20 Amazing Google Search Tricks Kya aapko Pata hain

google search tricks

World ka sabse bada search engine Google par aap kya-kya kar sakte hain, sayad aap nahi jaante. Kuch aisi hidden search terms hain google ki jo kewal advance user hi jaanta hai. Kya aap jaante hain?

Google regular apni search feature ko best banane ke liye regular kuch na kuch tweaks karta rahta hai. Aaj main aapko aise hi kuch search terms ke bare me bata raha hu, try kare aapko kafi help karenge daily life me.

1: Listen Animals Sounds

google search trick
Apne kids ko animals ke sounds sunana chahte hain to google search me Animal Sounds search kare, aapko sabhi animals ke sound mil jayenge. Un par click karke aap sound sun sakte hain. Ye kaam google hi kar sakta hai

2. Play Solitaire game

solitaire google search
August 2016 me google ne is feature ko announce kiya tha jisme aap google search me sirf- Solitaire type karke apni favourite solitaire game play kar sakte hain.

Aap easy and hard mode choose kar sakte hain.

3. Tic-Tac-Toe game play kare

tic tac toe google search
Solitaire ki tarah ab aap Tic-Tac-Toe game bhi google search me play kar sakte hain, bus search kare -Tic-Tac-Toe.
Tic-Tac-Toe me aap easy, medium and impossible mode choose kar sakte hain, aap apne against second player bhi set kar sakte hain.

4. Toss kare

flip coin google search
Koi bhi game play karne se pahle Toss kiya jata hai, Google search me aap wo bhi kar sakte hain, bus search me type kare- flip coin
Ab aapko toss karne ke liye coin ki jarurat nahi padegi, cricket match me bhi ho sakta hai Google search karke toss kiya jaye

5. Live Search Dekhe

google search tricks
Google par is waqt poori duniya me kya search kiya ja raha hai janana chahte hain to Google Live search par click kare.
Yaha aap sabhi countries me log kya search kar rahe hain, kaun si search sabse popular hai yah sab dekh sakte hain. Keywords research ke liye bhi aap is feature ka use kar sakte hain.

6: Timer and Stopwatch Set kare

google timer search
browser me timer and stop watch dekhna chahte hain? Google search me Timer search kare aap yaha Timer aur stopwatch dono use kar sakte hain.

7: Calculator use kare

google calculator


Apne computer par calculator use karna chahte hain? Google ka advanced calculator aap online use kar sakte hain bus search kijiye Calculator.

8: Apni City ki Weather report dekhe

google weather
Apne city ki full weather report dekhne ke liye search bar me type kare City Name weather (city name me apne city ka name).

9: Kisi bhi Year ka Day pata kare

google search tip
Kya aapko pata hai 23/6/2033 ko kaun sa din aayega? nahi pata to google me search kare 23/6/2033 day and aapke saamne day aa jayega.

10: Single Site me search kare

google site search
Agar aapko kisi single site se hi google search karna hai to search bar me type kare Site:askmehindi.com wordpress meri site ki jagah koi dusri site enter kare and next apna search word enter kare.

11: Koi Bhi Currency Covert kare

google currency convert
currency convert karne ke liye aap smartphone me app ka use karte honge, magar yah kaam aap google par search karke kar sakte hain. Just search bar me currency converter type karke search kare.

12: Festival ki date search kare

google search tips
Kisi bhi festival ki date pata karne ke liye Festival ka name and year enter karke search kare. For example: Diwali 2016

13: Check your IP Address

ip address check google
Apna IP Address check karne ke liye search bar me type kare IP Address aur screen par aapka IP show karega.

11: Total numbers ko english me read kare

google search tips
50 me 6 zero add kar diye jaye to kitna hoga? nahi pata to google me search kar le. Type kare 50000000=english

14: Kaun si Site unsafe hai Check kare

Koi website aapke browsing ke liye safe hai ya nahi yah check karne ke liye google website checker me jakar dekh sakte hain.

15: Google Sky se dekhe universe

Universe ko dekhna hai? to jaye Google Sky par aur nasa ki latest photos ko kare surf.

16: Creative Art banaye

Kuch time pass karna chahte hain to Google ki Build with Chrome par jaye aur kuch nayi creative cheej banaye.

17: Koi khaas Word search kare

kuch khaas cheej search kar rahe hain par mil nahi rahi? to type kare “aapka word” and search kare.
Aur bhi na jane kitni hidden searches google par available hain, try kare.

18. City ke beech Distance search kare

google search distance
City ke beech ka distance dekhna chahte hain to search kare “ahmedabad to agra” – aapke saamne city distance and reach hours dekh sakte hain.

19. Movie show ka time Dekhe

google search movie show
Movie dekhne ka plan banaya hai aur showtime dekhna chahte hain? Search kare “Movie name” aapke city me available showtime show karega.

20. Train Time Table Dekhe

google search train time
Train ka time table dekhna chahte hain? to search kare aapki city to city train time table, aur aap dekh sakte hain apne city ke beech available trains and time table.
To dekhna aapne kitna helpful hai Google search.
Entertainment se lekar jaruri work aap search bar me kuch words type karke kar sakte hain.
Aapko kaun si feature jyada pasand aayi?

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.