Facebook Page Par Online Store Kaise Banaye
Facebook page par ab aap Online store bhi create
kar sakte hain. Jahan aap apni products ko sale kar sakte hain aur
Payment bhi receive kar sakte hain. Ji nahi, Main sach kah raha hu yah
possible hai.
Kya aap koi theme developer hain? Kya aapki koi shop hai? Kya aap online selling karna chahte hain? To bus create kar lijiye ek facebook page
apni products se related aur follow kare meri is post ko jaha aapko
batane ja raha hu bina coding knowledge ke facebook page par online
store create karna.
Yha hum facebook page par ECWID plugin ko connect karke apni store page par create karenge So Let’s see:
Create a e-commerce Store on Facebook Page
Facebook page par online shop create karne ke liye sabse pahle aapko ECWID par apna Free Account create karna hai, yah free plugin hai.
ecwid.com par free register kare, aap yaha Paypal, facebook, Google ID se bhi account create kar sakte hain.
Apna Free Account create karne ke ECWID par login kare. Account me
login karne ke baad aap apna Dashboard dekh sakte hain. Yaha aapko apni
products add karna hai, payment settings karna hai and other setup karna
hai.
1: ADD a product
Add a Product wizard me aapko products ki image, name and price add karna hai. Yaha aap More Powerful options me products aur bhi achhi tarah se add kar sakte hain jaise ki products ki more images upload karna, Description add karna.
+ ADD more option se aap aur bhi products add kar sakte hain. Products add karne ke baad Save par click kare.
2: Create a Store
Ab next aapko Create a Store tab par click karna hai. Yaha aapko “Yes i have a Website” option select karna hai.
Ab aapko platform select karna hai jaha aap apni online store create
karna chahte hain, yaha hume apni store Facebook par create karna hai
isliye hum Facebook icon par click karenge.
Facebook icon par click karne ke baad ab aapko apni facebook ID se
login karna hai aur apne account ko ECWID se connect karna hai.
Now pop-up window me aapko apni facebook ID se login karke ECWID ke liye permission Allow karna hai.
Facebook se ECWID connect karne ke baad ab aapko apna facebook page select karna hai. dashboard par apna page select kare aur Add a Store par click kare.
Add a store par click karne ke baad aapke facebook page par store add ho jayegi. Next screen me aap “Review your facebook store” par click karke apni store ko facebook page par dekh sakte hain.
Great, aapki store facebook page par add ho gayi hai. Jaisa ki aap neeche dekh sakte hain. Aapke page par Products ki ek nayi Tab create ho jayegi jis par click karke aap apni store dekh sakte hain.
- facebook page par store add hone se aapki timeline ya ki aur setting me effect nahi padta hai.
- Aapki store keval “products” tab par click karne par hi open hogi.
Store Add karne ke baad ab apne ECWID Dashboard par fir se visit kare, yaha aapko payment and other settings karna hai.
3: Verify geo Setting:
Apne ECWID panel me next aapko apni geographical setting karna hai.
Agar aap just India me apni products ki selling karna chahte hain to
currency me indian currency select kare. Proceed to next par click karke
apna Address enter kare and Save kare.
4: Configure Shipping
Agar aap products ki shipping karna chahte hain to Configure Shipping
option me aap shipping rates set kar sakte hain. Aur agar shipping
jaisi product sell nahi karte to aap yah option leave kar sakte hain.
5: Setup Payment options
Payments receive karne ke liye aapke paas kafi options hain. Aap apni
payment PayPal, PayU ke jariye easily apne bank account me receive kar
sakte hain.
- Payment receive karne ke liye aap advanced payment setup me offline cheque, Credit/Debit card, money order jaise aur bhi option enable kar sakte hain.
Now What!
That’s All aapki store successfully facebook page par launch ho gayi
hai aur ab aap products ki selling karke payment receive kar sakte
hain.
ECWID Dashboard par thoda time spend kare, yaha aapko aur bhi kayi options and features learn karne ko milegi.
So friends ek bar try jarur kare, aapko bahut kuch seekhne ko milega, khaas kar jo log online kuch sale karna chahte hain.
No comments: