Blog post Par YouTube video add kaise karte hai
YouTube Blog : Blog post Par YouTube video add kaise karte hai
Hello everyone, Iss Article me yeah jankari share Kari gayi hai Blog Website Par YouTube videos kaise add karte hai, ya Blog post me YouTube video add kaise karte hai.
YouTube video website par lagane se kya hota hai
Ager aap apni YouTube video blog me add karte ho to YouTube video ko views milte hai .
1 :- Agar aap koi article likhte ho or uss article se related youtube video lagate hai to aap ke visitor ko aap ke article ko samjhne me ashani hoti hai .
2 :-Aap ke Blog website ko ek post ko ek good design milta hai .
3 :- Aap kisi or ki YouTube video bhi Apne post me ADD kar sakte hai.
Kya hum kisi or ki YouTube apne blog website par add kar sakte hai
Haan aap kisi ki bhi YouTube video apne article ya widget par add kr sakte hai.
Ab jante hai YouTube videos Blog post me kaise add karte hai
1 :- Sabse phele YouTube.com jaye or apni YouTube video add karni hai to aap apni I'd se login kar lijiye.
2 :- Ab aap YouTube ke icon par click kar dijiye niche image Follow kare.
3 :- ab my channel par click kar dijiye. Niche image me dekh sakte hai
4 :- Ab apni YouTube video par click kar dijiye jise add karna hai, niche image dekh sakte hai.
5 :- Ab share ke options par click kar dijiye niche image dekh sakte hai .
Ab niche wahi image me step by step Follow kare
1 :- Ab yaha Embed par click kar dijiye
2 :- Yaha Par video ki coding hai isse copy kar lijiye .
Note - aap chahe to show more par click karke video related feature Use kar sakte hai. Jaise video ka size web ke hishab se set karna , video ka Title video web Par show karna , ya hide karna , etc mostly iin feature ko Use karne ki jarut nahi padti hai agar Aap use karna chahate hai to Aap kar sakte hai.
Ab apne Blog ke dashboard par jaye phir jis post me YouTube aad karna hai Uss post ke EDIT options par click kar dijiye, niche image me dekh sakte hai .
Ab HTML ke options par click kre niche image me dekh sakte hai .
Or phir jaha aap ko YouTube video add karna chahate hai waha YouTube video code paste kar dijiye or update par click kar dijiye .
Note - aap chahe to Apni website ke widget me bhi add kar sakte hai. Or iss tahar aap kisi ki YouTube video add kar sakte hai .
No comments: