Blog par Free domain kaise Register kare

Dosto is post me main Aapko blog ke liye Free domain name register karne ka tarika bata raha hu. Internet par Domain register karne ke liye log jyadatar Godaddy or Bigrock ka hi use karte hai lekin domain kharidne ke liye hame paisa kharch karna padta hai or starting me New Bloggers ke paas itna paisa nahi hota ki wo domain kharid sake isliye wo blogspot.com ke sub domain ka hi use karte hai.




www.Blogger.com New bloggers ke liye sabse best platform hai or ye Aapko Apna Free sub domain use karne deta hai lekin subdomain use karne wale blogs professional nahi lagte isliye visitors aise blogs ko like nahi karte. Agar Aapko professional blogger banana hai to Blog ke liye name use karna hi padega. Aap Domain name Godaddy ya Bigrock se hi kharide lekin Agar Aapke paas domain name kharidne ka budget nahi hai to Aap Freenom se temporary Free domain register kar sakte hai.

www.Freenom.com Aapko Free domain name provide karta hai yaha se Aap Apne blog ke liye free domain register kar sakte ho lekin Aap .com and .in jaise extensions free me Register nahi kar sakte aise extensions kharidne ke liye Aapko pay hoga. Yaha se Aapko .tk and .ml jaise domain free me mil jate hai or ye domains bhi professional lagte hai.

Free nom kya hai ?

Freenom ek domain Registerar hai yaha se Aap Apne Blog/website ke liye Domain name register kar sakte ho. Ye Bilkul Godaddy ki tarah hi hai Godaddy se domain kharidne ke liye hamko paise dene padte hai lekin Freenom se Aap Free me Domain Register kar sakte ho or 1 year tak free me use kar sakte ho.
 Freenom Se Aap 5 types ke domain Register kar sakte ho jaise ( .tk, .ml, .ga, .cf and .cq )


Freenom se Free Domain kaise Register kare ?

Dosto Freenom se domain name register karna bahut easy hai Aap sirf niche bataye gaye steps ko follow kare.
Step 1. 
 Sabse pahle Freenom.com par jaye or Sign in ke option par click kare.
Blog ke liye Free domain kaise Register kare

Step 2.
 Iske baad Aapke samne log in ka option ayega isme Aap Google ya Facebook id se bhi log in kar sakte ho.
Step 3.
  Ab Aap blog ke liye Acha Sa domain name soch kar ke uski Availability check kare.

Blog ke liye Free domain kaise Register kare

1. yaha par domain name Enter kare.
2. iske baad yaha click kare.
Step 4. 
 Ab jo bhi domains Available honge unki list Aapke samne Aa jayegi Aap jisko Register karna chahte hai uske samne Get it Now ke option par click kare.

Blog ke liye Free domain kaise Register kare

Step 5. 
 Domain select karne ke baad checkout ke option par click kare.

Blog ke liye Free domain kaise Register kare

Step 6. 
Ab Next page open hoga isme Aap niche screenshot dekh kar steps follow kare.

Blog ke liye Free domain kaise Register kare

1. yaha par click kare.
2. yaha click karke Registeration period select kare.
3. yaha par Domain name www ke sath Enter kare.
3. Ab yaha click kariye.

Step 7.  
Ab next page par ek form show hoga isme Aapko Apne bare me jankari dena hai.

Blog ke liye Free domain kaise Register kare
Blog ke liye Free domain kaise Register kare

1. yaha Apna name enter kare.
2. yaha par sur name enter kare.
3. yaha Apne blog ka title.
4.yaha par Apna Address Enter kare.
5. isme Apne Area ka pin code.
6. yaha par city enter kare jaise New delhi, old delhi.
7. Yaha se Apni country select kare.
8. isme Apne State ka name enter jaise Delhi, U.P, Bihar.
9. yaha par Apna Mobile enter kare.
10. yaha Apna Email Adress Enter kare.
11. isme Apna password enter kare. Aisa password use kare jise yaad rakh sako.
12. yaha fir se vahi password enter kare.
13. Ab is box par tick kare.
14. ekbaar Sabhi information ko fir se check kare or yaha click kare.
Step 8.
  Ab Aapki Email id par order confirmation ka message aayega usme verification link hoga Aapko us par click karke confirm karna hai.

Blog ke liye Free domain kaise Register kare

Congrats ! Ab Aapka Free domain Register ho chuka hai Ab Aap isko Apne blog ke liye use kar sakte hai. Is domain ko blogger me Add Karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.

Freenom custom domain ko blogger blog me kaise Add kare ?

Step 1. 
Sabse pahle blogger ke dashboard>>setting>>Basic>>Blog Address ke samne Setup a 3rd party URL for your blog  ke option par click kare.

Blog ke liye Free domain kaise Register kare

Step 2. 
 Ab Aapke samne domain Add karne ka option Aayega. yaha par Freenom se jo domain Aapne Register kiya tha usko Enter karke save kar dijiye.


Step 3. 
 Domain ko save karne par Aapko Error ka message show hoga. Is page par Aapko 2 codes dikhayi denge jaise niche screenshot me dikh rhe hai. Aap in codes ko copy karke kisi notepad me likh lijiye.

Step 4. 
 Ab Freenom.com par jaiye or niche screenshot me dikhaye gaye steps ko follow kare.

Blog ke liye Free domain kaise Register kare

1. sabse pahle service ke option par click kare.
2. Ab My domains par click kare.
3. iske baad yaha click kare.
Step 5.
  Ab next page par Aapko wo code Add karna hai jo Aapne notepad me likha tha. Aap niche screenshot dekh kar code ko thik se Add karke save kar dijiye.

Blog ke liye Free domain kaise Register kare

Step 6.
 Ab vapis blogger ke dashboard me jakar domain ko save kare.

Blog ke liye Free domain kaise Register kare

Congratulations Ab Aapka Free domain Apke blog me Add ho chuka hai. Is domain ko aap 1 year tak free me use kar sakte ho.

-: NOTE :-


Dosto is post me maine Aapko Freenom se blog ke liye Free domain Register karne ka tarika bataya hai. I hope Aapko ye post pasand Aaya hoga Agar Aapko domain register karne me koi problem ho to Aap comment kar ke jarur bataye ham Aapki puri help karenge.

Is post ko Apne social media friends ke sath bhi share kare taki unhe bhi is post se fayda ho sake.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.