SBI Atm se Internet Banking Online Activate Kaise Kare





State bank of India ki banking ki sabhi facility online available hain chahe wo account open karna ho, Debit card, credit card apply karna ho, Fund transfer, IMPS, Mobile number change karna aur bhi na jaane kitni services hain jo aap online kar sakte hain.
Ab aap Internet banking bhi online activate kar sakte hain.
Pahle Internet banking activate karne ke liye aapko specially Branch me visit karna padta tha, uske baad form fill up karna padta tha, uske baad aapko Net banking kit provide ki jati thi.
Magar ab aapko Branch jaane ki jarurat nahi hai.
Aapke paas ATM or Debit card to hoga hi? Bus aapke liye wo kafi hai Internet banking Online activate karne ke liye.

Activate Internet banking Online (step-by-step)

Bahut hi easy process hain internet banking ko online activate karne ki. Aap sirf 2-minutes me activate kar sakte hain.
Aapko bus aapka ATM card and registered mobile number sath me rakhna hai. Are you ready?
1
Sabse pahle Onlinesbi.com par visit kare aur login par click kar Internet banking login dashboard par aaye.
2
Yaha aapko New User? Register here par click karna hai, click karne ke baad popup box me OK par click kare.
online sbi
3
Ab aapke browser me new small window open hogi jaha aapko apni banking details add karna hai.
onlinesbi new user
  • Account Number me apna Account number properly add kare
  • CIF Number aapki passbook me hai, wo enter kare
  • Branch code me apne SBI branch ka code enter kare, aap GetBranchCode button par click kar apna code dekh sakte hain.
  • Country india select kare
  • Registered Mobile number enter kare
  • Facility Required me Full Transactions Rights select kare, isko select karne se aap Net banking ka full use kar sakte hain.
  • Now click on Submit
4
Submit par click karne ke baad next screen me aapke Registered Mobile number par OTP receive hoga wo enter kar confirm kare.
sbi otp
5
OTP enter karne ke baad next screen me aapko:
  • I have my ATM Card (online registration without branch visit) select kar submit karna hai.
sbi internet banking new user
6
Agli screen me aapko ATM Card verify karne ke liye sirf Rs.1 ka transaction karna hoga. Baad yah Rs.1 aapke account me credit ho jayega.
  • Card ka number enter kare
  • Valid expiry date enter kare
  • PIN enter kare aur Submit kare
sbi netbanking registration
7
Agli screen me Pay par click kare.
sbu netbanking online register
8
Ab agli screen me aapki Temporary Net banking User Name generate hogi, wo note kar le. (Aapke mobile par bhi receive hoga user name) Sath hi login karne ke liye aapko apna password create karna hoga. Password enter kar submit kare.
internet banking online
9
Great aapki Netbanking successfully Activate ho gayi hai. Aapko screen par message show karega.
internet banking register online
Ab aapko apne Temporary user Name and password se Netbanking me login karna hai.
Jo User ID aapko mili hai wo temporary hai first time login karne ke liye, isliye Login karne ke baad aapko apni strong New User ID aur new password set karna jaroori hai. Wo sab aapko login karte samay bataya jayega.
To is tarah se aap Netbaking ko bhi bina Branch me visit kiye online activate kar sakte hain apne ATM card se. Internet banking se aap banking ke sabhi kaam ghar par online kar sakte hain.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.