SBI Account Se PAN CARD Online Register Kare
Kya aapka PAN Card aapke SBI bank Account se register hai? Agar
nahi hai to bata du ab aapko apna PAN CARD bank account me register
karna jaroori hai.
PAN CARD ko apne bank account ke sath register karne ke kayi benefit
hain jaise ki aapko Rs.50000 se above transaction karna hai to PAN
Number jaroori hai agar bank me aapka PAN CARD register nahi hai to aap
50,000 se above transaction nahi kar sakte.
Aap Fix deposit karte hai usme income tax se relief paane ke liye bhi aapko PAN CARD submit karna jaruri hai.
Internet Banking se related kayi aise kaam hai jo bina PAN CARD register kiye aap nahi kar sakte.
Agar aapke paas PAN CARD nahi hai to aisi condition me aap Form 60
fill kar bank me submit kar sakte hain. Lekin agar PAN CARD hai to aapko
jaroor apne bank me register karna chahiye.
Jyada sochiye mat, ab yah kaam aap Online kar sakte hain. Ji ha SBI
customers ab apna PAN CARD apne Bank account se online register kar
sakte hain, iske liye aapko bank me jakar Form nahi fill karna padega.
To chaliye main aapko batata hu ki kaise aap apna PAN Number apna SBI account ke sath Online register/link kar sakte hain.
Kaise jaane PAN Card register hai ya Nahi?
Kya aapko nahi pata ki aapka PAN number aapke sbi account ke sath link hai ya nahi?
Aap SBI Net banking me login kar apna registered pan card dekh sakte hain.
Apna bank account se linked pan number check karne ke liye Net banking me My Accounts par click kare.
My Accounts me View Nominations and PAN Details par click kare.
Next screen me aap apna registered pan number dekh sakte hain, agar
aapka Pan number registered nahi hai to wo column blank show karega.
Register PAN CARD Online With SBI Account
Pahle aapko pan card register karna ho to bank me jakar KYC form fill
karna padta tha aur uske sath PAN CARD ki copy bank me submit karni
padti thi, lekin ab aisa nahi hai.
1
Sabse pahle aapko SBI Net banking me user ID and password enter kar login karna hai.
2
Net Banking me login karne ke baad aapko Profile tab par click karna hai.
- Profile me aapko Personal Details par click karna hai.
3
Personal Details me enter karne ke liye aapko next screen me Profile password enter karna hai.
4
Personal Details me aap left side options me PAN Registration ka option dekh sakte hain, us par click kare.
- PAN Registration me aapko sirf apna PAN NUMBER enter karna hai aur submit karna hai.
5
Next screen me aapko confirm par click karna hai.
6
Ab aapke registered mobile number par OTP receive hoga jo next screen me enter karna hai.
Done! Aapne apna PAN CARD registration ke liye submit kar diya hai.
Submit karne ke baad PAN CARD Register Kab hoga?
PAN CARD number submit karne ke baad within 7 days me aapka pan card aapke bank account se register ho jayega.
Aap Status tab par click kar apna registered pan number check kar
sakte hain aur sath me My Accounts—view nominations and PAN Details par
click kar bhi check kar sakte hain.
I hope yah post read karne ke baad aap apna PAN card number apne sbi
account ke sath register/link easily kar payenge. Agar aapke paas Net
banking nahi hai to fir aapko bank me visit karna hoga aur KYC form fill karna hoga.
No comments: