Free Domain kaise kharide | Free domain kaha se le | No 1 site (2018)
Free Domain kaise kharide | Free doamin kaha se le | No 1 site (2018).
Aap ki
website ke liye free domain kaise kharide, agar aap domain nahi kharidna
chahrahe hai to aap free domain bhi le sakte ha, bohat se logo ko ye nahi pata ki
free domain kaise kharide ya free domain kaise lagaye ya fir free domain kaise
le, free domain ke liye is post ko padhe.
Free domain kaise kharide, free doamin kaha se le
Hello friends aksar hum sub ko dekhne ko mila hai ki hamare sabhi
bhai aaj kal blogging me bohat hi intrest le rahe hai aur ye khushi ki
bhi baat hai ke hum sub ke bhai bhi kuch kare, lekin baat yaha par aakar
atak ti hai ki wo kaise shuru kare (mai baat kar raha hu beginners ki )
wo log ko blogging ke bare me bohat hi kam pata rehata hai un sub ko
suggestion ki zarurat hoti hai , jaisa ke wo kis niche par kaam kare
agar niche select karle to kis platform par kaam kare blogger ya wordpress,
domain kaha se kharide, kaise post ko likhe, aur kaise us ko seo
friendly banaye ye sub maine rakhta hai, lekin kuch log itna zyada
invest nahi kar pate wo log free domain kaise kharide ye bhi un ka sawal rehta hai, lekin mai yaha batadena chahta hu ke jo lo domain me invest nahi karna chahte wo log free domain bhi lesakte hai to guys mai aap log ko aaj batane wala hu ke free domain kaise kharide फ्री डोमेन कहा से खरीदे ya fir free domain kaha se le.
Free Domain kaise kharide.
Dosto mai sabhi new bloggers
ko bata dena chahta hu ke wo log blogging start free platform se kare
kyu ke wo log initially itna risk nahi lena chahiye aap sub log hosting
ke liye blogger ko chunsakte hai kyu ki wordpress jo kaam karta hai blogger bhi karsakta hai rahi baat ki blogger me kam features rehete hai aur aap ko chinta hai ki free domain kaise kharide to mai aap ko website ka naam batata hu aaur practically bhi karke batata hu pictures ke sath.
Free Domain kaha se le.
Agar aap free domain kharidna chahte hai to aap ko kaisari websites mil jaye gi jo ke free domains provide
karti hai lekin domain to provide karti hai lekin low extension ke sath
mai aap ko kuch websites ki details deta hu aap us ke zariye free domain khareed sakte hai
Buy.ooo
finally dosto jaisa aap dekh sakte hai kai tarha ke websites hai jo ke free domains
provide karte hai lekin dosto mai aap ko suggest karunga ki aap Buy.ooo
se domain le halaki ye sirt ek saal tak ke free hai lekin jo biggners
hai un logo ke liye learning ke liye bohat hi badhiya hai to dosto jaisa
ke google ne free hosting provide kar rakhi hai to aap blogger ka istamal kar ke aap log free bilkul free website ya blog chala sakte ho.
Step:1
dosto jaisa ki Google ne
free hosting de rakhi hai aur aaplog blogger ke madad se free blog run
kar paoge to guys aap log ko Buy.ooo me jana hai aur jane ke baad aap
log ko is tarha ka kuch interface dikhega
Step:2
Jaisa ki aap sub log dekh sakte hai ki is website ne ek
tarha ka coupon code de rakha hai to aap log is coupon code ko likh kar
rakhligiye kyu ki ye aap ke sawal free domain kaise kharide ka jawab bansakta hai, aap apne blog ke anusar domain name search kare
Step:3
agar aap ka domain miljaye to aap us ko select kare aap ko
is website ke rates dikhinge lekin aap ko chinta karne ki koi zarurat
nahi kyu ki aap ke paas coupon code hai aap is coupon code ka istamal
kar sakte hai.
Step:4
To guys aap jaisa ki dekh sakte hai ki coupon code apply karne ke baad aap ka total amount hochuka hai zero matlab ki aap ko free me domail milchuka hai pure ek saal ke liye jo ki aap ko blogging sikh ne ke liye bohat hi faide mand hai to guys ab aap ka kaam hai ki aap Google par jaye matlab ke Blogger par ja kar aap ka blog create kare aur aap ka domain link kare , domain kaise link karna hai ye mai aap ko agle post me batao ga , dosto mai aasha karta hu ki aap ka dought free domain kaise kharide aur free domain kaha se le ko maine solve kardiya hai.
dosto agar aap ko kuch bhi dought hai to aap comment kar ke mujhe bata sakte hai jab tak ke liye jia hind .
No comments: