SBI Me Online Account Ke Liye Apply Kaise Kare
Ho sakta hai aapko Account opening form bhi provide na kiya jaye.
Aise me aapko Account open karne ke liye online form fill-up karna
padta hai aur uske baad Form ki print-out nikalkar KYC (Know your
customer) Document ke sath Kisi bhi SBI Branch me submit karna padega.
Aaj main aapko batane ja raha hu kaise aap State Bank of India me Saving Account open karne ke liye online Apply kar sakte hain. Let’s see:
SBI Me online Saving Account ke liye Apply karne ki 3 Process hain:
- Online Form Fill-up karna
- Filled Form Download karke print out lena
- Form ko identity proof & Address proof ke sath Bank me Submit karna
Form and Kyc submit karne ke baad aapka account open kar diya jayega, aur aapko banking kit provide ki jayegi.
Ok, to hum step-by-step process ko follow karte hain.
Step#1: Online Form Fill-Up kare
1
Sabse pahle onlinesbi.com par jakar aapko menu bar me Apply SB Account par click karna hai. uske andar For Resident Individuals aur usme Regular SB Account par click karna hai. (See below)
2
Next screen me Apply Now par click kare.
3
Next screen me hume sabse pahle Customer Information Section Fill up karna padega iske liye Start New par click karna hai.
4
Account open form se sabse pahle Personal Details me apna name, father & mother name enter kare. UID me aap apna Aadhaar number Add kar sakte hain.
5
Correspondence Address me apni Address details Add kare, apna Mobile number Add kare. Aapke is number par sabhi banking alerts and OTP receive honge.
6
Ab Permanent Address me agar aapka Address same hai to same as correspondence Address me YES select kare.
7
Ab sabhi details add karne ke baad Captcha code enter karke Submit par click kare.
Submit par click karte hi aapke screen par TCRN Number show karega, yah Number aapke Mobile number par bhi receive hoga.
Now Click save and Proceed.
8
Next screen me aapko PAN CARD
details jo ki add karna bahut jaruri hai additional tax se bachne ke
liye, wo add kare. Monthly income, educational qualification add kare.
Now Click Save & proceed.
9
Ab next Identification Details me
aapko Identity proof and Address proof select karna hai. Yaha aap ID
proof me Aadhar Card, Election card etc select kar sakte hain, Address
proof me Aadhar card, ration card, Light bill select kar sakte hain.
Click Save and proceed.
10
Ab next aapko Account Information ADD karna hai jisme aapko Bank Branch select karna hai.
- Type of Account me apako Debit card & cheque book lena hai to ‘With Cheque Book and Debit card’ select kare.
- Ab Details of Applicant me apna TCRN number enter kare. TCRN enter karte hi aapka Name Display hoga.
- Branch Code me apni Branch select kare. Branch ka code enter kare and Get Branch Name par click kare. Branch Code aap Google search kar sakte hain.
- ATM -cum- Debit card lena hai to uske upar √ mark kare.
- Internet Banking facility leni hai to uske upar √ mark kare.
- Mobile Banking me √ mark kare.
- SMS Alert on Mobile par √ mark kare.
- Mode of operation me Self only select karke Proceed par click kare.
Proceed par click karte hi TARN Number generate hoga. Yah Number aapke Mobile Number par bhi Receive hoga. Save and proceed par click kare.
Ab aapko nominee add krna hai ya nahi matlab apne account ka vaaris, agar nahi karna to aap I/we do not want to nominee select kar sakte hain. Now click Save and Proceed.
Save and Proceed par click karne ke baad Confirm “Submit” par click kare.
Congratulation, aapki SBI Online Account Application Successfully Submit ho chuki hai.
Ab aapko Filled kiya hua apna Form Download karna hai aur Print kar lena hai.
Step# 2: Filled kiya gaya Form Download karke Print kare
Apne Filled kiya gaye Form ko Download karne ke liye onlinesbi par visit kare. menu bar me Apply SB Account » For Resident Individuals » Regular SB Account par click kare
Next screen me aapko Download complete Application par click karna hai.
Download Completed Application par click karte hi mini window me apna
TARN number, Birth date enter karke Download par click kare.
Aapka Filled kiya gaya Form Download ho jayega.
Step# 3: Form and Documents ke sath Branch Visit kare
Ab Download kiye gaye Form ka print out nikal le. Aur sabhi Documents
1) Identity proof 2) Address proof 3) 2 Passport Size photo – lekar
bank branch me visit kare and Submit kar de.
Aapka kuch minutes me Account open ho jayega and aapko Banking kit
provide ki jayegi jisme passbook, cheque book, Debit card, internet
banking kit include hogi.
FAQ: Questions & Answers
Q.1: Internet error ki vajah se form complete nahi hua, kya karu?
Answer: Just onlinesbi par jaye Apply Now par click kare, yaha aapko “Continue with Partially filled” option show karega, wha aap TARN/TCRN number enter karke filled details recover kar sakte hain.
Answer: Just onlinesbi par jaye Apply Now par click kare, yaha aapko “Continue with Partially filled” option show karega, wha aap TARN/TCRN number enter karke filled details recover kar sakte hain.
Q.2: Kya form online fill karne ke baad turant bank visit karne hoga?
Answer: nahi, aap 30 din ke andar kabhi bhi visit kar form submit kar sakte hain.
Answer: nahi, aap 30 din ke andar kabhi bhi visit kar form submit kar sakte hain.
Q.3: Account open karne ke liye Money Deposit karna hoga?
Answer: Aapko just Rs.1000 deposit karna hoga.
Answer: Aapko just Rs.1000 deposit karna hoga.
Q.4: Kya main kisi bhi Branch me Account open kar sakta hu?
Answer: yes, aap kisi bhi Branch me jakar apna Account open kara sakte hain.
Answer: yes, aap kisi bhi Branch me jakar apna Account open kara sakte hain.
Q.5: Mere paas already account hai, kya second open kara sakta hu?
Answer: Yes, aap second account open kar sakte hain. Mere 2 accounts hain SBI ki same branch me.
Answer: Yes, aap second account open kar sakte hain. Mere 2 accounts hain SBI ki same branch me.
SBI hi nahi aap Kotak Mahindra me Bina Branch Visit kiye apna JIFI Saving Account open kara sakte hain.
No comments: