Online Passport Apply Kaise kare
Passport videsh me travel karne ke liye ek identity proof ke taur par
use kiya jata hai aur iske bina aap foreign travel nahi kar sakte hain.
Aapko other country me travel karna hai to sabse pahle aapke paas Passport hona jaruri hai.
Passport ka use ek identity proof ke taur par bhi aap kar sakte hain.
yah jaruri nahi ki keval international level par hi yah kaam aaye, aap
iska use India me as a ID-proof ke liye kar sakte hain.
Passport banwana ek tension wala kaam tha, lekin ab nahi hai. Kuch
Log agents ke through paisa dekar apna passport banwa liya karte hain,
par ab aap khud online apply karke passport bana sakte hain.
Ek aur Good News yah hai ki ab Police
verification ke liye aapko tension lene ki jarurat nahi hai, Ab aap apna
Aadhar card, election card aur aap par koi criminal charge nahi hai
iski Affidavit submit kar sakte hain.
Police verification aap baad me karwa sakte hain.
To Chaliye Step-by-step dekhte hain Passport online Apply karne ki Process:
Step# 1: Register at Passport Seva portal
Sabse pahle aapko Passport Seva portal me apna Account create karna hoga. Visit kare and New user? Register Now par click kare.
Registration Form me apni Details Fill kare. See below image yaha maine jaise form fill kiya theek waise hi bhare.
- Register to Apply at me Passport office choose kare aur apni City ko select kare.
- Apna Name, surname, Email ID enter kare.
- Do you want your login ID to be same as email ID par YES kare, aisa karne par aapki Login ID aapka Mail address set hogi.
- Password enter kare, Hint Question select kar answer enter kare aur Register kare.
Register par click karne ke baad aapko successful ka message show karega.
Now apni Email ID open kare aur Activation mail ko open karke
Activation Link par click kare. That’s it aapka Account create ho gaya.
Step# 2: Login Your Account & Fill-up Form
1
Ab apne Account par Login kare. Home Page par jakar Existing User? Login par click karke Apna user name and password enter kare.
2
Account me Login karne ke baad main screen par Apply for fresh passport/Reissue of passport par click kare. (See below)
3
Ab next screen me passport Apply karne ke liye aapke paas 2 option (method) hain.
- Alternative 1, Aap PDF form download karke offline fill-up karke, PDF form upload kar sakte hain. Yah sabse best option hai.
- Alternative 2, aap online form fillup kar sakte hain. Online form fillup karne me aapko kayi problem face karni pad sakti hai, isliye option 1 se hi form bhare.
To Hum Alternative 1 se Form Fill-up karne ja rahe hain// ( Aap chahe to online option choose kar sakte hain)
4
Sabse pahle ‘Click here do download the soft copy of form‘ par click karke PDF form download kar le.
Ab Form ko Adobe Acrobat reader me open kare, aur uski sari details bhare.
1) Service Required
- Applying for: Fresh passport select kare. Agar Renew karna hai to Re-issue choose kare
- Type of Application: Agar urgent passport lena hai to TATKAL select kare, agar jaldi nahi hai to NORMAL select kare.
- Type of Passport booklet: Agar aap Regular foreign travel karte hain to 60 Pages select kare, Agar aap Year me 3-4 bar travel karte hain to 36 pages ok hai.
2) Applicant Details
- Yaha apna Name, Surname, Gender enter kare.
- Are you known by ever any other name me NO select kare.
- Have you ever changed your name me NO kare. Agar aapne name change kiya hai to YES kar sakte hain.
- Date of Birth enter kare.
3) Place of Birth
- Is your place of birth out of india me NO select kare. Agar aapka birth place India ke bahar hai to YES kare
- Village/town/city me apni city type kare. State and District Select kare.
- Marital Status me apna status enter kare.
- Citizenship of india by “Birth” select kare.
- PAN Number: PAN number jaruri nahi hai par agar aapke paas PAN CARD hai to enter kare.
- Voter ID: Voter card hai to jarur enter kare.
- Employment type: Apna work detail enter kare.
- Is either of your parent (in case of minor)/ spouse, a government servant?: Aapke father or wife government employee hai to YES kare, or NO kare.
- Educational Qualification me apni educational detail enter kare.
- Are you eligible for Non-ECR category?: Yaha NO select kare.
- Visible Distinguishing Mark: Yah jaruri nahi hai.
- Aadhar card number: Agar aapke paas Aadhar card hai to uska Number jarur enter kare and below YES par check kare.
4) Family Details
- father’s Given name me apne father ka Name, Surname enter kare.
- Legal Guardian’s Given name not required. Leave it.
- Mother’s given name me apni mother ka name, surname type kare.
5) Present Residential Address
- Is your present address out of india?: yaha NO select kare. Agar aapka address India ke bahar hai to YES kare
- Residing Since: Me kab se aap rahte hain wo Year and month enter kare.
- Apna Address enter kare. Including house number, state, District, city.
- Police station: Apna near by area ka police station enter kare. PIN Enter kare.
- Mobile Number and Email address enter kare.
- Is permanent address same as present address me YES kare. Agar permanent address aapka present address se alag hai to NO kare.
6) Emergency Contact Details
- Emergency Contact Details: Me apna Name and Address, email address and mobile number add kare.
- Referenced in your Village or town or city me aapko 2 logo ka address type karna hai jo ye jaante ho ki aap present address par hi rahte hain. Police Verification me uski jarurat padegi.
yaha aap apne Padoshi (neighbours) ka Address de sakte hain. But dhyaan rahe unki permission lekar aap address enter kare.
Yaha aapko total 2 Logo ka name and Address enter karna hai. mobile number jaruri nahi.
7) Previous Passport/ Application Details
- Have you held/ hold any diplomatic/ official passport?: yaha NO select kare.
- Have you ever applied for passport, but not issued?: Yaha NO select kare.
8) Other Details:
- Sabhi options me NO.. select kare.
- Place and date enter kare.
- Now Click Validate and Save. Ab yah PDF file .XML format me save hogi. Save kare.
Step# 3: Upload Form
Form ko Fill-up karne ke baad ab hume apni XML file form ko Passport Seva portal par upload karna hai.
Apne Account par Login kare. Yaha Services me Upload e-form par click kare.
Upload e-Form par click karne ke baad apna ‘State‘ and ‘District‘ select kare.
Ab upload screen me aapko apne PC par Save ki gayi XML form ko browse karke upload karna hai.
- Agar aapko passport se related Alerts apne number par receive karna hai to “Yes i wish to enrol for passport seva SMS service” select karne hoga and Rs.40 pay karna hoga.
- Now click on “Upload” Button.
Upload par click karne ke baad ab aapko Passport ka Preview show kiya
jayega, Sabhi Details name, father name, address check karke “Continue Upload” par click kare. (See below image)
That’s it aapne Successfully apna Form Submit kar diya hai. Aapko Message show karega.
Step# 4: Payment kare aur Appointment Fix kare
Form successfully submit karne ke baad ab aapko Rs.1500 payment karna hai aur payment karne ke baad Appointment lena hai.
Payment and Appointment ke liye Home page par “view Saved/Submitted Applications” par click kare. Yaha aap apni submit ki gayi Application dekh sakte hain.
Application ko select kare, aur “Pay and Schedule Appointment” par click kare. (See below image)
- Ab next aapko online Payment method select karna hai. Online payment karne ke liye Debit/Credit card, Netbanking select kare aur Next par click kare.
- Agar aapko Bank me challan se pay karna hai to Challan option select kare. Agli screen me Challan Generate kare aur print kar le. Now visit bank and pay Rs.1500.
Online Payment method select karne ke baad Next par click kare.
Ab aapko Appointment Fix karna hai.
- Appointment Availability me aap dekh sakte hain aapke city me kaha aur kis date ko Appointment Available hai.
- Apni Location ko select kare, aap Address bhi dekh sakte hain neeche wo note kar le.
- Now click Next.
Next par click karne ke baad ab aapko Payment karna hai Rs.1500
- Agar aapko Appointment ke liye Date change karna hai to aap yaha calendar open kare “Green” highlighted date select kar sakte hain.
- Date Select karne ke baad “Pay and Book Appointment” par click kare aur Pay kare online.
After Successfull Payment aapka Appointment Book ho jayega.
What next:
Ab aapko apne Account ke home page par jakar “View Saved/Submitted Applications” par jakar “Print Application Receipt” par click karna aur Print nikal lena hai.
Now Appointment date ke samay sabhi Original Document – identity
proof, Birth proof, Address proof and Xerox Copy With Signature ke sath
Passport office Visit kare.
Passport office me aapke Documents ki checking ki jayegi, Aapke
fingerprints liye jayenge and other formalities complete karke aapko
Acknowledgement Slip provide ki jayegi, Wo slip apne paas rakhe.
Ab Next aapko Police Verification ke liye wait karna hai, Police verification ke liye aapko infrom kiya jayega.
Aapko apne sath sabhi Documents and signed ki hui documents ki copy
le jani hogi. Apne sath reference ke liye Padoshi (Neighbours) ko le
jaye jinka address and Name aapne Form me add kiya hai.
Police Verification ke baad Within Month aapko passport Courier ke through send kar diya jayega.
That’s All! Online passport Apply Process me just aapko 20-30 minutes
spend karna hota hai. Bus ek baat note karke rakhe form me koi mistake
na ho.
No comments: