SBI Freedom Par IMPS Money Transfer Kaise Kare?
SBI Freedom App apne smartphone par install kar aap SBI banking ke
most of works easily kar sakte hain like fund transfer, view statements,
recharges, Fix deposits and others.
Aaj main aapko batane ja raha hu SBI Freedom App par aap IMPS se kisi bhi bank account me money transfer kaise kar sakte hain.
Kya hai IMPS?
IMPS ke bare me agar aapko pata nahi hai to aapki jaankari ke liye
bata du – IMPS ka full form hai (immediate payment service). Online
money transfer karne ke liye sabhi banks aapko IMPS ki facility provide
karti hain.
IMPS ki sabse achhi baat yah hai ki isme aap paisa instantly kuch
seconds me kisi bhi bank account me transfer kar sakte hain. Most of
fund transfer aaj kal IMPS ke through hote hain.
IMPS fund transfer karne ke liye aapke paas 2 options hain, jiske
jariye aap kisi bhi bank account me fast money send kar sakte hain.
Below 2 methods ka use karke aap IMPS fund transfer kar sakte hain:-
- Bank Account No. & IFSC code: Aap Kisi bhi Bank account ka Account Number aur IFSC code se IMPS money transfer kar sakte hain.
- MMID and Mobile Number: MMID (Mobile money identifier) yah IMPS use karne wale ko provide ki jati hai. Aap MMID and registered Mobile number ka use karke bhi kisi bhi bank me money send kar sakte hain.
To chaliye main aapko SBI Freedom App par IMPS se Fund transfer kaise karte hain uske bare me detail me bata deta hu.
SBI Freedom App par aap 2 tarah se kisi bhi Bank account me money transfer kar sakte hain.
1. IMPS Fund Transfer Through MMID & Mobile Number
Sabse pahle aapko SBI Freedom App me login karna hai. user ID and MPIN enter kar login kare.
SBI Freedom App home screen par aapko Fund Transfer option par tap karna hai.
Fund Transfer me aapko IMPS-Mobile No. & MMID option par tap karna hai.
Ab agli screen me aapko apna Account select karna hai.
- Payee Mobile Number me jisko money send kar rahe hain uska Mobile number enter kare.
- Payee MMID me person ka MMID enter karna hai.
- Amount to be transferred me amount enter kare
Amount enter karne ke baad Submit par tap kare.
Ab aapke registered mobile number par OTP receive hoga jo aapko next screen me enter karna hai.
Done! Aapne successfully Mobile number & MMID ke through IMPS
fund transfer kar diya hai. Kuch seconds me hi aapne jisko money send
kiya hai uske account me money credit ho jayega.
2. IMPS Fund Transfer Through IFSC Code & Account Number
IMPS fund transfer aap kisi bhi bank ke account number aur bank ke IFSC code se bhi kar sakte hain.
Agar aapke paas saamne wale person ki MMID nahi hai to IMPS fund
transfer through IFSC code and Account number option choose kar sakte
hain.
SBI Freedom App me Fund transfer option me IMPS-Account No. & IFSC option select kare.
Ab next screen me apna account select kare.
- Select payee bank me jisko money send kar rahe hain uski bank select kare.
- Payee Account Number me person ka account number add kare.
- Amount to be transferred me amount enter kare.
Ab Submit par tap kare.
Submit karne ke baad aapke registered Mobile Number par OTP receive hoga jo aapko next screen me enter karna hai.
Done! Aapne successfully IMPS fund transfer through Account No. &
IFSC code se kar diya hai. Kuch seconds me aapki send ki gayi amount
saamne wale person ke account me credit ho jayegi.
To is tarah se aap SBI Freedom Application ke jariye IMPS fund transfer kar sakte hain.
Agar aapko urgent kisi ko paisa send karna hai to IMPS sabse best
option hai kyun ki isme aapko jyada bank details ki jarurat nahi padti
aur fast transaction bhi ho jata hai.
No comments: