SBI Anywhere Mobile App Se Digital Banking kaise Kare?
India me sabse jyada customers agar kisi Bank ke hain to wo hai –
State Bank of India. Ameer ho ya Gareeb sabke paas apna SBI saving
account hai.
Aaj main SBI users ko Digital banking kaise karte hain uske bare me batane ja raha hu, jisme main aapko bataunga ki kaise aap bina Bank branch me visit kiye Banking ke important kaam apne Smartphone par kar sakte hain.
Ji ha aaj main aapko SBI Anywhere Mobile App ko kaise use karte hain iske bare me batane ja raha hu.
SBI bhi aapko – SBI Anywhere mobile app offer karti hai jo aap apne Smartphone me install kar banking ke kaam kar sakte ho.
SBI Anywhere application Android, iOS, windowsPhone, Blackberry sabhi platform ke liye available hai.
SBI Anywhere Appication ke kuch main features is tarah hain:
To chaliye SBI Anywhere App ka use kaise karte hain wo learn karte hain taki jyada se jyada SBI customers digital banking ka use kar sake.
Install karne ke baad ab Application open kare. Aapko one-time application ko validate karna hoga, after successful validation ke baad aap SBI Anywhere me login kar sakte hain. Read: SBI Anywhere (personal) me first time login kaise kare?
After successful validation aap apne netbanking user ID and password se login kar sakte hain. Agar aapke paas Netbanking nahi hai to don’t worry aap apne Debit card se netbanking online activate kar sakte hain. Read: Internet Banking online kaise Activate kare?
Agar aapse Online Internet banking Activate nahi ho rahi hai to apni bank branch me visit kare aur Internet banking ke liye apply kare. Bank aapko User Id and password provide karegi jiska use aapko Net banking me login karne ke liye karna hai.
SBI Anywhere App me apni Internet banking user ID and password se login kare.
Login karne ke baad ab hum SBI Anywhere Application ke alag-alag features ke bare me dekhenge.
Beneficiary add karne ke liye aapko onlinesbi.com par visit kar net banking user ID and password se bank account me login karna hai.
Beneficiary add karne ke baad aap SBI Anywhere App se add kiye gaye beneficiary ko money send kar sakte hain.
Kisi other Bank account me agar aapko Money transfer karna hai to iske liye bhi aapko wo bank account as a beneficiary add karna jaruri hai, uske baad aap Fund transfer kar sakte hain.
Beneficiary add karne ke baad aap SBI Anywhere App par kisi bhi Bank ke account me money send kar sakte hain.
IMPS se Fund transfer karne ke liye aapko jis account me paisa send karna hai wo as a beneficiary add karna jaroori hai uske baad aap Anywhere app se add kiye gaye Beneficiary ko money send kar sakte hain.
Read this guide: SBI me IMPS fund transfer kaise karte hain?
Read: SBI Quick transfer kaise karte hain
Card block karne ke liye SBI Anywhere app par Services par tap kare.
Yah jaroori nahi hai ki har kaam karne ke liye aap Bank me visit kare, jab sabhi kaam aap apne smartphone par kar sakte ho to bank me pareshan hone ki kya jarurat hai.
Aaj ke digital world me log cashless payment ki taraf aage badh rahe hain aisi condition me aapke liye bhi jaroori hai ki aap bhi yah sab learn kare aur digital banking kare.
Aaj main SBI users ko Digital banking kaise karte hain uske bare me batane ja raha hu, jisme main aapko bataunga ki kaise aap bina Bank branch me visit kiye Banking ke important kaam apne Smartphone par kar sakte hain.
Ji ha aaj main aapko SBI Anywhere Mobile App ko kaise use karte hain iske bare me batane ja raha hu.
SBI Anywhere App ke Bare me
Lagbhag sabhi bank aapko Mobile App offer karti hai jo aap apne smartphone me install kar banking ke kaam kar sakte ho.SBI bhi aapko – SBI Anywhere mobile app offer karti hai jo aap apne Smartphone me install kar banking ke kaam kar sakte ho.
SBI Anywhere application Android, iOS, windowsPhone, Blackberry sabhi platform ke liye available hai.
SBI Anywhere Appication ke kuch main features is tarah hain:
- Aap apna Bank account balance and statement dekh sakte hain
- Online Fund transfer NEFT, RTGS, IMPS, quick transfer kar sakte hain
- ATM Card block kar sakte hain
- Bank account se Aadhar card link kar sakte hain
- LPG gas Subsidy ke liye register kar sakte hain
- Mobile Top-up, Dish TV recharges
- Fix Deposit open kar sakte hain
- Cheque book request kar sakte hain
To chaliye SBI Anywhere App ka use kaise karte hain wo learn karte hain taki jyada se jyada SBI customers digital banking ka use kar sake.
SBI Anywhere App ka use kaise kare
Sabse pahle apne Smartphone par SBI Anywhere App ko install kare.Install karne ke baad ab Application open kare. Aapko one-time application ko validate karna hoga, after successful validation ke baad aap SBI Anywhere me login kar sakte hain. Read: SBI Anywhere (personal) me first time login kaise kare?
After successful validation aap apne netbanking user ID and password se login kar sakte hain. Agar aapke paas Netbanking nahi hai to don’t worry aap apne Debit card se netbanking online activate kar sakte hain. Read: Internet Banking online kaise Activate kare?
Agar aapse Online Internet banking Activate nahi ho rahi hai to apni bank branch me visit kare aur Internet banking ke liye apply kare. Bank aapko User Id and password provide karegi jiska use aapko Net banking me login karne ke liye karna hai.
SBI Anywhere App me apni Internet banking user ID and password se login kare.
Login karne ke baad ab hum SBI Anywhere Application ke alag-alag features ke bare me dekhenge.
1. Account Balance and Statement Dekhe
Aapke account me abhi kitna paisa hai aur last kya kya transaction aapne kiye wo sari details aap dekh sakte hain. Aap passbook bhi apni generate kar sakte hain.- SBI Anywhere App par My Accounts par tap kare.
- My Accounts me aap total balance, mini statement dekh sakte hain. Aap online passbook bhi dekh sakte hain. Passbook dekhne ke liye mPassbook par tap kare.
2. Kisi other person ke SBI Account me Money transfer kare
Kisi other person ke SBI account me paisa transfer (Intra bank transfer) karne ke liye aapko sabse pahle usko as a beneficiary add karna hoga.Beneficiary add karne ke liye aapko onlinesbi.com par visit kar net banking user ID and password se bank account me login karna hai.
Beneficiary add karne ke baad aap SBI Anywhere App se add kiye gaye beneficiary ko money send kar sakte hain.
- Money Send karne ke liye Banking me Fund Transfer par tap kare
- Agli screen me other SBI Account par tap kare.
- Ab next screen me aapko apna debit account select karna hai, beneficiary select kare aur amount enter kar pay now par tap kare.
3. Kisi bhi Bank me money transfer kare
SBI ke alawa other Bank like Kotak, ICICI, Axis, BOI, BOB etc etc me fund transfer karne ki process ko inter-bank transfer karte hain.Kisi other Bank account me agar aapko Money transfer karna hai to iske liye bhi aapko wo bank account as a beneficiary add karna jaruri hai, uske baad aap Fund transfer kar sakte hain.
Beneficiary add karne ke baad aap SBI Anywhere App par kisi bhi Bank ke account me money send kar sakte hain.
- Money Send karne ke liye Other Bank Account par tap kare.
- Agli screen me aapko apna debit account select karna hai, mode of transfer me aap NEFT, IMPS, RTGS option select kar sakte hain.
- Beneficiary account select kare.
- Amount enter kare aur send kare
4. IMPS Fund Transfer Kare
IMPS (immediate payment service) se aap kisi bhi bank me sabse fast Money transfer kar sakte hain. Kuch Seconds me hi aapka paisa transfer ho jata hai.IMPS se Fund transfer karne ke liye aapko jis account me paisa send karna hai wo as a beneficiary add karna jaroori hai uske baad aap Anywhere app se add kiye gaye Beneficiary ko money send kar sakte hain.
- IMPS se money send karne ke liye Fund Transfer par tap kare, next screen me Other Bank account select kare.
- Agli screen me mode of transfer me IMPS (24/7) select kare aur beneficiary select kare.
- Amount enter kar money send kare.
Read this guide: SBI me IMPS fund transfer kaise karte hain?
5. Quick Fund Transfer kare
SBI Quick transfer ek bahut achhi facility hai jiske jariye aap bina beneficiary ko add kiye kisi bhi bank account me fast money transfer kar sakte hain. Quick transfer ke jariye aap per day Rs.10,000 amount kisi bhi bank ke account me send kar sakte hain.- Quick transfer karne ke liye Fund transfer par tap kare aur next screen me Quick transfer par tap kare.
- Agli screen me Send money par tap kare aur account details me account number, IFSC code enter kar, amount enter kar send kare.
Read: SBI Quick transfer kaise karte hain
6. ATM card Block kare
SBI Anywhere App se aap apna ATM/Debit card Block bhi kar sakte hain.Card block karne ke liye SBI Anywhere app par Services par tap kare.
- Debit card hotlisting par tap kare aur apna account number select kar linked debit card select kare aur block kare.
7. Aadhar card and LPG Customer ID link kare
Gas subsidy direct apne bank account me receive karne ke liye aapko Aadhar card aur LPG gas customer ID apne Bank account se link karna padta hai, uske baad aap government jo subsidy deti hai wo account me receive kar sakte hain.- SBI Anywhere App me Request par tap kare.
- Next screen me Aadhaar par tap kare.
- Agli screen me aap LPG customer ID enter kar subsidy apne account me receive kar sakte hain. Aadhar card link karne ke liye Aadhaar seeding par tap kare.
8. Mobile and Dish TV recharge kare
Kisi bhi Network ka mobile number aur kisi bhi DTH service ko aap SBI Anywhere app se recharge kar sakte hain.- Recharges karne ke liye SBI Anywhere app me Top-up/Recharge par tap kare.
- Agli screen me aap Mobile, DTH recharge kar sakte hain. Aap yaha apne buddy wallet me money add kar sakte hain.
Final Words
Dosto main aapko suggest karunga ki jyada se jyada Digital banking ka aap use kare, aapko iski jaankari hona bahut jaroori hai.Yah jaroori nahi hai ki har kaam karne ke liye aap Bank me visit kare, jab sabhi kaam aap apne smartphone par kar sakte ho to bank me pareshan hone ki kya jarurat hai.
Aaj ke digital world me log cashless payment ki taraf aage badh rahe hain aisi condition me aapke liye bhi jaroori hai ki aap bhi yah sab learn kare aur digital banking kare.
No comments: