select kare aur edit button par tap
kare, ab text add karne ke liye finger se image par swipe kare. Aap
normal Text bhi add kar sakte hain.
Blocking Feature
Kisi bhi contact ko Block karne ke liye aapko sirf contact par long
tap karna hai, long tap karte hi Block ka option show karega.
Ya fir contacts profile open kare and tap on Block button.
Smileys and icons available
Allo par bhi chat karne ke liye different types smileys and icons available hain like faces and other categories related.
Google Assistant Feature
Google Assistant feature aapko bahut pasand aayegi.
Kuch bhi search karne ke liye aap Google karte hain, wo aap Google assistant se pooch sakte hain.
Suppose chat ke samay me aapko kuch search karna hai to aap Google
Assistant jo ki Application me available hota hai uska use kar sakte
hain.
Aaj bollywood news kya hai, India me kya-kya hua, etc etc anything aap Google assistant se ask kar sakte hain.
Overall, Allo Application just abhi-abhi release hui hai aur isme kafi sari features new version me add ki gayi hain.
Future me Google isme kayi new features add karega, so forends ek bar
Allo app ka use karke jaroor dekhe, aakhir isko Google ne develop kiya
hai kuch to special hoga.
No comments: