SBI Bank Account Se PAN CARD Kaise Link Kare (offline)
Kya aapne apna PAN card apne SBI saving account se link kiya hai?
Agar nahi to aaj main aapko batane ja raha hu kaise aap apna PAN CARD
apne SBI bank account se link kar sakte hain.
Kyu Jaruri Hai PAN CARD Link karna
Aap jab bhi kisi bhi bank me apna account open kare to sath me apna
PAN CARD jaroor submit kare taki aapke account ke sath PAN CARD details
bhi bank ke paas rahe.
Waise aap as a ID proof bhi PAN CARD bank account open karne ke liye
submit kar sakte hain. Agar Aadhar card ya kisi other ID proof se
account open karne ja rahe hain to bhi PAN CARD ki copy jaroor attach
kare.
PAN CARD apne Bank account se Link karne ke kayi benefit hain aur jaroori bhi hai.
- Aapko agar 50,000 above transaction karna hai to uske liye PAN CARD chahiye.
- Fix Deposit aap bank me karte hain usme income tax na lage uske liye bhi pan card details dena jaroori hai.
- Internet Banking ki kayi services ka use aap bina pan card details ke nahi kar sakte.
- Bank me agar aapko Rs.50,000 se jyada deposit karna hai uske liye bhi PAN CARD aapke account se link hona jaroori hai.
Overall kahne ka matlab yah hai ki sabhi Bank account holder ke liye
yah bahut jaroori hai ki wo apna PAN CARD apne bank account ke sath link
kare.
Maine jab apna SBI account open kiya tha to ID proof ke sath-sath
maine pane PAN CARD ki copy bhi submit ki thi, isliye mere account ke
sath mera pan card bhi linked hai.
SBI Account ke sath PAN CARD Link kaise kare?
SBI ne abhi Bank account ke sath Online PAN CARD link kar sake aisi
koi facility launch nahi ki hai, matlab aapko iske liye bank me visit
karna hoga.
1
Sabse pahle apni SBI home branch me visit kare, apne sath original PAN CARD aur xerox copy, Passport size photo lekar jaye.
2
Bank me aapko KYC Form lena hai aur fill-up karna hai. Yah Form aap Online Download bhi kar sakte hain aur uski print lekar fill-up kar sakte hain.
KYC Form me aapko PAN CARD number add karna hai aur other sabhi details Fill karna hai like name, address etc.
3
Complete Form Fill karne ke baad aapko PAN CARD Xerox copy Form ke sath attach karke Bank me submit karna hai.
Bus aapka kaam ho gaya. Within week aapki KYC (know your customer)
details update ho jayegi aur aapka PAN CARD aapke bank account se link
ho jayega.
Overall yah kaam karne ke liye aapko sirf 10 minutes ka time spend karna hoga.
To dosto agar aapne bhi abhi tak apne SBI saving account ke sath pan
card details submit nahi ki hai to abhi bank me jaye aur KYC form fill
up karke bank me submit kare.
SBI Net Banking me apna Linked PAN CARD Dekhe
Agar aapke paas SBI Net banking hai to aap net banking me login karke apna linked pan card details dekh sakte hain.
https://www.onlinesbi.com par visit kare aur User ID and password se Net banking me login kare.
Login karne ke baad My Accounts tab par View Nominations and PAN Details par click kare.
Next screen me aap apne bank account se registered PAN number dekh sakte hain.
No comments: