Kotak Jifi Platinum Chip Debit Card Paypal Me Add Kare


kotak-card-paypal


International level par Debit card se payment karne ki jab baat aati hai to aksar hum indians ko kafi problems face karni padti hain.

Most of banks ke Debit card international transaction karne me fail ho jate hain. Kuch private bank hi hain jinke Debit card International payment support karte hain.
Aisi hi ek bank hai Kotak, jiske sabhi chip based card paypal and international payment ke liye support karte hain.
Mere paas Kotak ka Platinum Chip Debit card hai, main aapko paypal me yah card add kaise kare yah bata raha hu.

Aap is card ko Paypal me bhi easily add kar sakte hain. Aap bina paypal me add kiye bhi international payment kar sakte hain.
Below image me dekh sakte hain maine Apne Kotak Platinum Debit card se paypal ke through kuch transaction kiye hain.

paypal activity
Maine aapko apni last post me bataya tha ki kaise aap online kotak jifi account open kar sakte hain and Banking kit with Debit card at home receive kar sakte hain. Aapko ek bar bhi bank visit nahi karna padega, sara kam aap online kar sakte hain.
Aaj main aapko bataunga kaise aap apne Paypal Account me Kotak Platinum Chip Debit Card add kar sakte hain.

Add Kotak Platinum Chip Debit Card to Paypal

Paypal me free account create karke aap international payment easily kar sakte hain. Most of online service providers payment ke liye paypal support karte hain.
Ek blogger ke liye paypal bahut important hai, theme purchase karna, hosting lena, logo order karna, plugins purchase karna etc purchase karne ke liye aapko paypal ki jarurat padti hai.
To chaliye point par aate hain and kotak platinum debit card paypal me add karte hain.
1
Sabse pahle apne Paypal account par login kare.

2
Login karne ke baad aapko Payment Methods par click karna hai. Yaha aapko Link a Card ka option milega, uske upar click kare.
paypal link card
3
Ab next screen me aapko apne card ki details add karni hai. card type select kare, card number enter kare, expiry date and cvv enter kare, Address enter kare and Save par click kare.
link card paypal


Ab aapke Debit card ke liye registered mobile number par message receive hoga successful ka. Card paypal me add karne ka charge Rs.1 something aapke card se debit hoga.
Mean aapka card successfully paypal me add ho chuka hai.

Conclusion
Personally main international purchases ke liye apna Kotak Platinum Chip Debit card use karta hu. Jaruri nahi aap paypal se hi pay kare, aap credit card/Debit card ka option select karke bhi is card se super fast payment kar sakte hain.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.