PayPal Account Kaise Create and Use Kare



PayPal ke bare me to aap sabne suna hi hoga. online money transfer and Receive karne ke liye sabse trusted and popular company hai.
Main personally international purchases ke liye PayPal ka use karta hu. Mera SBI account payPal se connected hai jiske jariye mere bank account me automatic money credit ho jata hai. Aur sath me Kotak Debit card bhi connected hai, jis se main bina Debit card use kiye PayPal ke through secure transaction kar sakta hu. (See below)

paypal transaction

PayPal Account kyu Jaruri Hai?

  • Aap ek blogger hain to aapke paas Paypal account hona behad jaruri hai. Aapko international payment karne ke liye Paypal ki jarurat pad sakti hai. Lagbhag sabhi Online sellers Paypal ko support karte hain.
  • Aapko apne friend/relative ko money send karna hai to aap PayPal se easily send kar sakte hain. Iske liye dono taraf paypal account hona jaruri hai.
  • Aap Online shop ya fir online selling karte hain to PayPal Account ki jarurat padti hai.
  • Apne credit/Debit card ki security ke liye aap PayPal use kar sakte hain. Baar-Baar aapko card ki details Add nahi karni padegi. Bus ek baar Paypal me Card link kar de, uske baad direct payment send/receive kare.
  • PayPal Online Money transaction ka sabse secure place hai. Isliye agar aap online transaction regular karte hain to aapke paas PayPal Account hona bahut jaruri hai.
  • Paypal 100% Free hai, aapko kuch bhi extra pay nahi karna hai. Ek bank ki tarah hai.
To aaj main apne Newbies ko batane ja raha hu ki kaise PayPal me Account create kare aur Kaise uska Use kare. Let’s See:-
how create paypal account

PayPal Account Kaise Banaye?

PayPal par complete account create karne ke liye hume below steps follow karna hai.
  1. PayPal account banaye
  2. Bank account paypal se connect kare
  3. Debit card add kare
  4. Email and Mobile verify kare
  5. PAN CARD number add kare

1. PayPal Account Signup kare

1
Sabse pahle aap Paypal.com par visit kare aur yaha Signup par click kare. Signup par click karne ke baad account type me aapko Individual Account select karna hai.

paypal signup
                                 Select individual Account
2
Ab next screen me aapko country select karke Apni email ID se account create karna hai. Password aapka strong hona jaruri hai. Aap Password create/manage karne ke liye best password manager use kar sakte hain. Details enter karke Continue par click kare.
signup for paypal
                          Enter email and password
3
Ab next screen me aapko signup form me Details add karna hai.
signup paypal
  • Name me apne PAN CARD me jaisa name hai wo hi enter kare. PAN Card nahi hai to Bank account me jaisa name hai wo hi enter kare.
  • Apni Birth date enter kare.
  • Apna Address enter kare.
  • Apna Mobile number enter kare aur uske baad Terms and conditions par √ mark karke “Agree and create Account” par click kare.
4
Next screen me aapse Debit/Credit card Add karne ke liye poocha jayega, aap chahe to yaha card add kar sakte hain. Agar aap card baad me Add karna chahte hain to I’ll add my card later> par click kare.
paypal signup
Congratulation, Aapka PayPal Account create ho Chuka hai.
Ab next screen me sabse neeche Go to your account par click kare aur apne Account me Login kare.

PayPal Account Advance Setup complete kare

Apne Paypal Account par first time login karne par aapko kuch important task complete karni padegi, mean aapko 100% profile set karni hogi. jisme:-
  • Debit/Credit card Link karna
  • Mobile number confirm karna
  • Email ID Verify karna
  • Bank Account Link karna
paypal setting

1# Link a credit or debit card

Agar aapne Signup ke samay Debit/Credit card add nahi kiya hai to ab kar sakte hain. Debit card add karne ke baad aapko bar-bar card details add nahi karni padegi payment ke samay.
Kahi bhi payment karne ke liye aap paypal option select kar sakte hain aur account me login karke bina Debit card details add kiye direct pay kar sakte hain.
Card Add karne ke liye Link a Credit or Debit card par click kare.
link card paypal
ADD card details
  • Link card me apna Card type select kare like VISA, Master card etc.
  • Apna 16-digit Card Number enter kare.
  • Expiry date MM/YYYY me enter kare. For example: 12/2021
  • CVV jo ki aapke Card ke peeche 3 digit me type hai wo enter kare.
  • Now Click on save. That’s it aapka Card add ho chuka hai Paypal me.

2# Confirm Mobile Number

Apna Mobile Number Confirm karne ke liye Sabse pahle apne right side Logout option ke side me Settings Icon par click kare.


paypal account setting
Setting Me Account Select kare. Yaha sabse below aapko Phone option show karega jaha aapka Mobile number entered hoga. Aapko Waha Confirm par click karna hai.
Confirm par click karte hi aapke Mobile Number par OTP send kiya jayega us OTP PIN ko next screen me enter kare aur “Validate” par click kare. That’s it.

3# Confirm Email

Email Confirm karne ke liye same aapko Setting par click karna hai aur waha Email option par jakar Email Confirm karna hai.
Aapki Email ID par confirmation mail aayega us mail ko open kar, confirm link ko open kare. that’s it.

4# Link a Bank Account

Online Money receive karne ke liye aapko apna Bank Account payPal me ADD karna jaruri hai. Bank account details aapki PayPal par puri tarah se safe hai. Aur waise bhi aapko just account number add karna hai, Don’t worry!

Bank Account ADD karne ke liye Link a Bank Account par click kare ya fir sabse top par Payment Method option par click kare aur yaha Link a bank account par click kare.
link bank account paypal
Link a bank account par click karne ke baad next screen me aapko apna Bank Account Number and IFSC Code Add karna hai. (See below image) IFSC code aap apni Bank Passbook me dekh sakte hain. online bhi dekh sakte hain.
link bank paypal
Account Number & IFSC code
Details ADD karne ke baad “Continue” par click kare.
Continue par click karne ke baad PayPal aapke Account me 2 small amount 4-5 days me send karega. Wo amount aapko PayPal me add karni hogi.
link bank account
Confirm in 4-6 days par click kare. Aap apna Bank account check karte rahe taki amount enter karke jald se jald account link kar sake.
2 Small Amount aapke account me credit ho jaye tab jald apne Paypal me Login kare. Yaha “Payment Method” option par click kare.
Yaha aap dekh sakte hain abhi aapka Bank account Confirmation pending show kar raha hai. (see below image).
confirm bank account paypal
Ab 2 small details ADD karne ke liye Bank account ke upar click kare. Now next screen me wo small amount enter kare and Confirm par click kare.
paypal link bank account
Congratulations, Aapka Bank Account Successfully PayPal me ADD ho gaya hai. Ab aap apne account me money send/Receive kar sakte hain.

5# PayPal Me Pan Card ADD kare

PayPal Account me aapko apna PAN card add karna bahut jaruri hai tabhi aap Payment transfer and receive kar sakte hain.
Indian regulation ke according Paypal Me PAN Card add karna Mandatory hai, bina PAN card add kiye aap kuch nahi kar sakte. Let’s Add pan Card to paypal:-
Pan Card Add karne ke liye sabse pahle PayPal account par Login kare aur below link jaye:
Yaha aapko “Provide PAN” par Start Button par click karna hai.
paypal add pan card
Next screen me apna PAN Card Number enter karke Submit kar de. That’s All!
add pan card paypal

6# PayPal Me Money Send Kaise Kare?

PayPal Account se apne Friends and Relatives ko Money send karna bahut easy hai. Bus aapke Friend/Relative ke paas Paypal account hona jaruri hai Money receive karne ke liye.
Money send karne ke liye aapko Send and Request par click karna hai. Yaha “Pay for goods and services” par click karna hai.
Iske baad aapko apne Friend/Relative ka PayPal email address enter karna hai aur Amount enter karna hai. That’s it. Hai na Simple!
paypal send money
Conclusion
So friends is tarah aap Paypal ka use kar sakte hain. Online transaction ka sabse secure agar koi way hai to wo hai Paypal.
Ek blogger ke liye paypal account hona bahut jaruri hai, i hope is article ko read karne ke baad aapko koi bhi problem nahi aayegi apna paypal account create karne me.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.