SBI Me Online Money Transfer Ke Liye Beneficiary kaise Add kare
Bank account me Online paisa send/receive karna aaj ke digital
world me bahut jaroori ho gaya hai. Hamari government bhi hume yahi
suggest karti hai ki hum jyada se jyada Bank transactions online kare.
Online Bank transactions karne ke kayi benefit (Fayde) hain.
- Sabse pahla benefit aapka paisa fast kisi bhi bank account me transfer ho jata hai
- Aapko Cheque clear ka wait karna, cash deposit, bank visit jaise time consuming kaam nahi karne padte.
- Aapka paisa secure transfer hota hai
- Internet banking, Banking Mobile App ke jariye ab paisa transfer aur receive karna bahut easy hai, aap apne PC, smartphone, tablet par bus banking application ke jariye kahin bhi- kabhi bhi paisa send/receive kar sakte hain.
Kisi bhi Bank account me online money transfer karne ke liye sabse
pahla step hai Beneficiary add karna. Aaj main aapko State bank of India
me Online money transfer karne ke liye Beneficiary kaise add karte hain
uski jaankari dene ja raha hu.
Beneficiary Add Kyu karte hain?
Kisi bhi Bank account me money transfer karne se pahle aapko wo
account verify karna padta hai jisko hum Beneficiary add karna kahte
hain.
Jab tak aap Beneficiary add nahi karenge tab tak aap usko online Paisa send nahi kar sakte.
Lagbhag sabhi banks me online money transfer karne ke liye sabse
pahle jis account ko paisa send karne ja rahe hain wo account aapko
Internet banking ke jariye apne beneficiary list me add karna jaroori
hai. Account ko Beneficiary list me add karne ke baad aap us account ko
paisa online send kar sakte hain.
SBI me Beneficiary add Kaise kare
State Bank of India online money transfer karne ke liye aapko kayi options deti hai.
- SBI Internet banking
- SBI Anywhere App jo ki Android, iOS and windows phone par available hai
- SBI freedom
Ab online money transfer karne ke liye sabse pahle aapko wo bank
accounts as a beneficiary add karna hai jise aapko paisa send karna hai.
Beneficiary add karne ke baad aap Internet banking, SBI Anywhere and
SBI freedom app par online fund transfer kar sakte hain.
To chaliye Beneficiary add karte hain jo ki bahut easy hai.
1: Sabse pahle aapko SBI Internet Banking me login karna hai. Login
karne ke liye https://onlinesbi.com par visit kare aur apne username and
password type kar bank account me login kare.
Agar aapke paas SBI Internet Banking nahi hai to tension ki koi baat
nahi, aap apne ATM/Debit card aur bank me registered mobile number ke
jariye apna Net banking online activate kar sakte hain. Read: SBI Net Banking online kaise Activate kare?
2: SBI Net banking ke jariye apne account me login karne ke baad aapko Profile tab par click karna hai.
Profile Tab par aap Manage Beneficiary ka option dekh sakte hain, us par click kare.
Ab next screen me aapko apna Profile password enter karna hai. Profile password enter kare.
Manage Beneficiary par aap alag-alag Beneficiary add kar sakte hain jisme aap below jaroori beneficiary add kar sakte hain.
- Intra-bank beneficiary: Agar aapko SBI to SBI money send karna hai to is option par click kar beneficiary account add kare
- Inter-Bank beneficiary: Agar aapko SBI to other bank me money send karna hai to is option par click kar account add kare
- IMPS beneficiary: IMPS (immediate payment service) fast money transfer karne ke liye aap IMPS beneficiary account is option par click kar add kar sakte hain.
Fund Transfer karne ke liye hume above 3 type beneficiary add karne ki jarurat padti hai.
To aaiye one by one all 3 type beneficiary add karte hain.
1. Add Intra-Bank Beneficiary (SBI To SBI)
Intra-bank ka matlab hota hai SBI TO SBI account.
Agar aapko kisi other person ke SBI account me paisa transfer karna
hai to sabse pahle aapko wo person ka bank account Intra-bank
beneficiary me add karn hoga.
Intra-Bank Beneficiary add karne ke liye Intra-Bank Beneficiary par click kare.
Ab next screen me beneficiary details me Person ka name, Account
Number aur transfer Limit add kare. Aap ek samay me 10,00,000 amount
transfer kar sakte hain isliye transfer limit me aap 10 lakh se below
koi bhi amount add kar sakte hain.
Ab submit par click kare.
Submit karne ke baad aapko next screen me Approve Now par click karna hai. Agar aap baad me Approve karna chahte hain to bus Approve tab par click karke kar sakte hain.
Approve Now par click karne ke baad next screen me aapko Select Approval type me Approve Beneficiary par click karna hai.
Next screen me aapko Approve through OTP select karna hai. Ab aapke registered mobile number par high security code aayega jo aapko next screen me enter karna hai.
Next screen me apna add kiya gaya beneficiary select kare aur High security code enter kar Approve par click kare.
That’s it aapne successfully Intra-bank beneficiary add kar liya hai.
Ab 4 hours ke andar aapne jo account add kiya hai wo activate ho jayega
aur aap us account holder ko paisa send kar sakte hain.
2. Add inter-Bank Beneficiary (SBI To Other Bank)
Agar aap apne SBI account se SBI ke alawa other bank account me money
send karna chahte hain to sabse pahle aapko Inter-bank beneficiary add
karna hoga.
Add karne ke liye Manage Beneficiary list me Inter-Bank Beneficiary par click kare.
Next screen me aapko jis account ko add karna hai uski bank account
details add karna hai. Account details me name, account number, transfer
limit aur IFSC code aapko add karna hai. Apni Branch ka IFSC code aap
apni passbook me dekh sakte hain.
Details enter karne ke baad Submit par click kare.
Submit karne ke baad next screen me Approve Now par click kare.
Ab next screen me aapko Approve Beneficiary par click karna hai.
Next screen me Approve through OTP select kare. Ab aapke Mobile number par High secuirty code receive hoga jo aapko next screen me add karna hai,
Agli screen me apna add kiya gaya account select kare aur High
Security password me mobile par receive code enter kare. Now click
Approve.
That’s it aapne successfully Inter-bank beneficiary add kar liya hai,
after 4 hours aapka add kiya gaya account activate ho jayega aur aap us
account holder ko paisa bhej sakte hain.
3. IMPS beneficiary add kare
IMPS – fast money transfer service hai, kuch seconds me hi aapka paisa kisi bhi account me transfer kiya ja sakta hai.
IMPS fund transfer aap 2 tarah se kar sakte hain.
1) Jisko Paisa send karna hai uska bank IFSC code use karke 2) saamne wale person ka MMID and Mobile number
Read: SBI me IMPS fund transfer kaise kare?
Agar aapke paas saamne wale person ka MMID and mobile number hai to aap IMPS beneficiary add kar sakte hain.
Agar aapke paas MMID and mobile number nahi hai to aap IMPS
beneficiary add nahi kar sakte, aisi condition me aap IFSC se IMPS fund
transfer kar sakte hain.
Add karne ke liye IMPS Beneficiary par click kare.
Ab next screen me aapko account holder name, MMID, Mobile number aur
transfer limit add karna hai. IMPS se aap ek sath Rs.2 lakh send kar
sakte hain isliye limit me below 2 lakh amount enter kare. Details add
karne ke baad submit par click kare.
Ab next screen me Approve now par click kare.
Next screen me Approve beneficiary par click kare.
Next aapko Approve through OTP par click karna hai. Ab aapke registered mobile number par high secuirty code receive hoga.
Next step me aapko add kiya gaya MMID account select karna hai aur
High security password me receive kiya gaya code enter kar Approve par
click karna hai.
That’s it aapne successfully IMPS beneficiary add kar liya hai, ab
aap MMID ke through add kiye gaye account holder ko money bhej sakte
hain.
Final Words
To dosto bus kuch is tarah se aap SBI me online money transfer karne
ke liye Beneficiary account add kar sakte hain aur kisi bhi bank
account holder ko paisa online bhej sakte hain.
Aap apne SBI account se paisa transfer karne ke liye Internet banking, Mobile app like State bank anywhere and SBI freedom ka use kar sakte hain.
No comments: