Android Phone Ka IMEI Number Online Check Kare
Kya aapka smartphone miss ho gaya hai, i mean kho gaya hai, kisi ne chura liya hai?
Fir to aapko police me complaint kar apne phone ka IMEI block karna
jaruri hai taki aapke phone ka wrong hand me jane par galat use na ho
sake.
Sabse pahle to jab aapka Smartphone kahi kho jaye ya chori ho jaye,
aur uske milne ke chances na ho to aapko below steps follow karna
chahiye:
1) Phone ka SIM card lock kare, apne operator ko phone kar verification details dekar sim card block kar de.
2) Phone ko Google Device manager se track kare, agar aapki location and internet ON hai to aap phone track kar sakte hain.
3) Phone track nahi ho rha to remotely data delete kare aur phone ko remotely lock kar de.
4) Ab nearest police station jakar apna IMEI number details dekar phone ko block karaye.
Ab point par aate hain, agar aapke paas aapka IMEI number nahi hai to
don’t worry Android phone me aap apna IMEI number online dekh sakte
hain.
Check Android Phone IMEI online
Aap jab bhi new Android smartphone ka use karna start karte hain tab
first time aapko apni gmail ID se register karna padta hai. Register
karne ke baad hi aap phone ki features use kar sakte hain.
Phone ko Gmail ID se connect karte hi aapke Phone ki sari information
Google account me transfer kar di jati hai including Phone IMEI number.
Google dashboard aisa place hai jaha aap apne smartphone ki sari details contacts, IMEI and other details dekh sakte hain.
Hume yaha apne smartphone ka IMEI lena hai, Dekhiye kaise?
1
Sabse Pahle https://www.google.com/dashboard/ par apni gmail ID se login kare. Gmail ID aapki wohi honi jaruri hai jo Android phone se registered hai.
2
Yaha hume Apne Android phone ka IMEI pata karna hai iske liye Dashboard par Android option par click kare.
Click karte hi aap apne phone ki sabi details dekh sakte hain including IMEI, register date, phone model etc.
Phone Contacts Recover Kare
Bus kuch isi tarah se aap apne sabhi contacts, mail contacts recover kar sakte hain.
Dashboard par Contacts option par manage contacts par click kare. Yaha aap apne phone numbers and email contacts dekh sakte hain.
No comments: