10 Most Useful Google URL – In Hindi


secret google url

Kya aapko Google ke kuch important URLs ke bare me pata hai? Aise URLs jo har Internet user ko pata hona jaruri hai aur unke liye bahut important hai.

Agar aapko nahi pata hai to yaha main aapko Google ke 10 Most useful URLs ke bare me bata raha hu, jo har Internet user ke liye jaroori hai.
Google aapki  har activity par nazar rakhta hai. Aap internet par kya search kar rahe hain, aapke account ki sabhi information, aapki history, aapka personal data all everything google ke paas store rahta hai.
Aap jab chahe apna data access kar sakte hain. Aap jab chahe data delete kar sakte hain.

10 Most Useful Google URLs

Google par account banane ke baad aapka data google ke alag-alag sevices me add hota hai jo aap visit kar dekh sakte hain. Let’s check:-

1) Andoid Phone Kho gya? Track kare

Kya aapka Android smartphone kahi miss ho gaya hai, ya fir aapke aas paas kahi rakha hai aur mil nahi raha.

Don’t worry Google device manager ek aisi jagah hai jaha aap apna Android smartphone find kar sakte hain, lock kar sakte hain aur Ring kar sakte hain.
Yahi nahi aap apne smartphone ki location bhi track kar sakte hain agar phone me location and internet ON ho to.

2) Apne Google Account ka AtoZ Data Check kare

Google Dashboard ek aisa place hai jaha aap apne Google Account ka AtoZ data, mera matlab aapne google ki kaun si service use ki hai, aapke connected phones, aapke contacts, email address – sab dekh sakte hain.
Phone ka IMEI bhi aap yaha dekh sakte hain jo aapke google account se connected hai.

3) Saved Passwords dekhe

Browsing ke liye aap Chrome Browser use karte hain to aapke sabhi passwords google ek jagah safely store karke rakhta hai.

Same Android phone me bhi jis google account se phone register hai us google account me aapke Android phone me saved kiye gaye passwords store hote hain.
Aap apne sabhi passwords ko google password link par jakar dekh sakte hain.
TIP: Chrome browser aapne new install kiya hai aur aapko apne old login passwords backup karna hai to just aapko apne Google account se login karna hai aur aapke sabhi passwords restore ho jayenge.

4) Google Ads ke liye apni Profile Dekhe

Youtube and google search me google aapko jo ads show karta hai wo aapki profile ke according karta hai.
Aap ads personalisation me kis category ki ads dekhna pasand karenge wo set kar sakte hain.

Google me aapki profile kaise set ki hai wo bhi dekh sakte hain aur aap profile details change bhi kar sakte hain.

5) Download Google Account Full Data

Ohh! to aap apna Google account delete karne ja rahe hain ya fir kuch data hai jo aap apne PC par download karna chahte hain par aapko pata nahi kaha se download kare.
Google takeout ek aisa place hai jaha aap apne account ka full data download kar sakte hain. Jisme shamil hai contacts, aapke photos blogger blogs, emails, Google drive and pages -all data aap ZIP file me download kar sakte hain.

6) Complain illegal Copyrighted content

Kya aapka important data kahi aur publish ho raha hai, kya aapke videos and content ko koi copy kar raha hai.

Kya kisi ne aapki private information Internet par publish kar di hai.
Aisi condition me aap Google ko request kar sakte hain content delete karne ke liye.

7) Phone ki location History Dekhe

Aap apne Phone ko lekar kaha kaha visit kiye hain wo dekhaa chahte hain? Apni location ko track karna chahte han?
Google location history par aapke phone ki sabhi locations ko track kar store karke rakha jata hai.
Last year aapne kaha kaha visit kiya wo bhi dekh sakte hain. Check it complete location history

8) Google Account ki Complete Settings – One place

Aap apne google account ki complete setting ek place par kar sakte hain.
Security settings, personal info, storage, data download, activity, delete account, privacy checkup, security checkup, passwords change etc sabhi settings aap one place par kar sakte hain.

9) InActive Account ko Manage kare

Google account par agar aap 9 months se login nahi kiye hai to inactivity ki wajah se google aapka account suspend kar sakta hai.
Agar aap multiple google account use karte hain to aap kisi ek email address ko set kar sakte hain alert ke liye. Aisa krne se google aapko alert send karega ki aapka yah account kafi samay se inactive hai login kare.

10) See Account Activity

Kya aapko lagta hai ki aapka account kahi aur jagah se open hua hai. Aap google par apne account ke liye use ki gayi device and location dekh sakte hain.
Agar aapko lagta hai ki yah location ya device meri nahi hai to password change kar le.
Update:

11) Apni Complete Search History Dekhe

Aapne last year google me kya-kya search kiya tha? kuch yaad hai? Nahi.
Lekin google ko yaad hai, google aapki sabhi search details ko save karke rakhta hai jo aap dekh sakte hain below link visit kar.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.